Bhare saagar main mojon ko kinara chaiye koi,
Meri pur’ashk ankhon ko nazara chahiye koi,
Tere dar pe jo yun aa aa kar laut jaate hain
Teri jaanib se hum ko ishara chhaiye koi,
Kaho tum ke kon ho pyare, kahan se loat aye ho ?
Barre be’jaan dikhte ho, sahara chahiye koi ?
Tere sheher-e-wafa main to faateh nahin milna koi,
Warna hum to haazir hain, agar haara chahiye koi,
Mera dil tukrra tukrra hai idhar sham-e-tanhai ka alam,
Magar tujhe bhi to hawass ka hi maara chahiye koi,
Abhi hoon taaq mein, rakh kar sari khushiyan muntazir,
Manaaon ga jashan main bhi, pyaara chahiye koi,
Ajab dil main hai mojzaa, kuch din se paraayi yaad,
Humain phir aik dard ik shayed udhaara chahiye koi,
Main apne dil se poochon, madaawa gham ka kya hai,
To ziddi dil yeh kehta hai, dobara chahiye koi,
Beyaan karti hain dil ka dard meri yeh laal aankhain
,
Mera har ashkk kehta hai, chaara chahiye koi,
Nahin in chaand taaron se mujhe koi bhi matlab,
Mujhe to ab muqaddar ka sitara chhaiye koi..