Thursday, 11 December 2014

Mera noha inhi galiyon ki hawa likhe gi...

Main k is shehr ka seemaab-sifat shaayar hoon
Meri takhleeq mere fikr ki pehchaan bhi hai
Mere harfoN, mere lafzoN mein hai chehra mera
Mera fan ab mera mazhab, mera eemaan bhi hai
Meer o Ghalib na sahi phir bhi ghaneemat jaano
Mere yaaroN k sarhaane mera deewaan bhi hai
Mujhse poocho k shikast-e-dil o jaan se pehle
Mere ehsaas pe guzri hai qayaamat kya kya
Saaya-e-daar o shab-e-gham ki sakhaawat se alag
Main ne sochi qad o geisu ki alaamat kya kya
Mere toote huey khwabon k kharaabon se pare
Mere bikhre huey jazbe they salaamat kya kya
Tanz-e-aghyaar se ehbaab k ikhlaas talak
Main ne har ne'mat-e-uzma ka libaada pehna
Dast-e-qaatil ki kashish aap gawaahi de gi
Main ne har zakhm qaba se bhi zyaada pehna
Meri aankhoN mein kharaashein theeN dhanak ki lekin
Meri tasveer ne malboos to saada pehna
Zarbat-e-sang-e-malaamat mere seene pe saji
Tamgha-e-jurrat o ezaaz-e-hukoomat ki tarha
Khul k barsi meri sochon pe adaawat ki ghata
Aasmaanon se utarti hui daulat ki tarha
Qarya qarya hui ruswa mere fan ki chaahat
Kone kone mein bikharti hui shohrat ki tarha
Mujh pe karrki hain kamaanein mere gham-khwaroN ki
Mere ashkon ka tamaasha sar-e-baazaar hua
Mere aangan mein hawaadis ki sawaari utri
Mera dil wajh-e-azaab-e-dar o deewaar hua
Ishq mein izzat-e-saadaat bhula kar aksar
Meer saahab ki tarha main bhi gunahgaar hua
Apni ujrri hui aankhon se shuaayen le kar
Main ne bujhti hui sochon ko jawaani di hai
Apni ghazlon k sukhan-taab sitaare chun kar
Sangreizon ko bhi aashufta-bayaani di hai
Husn-e-khaak-e-rah-e-yaaraan se mohabbat kar k
Main ne har morr ko ik taaza kahaani di hai
Mujhse roothe hain mere apne qabeele waale
Mere seene mein har ik teer-e-sitam toota hai
Lafz o ma'ni k taqaazoN se ulajh kar aksar
Mere haathon mera majrooh qalam toota hai
Karb-e-na-qadri-e-yaaraaN k bhanvar mein ghir kar
Baar-ha dil ki tarha shauq ka dam toota hai
Main k is shehr ka seemaab-sifat shaayar hoon
Main ne is shehr ki chaahat se sharf paaya hai
Mere a'ada ka ghazab abr-e-karam hai mujh ko
Mere ehbaab ki nafrat mera sarmaaya hai
Meri bikhri hui ruswaai hai shohrat meri
Mere sehra ki tamaazat mera sarmaaya hai
Mutma'in hoon k mujhe yaad rakhe gi dunia
Jab bhi is shehr ki tareekh-e-wafa likhe gi
Mere ghar k dar o deewaar mujhe sochein ge
Wus'at-e-dasht mujhe aabla-pa likhe gi
Mera maatam isi chup chaap fiza mein hoga
Mera noha inhi galiyon ki hawa likhe gi...

No comments: