Thursday, 27 November 2014

Rehjan Ke Sang Jaaon To Rehbar Kare Gila

Zara Thehra Jo Safar Mai To Patthar Kare Gila
Jaldi Jo Paai Manzil To Muqaddar Kare Gila

Piyaasa tha To Do Boond Matke Se Pee Gaya
Matke Se Jo Peeya Paani To Samandar Kare Gila

Main Shok Shok Mai Kha Gaya Zahar Bhi Janaab Se
Ab Unke Haath Mai Rakha Khanjar Kare Gila

Ghar Baar Chodd Chaad Ke Futhpaath Pe Li Neend
Soya Tha Jiske Niche Wo Ambar Kare Gila

Mehfil Mai They Haseen Bohat Hum Sabse Mil Liye
Tha Apna Jo Kareeb Wo Dilbar Kare Gila

Tayyar kiya Foj Ko Jang-e-Medaan Ke Liye
Ho Gayi ittefaaq sulha Lashkar Kare Gila

Soya Tha Unke Khaab Sajakar Nighah Mai
Phele Jo Thode Paon To Chadar Kare Gila

Mushkil Ye Aa Padi Hai "ShamS" Thamon Main Kiska Haath
Rehjan Ke Sang Jaaon To Rehbar Kare Gila

No comments: