Tuesday, 30 April 2013
kuch log
"Hum Ney Waqt Say Buht " Wafa "ki lekin
Waqt Hum sy " Bewafai " Kar Gaya
Kuch to Hamary " Naseeb " Bury thy
or
Kuch " LoGon " ka hum say " Jee " Bhar Gaya"
Monday, 29 April 2013
pather ki duniya
Patthar ki duniya jazbaat nahi samjhati,
dil mein kya hai wo baat nahi samajhati,
tanha to chaand bhi sitaaron ke bhich meinhai,
par chaand ka dard wo raat nahi samjhati…
www.facebook.com/daashtemuhabbat like ths page
tanhaiyan
Chamakti dhoop mein kuch deir mujh
se mil kar tum..........................
Mere mizaj
ki gehraiyan na samjho
gay.........................
Tamam Shehr jisay
Jan-e-Anjuman
samjha.............
Tum aisay Shakhs ki Tanhaiyan na samjho gay............
m0habbat
Pyar Mohabbat Aur Aashiqui,
Sirrf Lafzzon Ke Siwa
Aur Kuch Bhi Nahi..
Par Jab Se Ye Sab Milley Toh,
Inn Chand Lafzzon Ko
Maayne Mil Gayye.
Friday, 26 April 2013
Woh zinda zar0r ha
Wo zinda zaror hai
Magar meray liye nahi
Agar wo pehly wala zinda hota
To yon na krta
Mujhy
Zamaney mein ruswa
Mein ney kia kuch na kiya tha
Is ki khatir
Isay paney key liye
Mein ney sub kuchTo ganwa dia tha
Ab meray pas
Is key siwa
Reh bhi kia gaya tha
Jab isay
Ye mehsos hoa
Key
Meray siwa us ka
Zamaney mein koi nahi
To
In muhabbat’on key badley
Mein
Is ney mujhy kia dia
Wohi ruswai
Wo mujhy chor
Kr
Chla gya
Aur mery samney
Kisi aur ka ho gya
Aur
Meray mathey
Per likh
Kr chala gya
Wohi
Dagh-e-ruswai
Main tujhy bhool
Mein tujhy bhol bhi kesy skta hun
Tu mery dil mein nahi roh mein samaya hai
Isay bhla koi kesy chor ker jata hai
Jisy bars’on ki riazat key bad paya hai
Meray bad wo aya tha kamrey mein aaj ‘Gul’
Ik phool nishani apney takiye per paya hai
Thursday, 25 April 2013
Dard kaisy samjh0n
wo kehta hai bta tera dard kesy samjoun,
mein ne kha ishq kar boht kar or kar k har ja.......
Wednesday, 24 April 2013
Teri Tasveer ko
Sary Shikway Sunaya Karty Hain
Teri TasvEEr Ko..
Har Dukh Batya Karty Hain Teri
TasvEEr Ko..
Jab Chain Se Soey Nahi Deti Teri
Yaad..
Phir Sath Jagaya Karty Hain Teri
TasvEEr Ko..
Tanha Ch0r Jati Hai Jab Sari Duniya
Mujhe..
Phir Pas Bithaya Karty Hain Teri
TasvEEr Ko..
Zakham Miley Jity Bhi Teri Wafa
Main..
Woh Sab Dikhaya Karty Hain Teri
TasvEEr Ko..
Phir w0hi khwaab
Phir Wohi Khwaab Se Toote Hai Meri
Aankhon Mein,
Phir Wohi Dard Ki Talkhi Hai Meri Baaton
Mein………..!
.
Monday, 22 April 2013
log kehtey hain
Log kehete hai ke hum apne pyaarkaizhaar unse kyun nhi karte..
Humne kaha...bas 3 lafzo me jo baya ho jaye, hum utna pyaar nhi karte
dil ke tootney
Khwabon Ke Tootney Se DIL Ke Tootney Tak....!
Koi Aisa Dard Bata
!!!Faraz..!!!
Jo Humne Saha Na Ho...!
Sunday, 21 April 2013
Lout ana
Hamein Surat Say Kya Matlab Hum
Seerat Pay Martay Hain...
Ussay Kehna Tumhara Husn Jab
Dhal
Jaye To Laut Aana...
Is qadar
Is Qadar Shiddat Se Tumhe Socha
Hai Musalsal Meine,
Ke Aaj Meri Zaat Ka Mujh Se Ikhtilaf
Ho Gaya
Khwahishon Pe Pabandi
Khwahishon Pe Pabandi Chahaton Pe Pehra tha
Rooh Pr Riwajon Ka Zakhm Kitna Gehra tha
Aaj Tk Mere Dil Me Khushboain Mehakti Hain
Ek Shakhs Barson Pehle Dil Me Aa K Thehra tha
Dil K Dasht Pr Aaj Toot K Jo Brsa Hy
UsKi Yad Ka Badal Sham Hi Se Gehra tha
UsKe Husn Mein HumNe Chandni Ko Dekha tha
Wo Shakhs Kya tha Bas Chandni Ka Chehra tha
Wo Roshni Ka Taalib tha Kho Gya Kahin MujhSe
Main Rat Ka Musafir tha Hr Traf Andhera tha.
Teri yaado se
Teri Yaado Se Chale Dhadkan Aisa Q
Lagta Ha,
Tere Bin Zamana Sara Jhuta Q Lagta
Hai,
Kis Tarha Jiye Bin Tere ,
Tere Bin
Ye Sanso Ka Chalna Adhura Q Lagta
Ha…
Wednesday, 10 April 2013
Wohi log badal jaty hain
Mil bhi jaate hain to katra ke nikaljaate hain, Haaye mausam ki tarah log badal jaate hain ... !
Hum abhi tak hain giraftar-e-moha bbat yaron, Thokrain kha ke suna tha ki sambhal jaate hain... !!
Wo kabhi apni jafa par na huwe sharminda, Hum samajhte rahe patthar bhi pighal jate hain ... !!!
Umar bhar jinki wafaon pe bharosa kariye, Waqt padne pe wohi log badal jaate hain ... !!!!
Muhabbat ki saza
Aesy bhi Mohabbat ki saza deti haiDuniya
Marr jayen to jeeny ki dua deti haiDuniya
Ye zakhm mohabbat ka hai,Dikhana na kisi ko
La ker Sar-e-Bazar sajaa deti hai Duniya
Qismat pe karo naaz na itna b Faqeero
Hathon ki Laqeeron ko mitta deti hai Duniya
Marny k liye kerti hai Majboor to lekin
Jeeny k Tareeqy bhi Sikha deti hai Duniya
Aesy bhi mohabbat ki saza deti hai duniya ….
Sacha khuwab
Meri Band Aankhon Ka Saccha Khwaab Ho Tum,
Meri Tanhaiyo Ke Sawaalo Ka Jawab Ho Tum,
Ab Toh Duniya Bhi Rooth Jaaye Toh Gham Na Hoga,
Meri Duniya, Mera Chaand, Meri Kaaynaat Ho Tum…
Saza puri nai hoti
Mohabbat Naam Hai Jiss Ka,Wo Qaid Hai Aesii...
Umer Ager Beet bhi Jaye, Saza Pori Nahi Hoti...!!
Bhool jane ka bahana
Bhool Jane Ka Bahana Na Bana Dena !
Durr Jane Ki Bas Ek Wajah Bata Dena !
Khud Chale Jayenge Apki Zindagi Se!
Par Jaha Apki Yaad Na Aaye, Wo Jagah Bata Dena!
Tuesday, 9 April 2013
Nazar ki Rang
Nazar ki Rang Parasti Hai Mass ki Baat Nahi GuloN Say Pyaas Bhi Bujh Jaaye,Bus ki Baat Nahi
kisi ki Zulf-E-Musalsal Say IshQ kar Leejiye Yeh Zindagi Hai Baras Do Baras ki Baat Nahi
Tumhaari Zulf Say kyuN Bad'GumaaN haiN Ehl-E-khirad? Tumhaari Zulf Hai Daam-O-Qafs kiBaat Nahi
Jalaaiye Na Isay Itni Sard Mehri Say Huzoor ! Dil Hai Mera,khaar-O-kh ass ki Baat Nahi
HaiN IttefaaQ Peh Mabni YahaaN Bahut BaataiN Har Aik Baat"ADAM" Dastaras ki Baat Nahi
Yaad Hai
Chupke chupke raat din aaNsu bahaana yaad hai
Hum ko abtak aashiqi ka wo zamaana yaad hai
Ba-hazaraaN izteraab O sad hazaaraaN ishtiyaaq
Tujh se wo pahle pehal, dil ka lagaana yaad hai
Baar baar uThna usi janib nigaah Eshouq ka
Aur tera ghurphe se wo, aankheN laRaana yaad hai
Tujh se kuch milte hi wo bebaak ho jana mera
Aur tera danton men wo ungli dabaana yaad hai
KhaiNch lena wo mera parde ka kona daf’a-atan
Aur dupatte se tera wo muNh chupaana yaad hai
Jaan kar sota tujhe woh qasd E pa-bosi mera
Aur tera thukra k sar, wo muskuraana yaad hai
Tujhko jab tanha kabhi pana to az-raah-E-lehaa z
Haal E dil batooN hi batoon men jataana yaad hai
Ghair ki nazroN se bach kar, sab kimarzi k khilaaf
Wo tera chori chhupe ratoN ko aanaa yaad hai
Aa gaya gar wasl ki shab bhi kahiN zikr E firaaq
Woh tera ro ro k mujhko bhi rulaana yaad hai
Do-pahar ki dhoop meN mere bulane ke liye
Woh tera koThe pe nange paoN aana yaad hai
Aaj tak nazroN men hai wo sohbatE raz O neyaz
Apna jaana yaad hai, tera bulaanayaad hai
Mithi mithi cheR kar baateN niraalipyaar ki
Zikr dushman ka wo batoN men uRaana yaad hai
Dekhna mujhko jo barghushta to sau sau naaz se
Jab mana lena to phir, kud rooTh jaana yaad hai
Chori chori hum se tum aa kar milethe jis jagah
MuddateiN guzriN par ab tak wo thikaana yaad hai
Shauq men menhdi k wo be-dast-o-pa hona tera
Aur mera wo chheRna, wo gudgudana yaad hai
Ba-wajood E iddaaye itteqa ‘Hasrat’ mujhe
Aaj tak ahd E hawas ka wo fasaana yaad hai,,
Usy kehna
Usay kehna....
Bazaahir to,
Hawaein Badli Badli hain,
Chaman bhi Badla
Badla hai,
Mager DiL me Tumhari yaad ka Mosam nhi Badla,
Teri chahat k
phoolon ki,
Abhi khushbu
nhi Bikhri,
Mere Andar Tmhari zaat ka
Ehsas baqi hai,
Usay kehna..
Ye Fitrat ka taqaaza hai,
k Mosam to Badaltay hain,
Kabhi Mosam Badalnay se,
Ye Aankhein Numm
nhi kartay,
Dilon me Ghum nhi kartay,
Mohabbat kam nhi kartay...
Girna nahi deta
Rakhta Hai Mujhay Thaam K Girna Nahi Daita
Main Toot Bhi Jaon To Bikharnay Nahi Daita
Is Dar Se Kahin Kaanta Na Chub Jaye Haath Main
Wo Phool Bhi Mujh Ko Pakarnay Nahi Daita
Wo Is Qadar Hasas Hai Muhabbat Main Meri
Koi Ghum Meray Seenay Main Wo Palnay Nahi Daita
Jis Raat Ki Tarreqi Se Ata Hai Mujhay Khauf
Us Din Ko Phir Raat Main Dhulnay Nahi Daita
Dil ko churana
woh palken jhukana, woh tera sharamana
koi tujhse seekhe, dil ko churana
woh kehna bus apni, nazre churakar
koi tujhse seekhe, batein banana
woh karna khataye, phir khud ruthjana
koi tujhse seekhe, nakhre dikhana
woh chehra dikha kar, tera chup jana
koi tujhse seekhe, kisi ko tadpana
woh daanto me leker,dupatta chabana
koi tujse seekhe, adain dikhana
woh lato ko apni, ungli se ghumana
koi tujhse seekhe, deewana banana
woh palken jhukana, woh tera sharamana
koi tujhse seekhe, dil ko churana
Mere naseeb me
Mery Naseeb Me Phir Ye Bahar Ho K Na Ho
Najany Phir Wo Mera Ghumgusar Ho K Na Ho
Yehi Buhat Hy K Ek Shakhs Chain Pa Jaey
Bhaly Darkht Buhat Saya Dar Ho KNa Ho
Isi Guman Ny Kbhi Laotny Diya Na Mujhy
Najany Us Ko Mera Intzar Ho K Na Ho
Magr Ye Tay Hy K Main Us K Ghum Men Rehta Hun
Mery Liye Wo Bhale Beqrar Ho K Na Ho
Mein Dhoop Ban Nahi Sakta Mohsin
Kisi K Liye Mery Liye Koi Abr E Bahar Ho K Na Ho
poetry l0vr join me +923427479203
Chalta to bikhar jata
Saamne Manzil Thi Aur Peeche Uss Ki Aawaaz
Rukta Toh Safar Jaata, Chalta To Bichhar Jaata,
Mekhana Bhi Ussi Ka Tha, MehkaarBhi Ussi Ka Tha,
Agar Peeta To Imaan Jata, Na Peeta To Sanam Jaata,
Saza Aisi Mili Mujh Ko, Zakham Aise Lage Dil Par,
Chhupata To Jigar Jaata, Sunata To Bikhar Jaata,
Mere Gham Ki Dawa Na Thi SiwayeYaar Ke Koochay Ke
Main Jaun To Kidhar Jaun, Main Jata To Kidhar Jata...
Dil se yaadein nikal
Aaj HuM Phir Nidhal Baithe Hain,
Dilse Yaadein Nikal Baithe Hain,
TuMse Doori Ka Faisla Karke,
Dil Mein Le Kar Malaal Baithe Hain,
HuM Mohabbat Mein Mubtala Ho Kar,
Khudko Mushkil Mein Daal Baithe Hain,
Kya Batayein TuMhari Furqat Mein,
Dilko Kaise SaMbhal Baithe Hain,
Besahara Na Jaaniye Mujhko,
Mere Pursaan-E-Haal Baithe Hain,
Ye To Mera Janaza Hai,
Aap Kyon PurMalaal Baithe Hain....
Un ke khayl
Mai Un kay Khayal Se Ja'on Toh Kahan Jaon..
Wo Meri Soch k har Raste Per Nazar Aatey Hai...
Monday, 8 April 2013
Tumhare akks ko
tumhare akks ko aankhon main hum tasveer krr lety,
zara jo tum teher jaty koe tadbeerkrr lety..,
tumhara hath mery hath sey yun choot jayega...?
agar mujh ko khabar hoti isey zanjeer krr lety..,
sunehry khwab they mery tumharijhel c ankhon main.,
hum in main doob jaty or phir taabeer krr lety.,
bichart waqt chehre par jo sadiyunke udaasi thi.,
agar hum hosh main hoty usey tehreer kar lety..,!!
Dunya us ko
Dunya usko yateem samajhti hai jiss kay Maa Baap nahe hotay, magar main usko yateem samajhta hoon jisskay achay dost na hon.
Hazrat ali
Gale Se Lipat Ke Rone Laga
Na jane kyun brso baaad mila tou gale se lipat ke rone laga..
Ke Jatey waqt jis kaha tha tm jaisey tou lakhoun mil jaen gy..
Thokar jo maine khai
Thokar jo mainay khayi
Ek pathar hawa may uchla
Dil say to aah nikli
Pathar ki bhi sada aayi
Aye dil, ulfath may tu pada rahay
Ye tera naseeb hai
Teri raah may mai pada rahon
Ye mera muqaddar hai
Tera naseeb bhi kuch
Mera naseeb sa hai
Tu rab kay dil may rehta hai
Aur mai hajr-e-aswad bana hoon
Tu badshah kay dil may raj karta hai
Aur mai uskay taj ko purnoor karta hoon
Tu ulfath may jakdi hui unglioun may dhadakta hai
Aur mai un unglioun ki angoothiyoun may jada hoon
Tu jala hai,gala hai
hasa hai,roya hai
Kya kya marhalay say
Guzar kay tu dil bana hai
Mai bhi to kabhi tarasha gaya hoon
Aur kabhi butoan may puja gaya hoon
Kabhi kuchay ki deewaar may
Kabhi Taj kay aakaar may
Tujhko bhi kabhi bashar nay
Pathar bana diya hai
Mujh may bhi kabhi banday nay
Dil jaga diya hai
Ek tera gham bhi
Meray gham sa zaroor hai
Mainay bhi thokar khayi hai
Tu nay bhi thokar khayi hai….
Thokar jo mainay khayi
Ek pathar hawa may uchla
Dil say to aah nikli
Pathar ki bhi sada aayi
Be sabab aankhoon mein
Be-Sabab Aankhoon Mein, Utar Jaati Hain YAADEIN....... !
Jab Bhulna Chahein, Bohat Tadpaati Hain YAADEIN....... !
Ye Lafz Lafz Is Tarhaan, ROOH Mein Bus Jaaye....... !
Jab DIL Na Maane To, Bikhar Jaati Hain YAADEIN....... !
Woh Bhulne Waala Kabhi, Khuwaboon Mein Aa Jaaye....... !
Jaane Kahaan Jaana Hai, Kahaan Le Jaati Hain YAADEIN....... !
Woh Warq Warq Is Tarhaan, Meri Zindagi Mein Utarta Jaaye....... !
Ke! Woh Paas Na Ho To, AankhoonMein Simat Jaati Hain
Mujh me dob jao
Mujh me dob jao k Meri gehraiun ka Pata
chale,
Mere dard ki shiddat Meri tanhaiunka pata Chale.
Aise tu roz wafa k Naam par tot'tehain dil,
Mujh ko bhi chaho k Meri bewafaiyon ka Pata chale.
Ye aur baat hai k lafz Mere ho kar bhi mere Nahi rehte,
Phir b puchho koi Sawal k meri sachaiyon ka pata chale...
rooz ghar ko
rooz ghar ko
sanwarti hoon
guldaan mein
pholoon ko sajati hoon
naye pardey darechoon par lagati hoon
aur saleekay say shelf mein rakhtihoon kitaabein
raat bhar darwaaza
khula raakhti hoon
khud ko bhi aarasta karti hoon
aankhoon mein kajal lagati hoon
chooriyoon say bahoon ko
hateyli ko mehndi say
sajati hoon
aur nikharti hoon bikharti hoon
tu nay aanay ka sirf aik baar
wada kiya tha
Dair kitni lagti hai
Yaad ko pighalnay main dair kitni lagti hai.
Khahishoon ko jalnay main dair kitni lagti hai.
Aaj us na kah dia door janay sa qabal.
Rasta badalnay main dair kitni lagti hai.
Zindagi bana lia usko apni rooh ki.
Zindagi badalnay main dair kitni lagti hai.
Us kay janay sa mujhe agahe hui hai yah.
Bastiaan ujarnay main dair kitni lagti hai.
Hadsoon na torra hai dostoon na jora hai.
Aadmi ko marnay main dair kitni lagti hai.
Tum bachana pyar kay is diye ki aanch ko.
Aandhion ko chalnay main dair kitni lagti hai.
Us kay waday par rahay kuch khabar bhi na rahi.
Pyar sa mukarnay main dair kitni lagti hai.
Phool kay nikalnay tak rha mera uska saath bas.
Phool ko bhikharnay main dair kitni lagti hai.
Tairgi muqadar ki jaan hai meri ye warna.
Raat ko guzarnay main dair kitni lagti hai.
…
Har tarf log
Dil bhi abaad hai ik shehr-e-khamosh an ki tarha,
Her taraf log hain magar aalam-e-tanhai hai....
Akela Kamra
Dharkan dharkan yaado’n ki baraat akela kamra. .
Mein aur mery zakhmi ehsasaat akela kamra. .
Gaye dino’n ki tasweer’on k bujhtay huay naqoosh. .
Taaza, tark-e-ta’alluq k sadmaat akela kamra. .
Dosh-e-hawa per urrney walay khiza’n k aakhri pattay. .
Apni akeli jan, gam-e-halaat akela kamra. .
Akhri shab k chand se karna, balcony mein baatain. .
Us k sheher mein hotel ki ye raat, akela kamra. .
Meri sisakti awazo’n se goonjti hain deewar’ain. .
Sunta hai din raat, mery naghmaat akela kamra. .
Sab samaan ba’hum hain ‘Sajid’ likhny likhanay kay. .
Khoon-e-jigr aur aansu, dil ki dawaat, akela kamra . . !
Na nafrat ki wajah
Ajeeb rishta raha kuch is tarah unhon say,,,,
na nafrat ki wajah mili, na mohabat ka Silaah..
Ek rozz tum aao gay
Shab-e-tanhai ka alam tha,
main khari thi teri raah main,
k kash to kabhi lout aye,
mujhay kabhi tu sada to day
baarish bht taiz thi,
main roti rahi roti rahi,
mray ansoun kuch khas thay,
kisi nay a kay sambhal liye,
teray kafn ka ek tukra dost
aj b mray pas hai,
jis main to so gea,
wo miiti meray pass hai,
najanay kion main aj b,
ek umeed lay kr baithi hn,
tum ao gay,
tum ao gay,
ek rozz tum ao gay..!!
Aik shesha tha kahein toota hua
Main azal ki shaakh se toota hua,
Phir raha hoon aaj tak bhatka hua,
Dekhta rehta hai mujhe ko raat din,
Koi apne takht per betha hua,
Chand taare dur peechey reh gaye,
Main kahan par agaya urta hua,
Band khirki se hawaa ati rahi,
Aik sheesha tha kahin toota hua,
Khirkiyon mein, Kaghzon mein, Maiz per,
Saarey kamre mein hai woh phelaa hua,
Apne maazi ka samundar chaaniye,
Ik khazaana hai yahan dooba hua,
Doston ne kuch sabak aese diye,
Apne saaye se bhi hoon sehma hua,
Kis ki aahat atey atey ruk gayi,
Kis ne mera saans hai roka hua?
Piyasa reh jata hai Dil
Tujh se chnd pal jo bichr jaon to ghabra jata hai dil.
Masoom si Ankhon k liye to azaab ban jata hai dil.
Ay mere chand kabi nikal Aao hijar ki raaton main.
Teri khatir hi to haar sham se pehle doob jata hai dil.
Tere sath kesa Rishta hai mujhe khud b malom nhi.
Bs Tera naam koi or le itni si baat pe toot jata hai dil.
Main ne suna tha k ishq aik sumundr hai Lekin,
Insan tarap tarap k marta hai pyasa reh jata hai dil....
Bohat se log
Dunia Me Boht Se Log Hen
Shayd mujh Jesa Koi Nhi,
Jis K Chahne Wale To Boht Hen
Apnane Wala Koi Nhi,
Rishte Jataane Waley To Boht Hen
Rishte Nibhane Wala Koi Nhi,
Hmraz To Boht Hen
Hmsafar Koi Nhi,
Me To Us Mujassme Ki Tarha HoOn,
Jis K Talabgaar To Boht Hen, Kharidaar Koi Nhi..!!
suna hoga bohat tum ne ….
kahiN aankhoN ki rim jhim ka
kahin palkoN ki shabnam ka…
parha hoga bohat tumne ….
kahiN lehjay ki barish ka
kahiN sagar ke aansoo ka…
magar tum ne kabhi humdam …
kahin daikhay? kahin parkhay?
kisi tehreer ke aansoo??…!!
mujhe teri judaai ne …
yehi mairaaj bakhshi hai…
ke main jo lafz likhta hooN …
woh saray lafz rotay hain
ke main jo harf bunta hooN …
woh saray bain kartay hain
mere sang is judaai main …
mere alfaz martay hain
sabhi tareef kartay hain …
meri tehreer ki lekin..
kabhi koi nahin sunta …
mere alfaz ki siski…
falak bhi jo hila daalay..
mere lafzoN main hain shamil …
usi taseer ke aansoo…
kabhi daikho mere humdam…
meri tehreer ke aansoo..!!!
Poetry lover join me 03427479203 on my number
Suno..!
ik baat kehni hai.
mere dill mein hai khahish ek
tumhain batlani hai.
suno....!
mujhe choo kar tum
meri chahaton keh geet
amar kar do.
suno...!
ik baat kehni hai
meri baat sun lo tum
mein deewani hoon
pyaar ki mari
mujhe arzaan na kar dena.
suno....!
ik baat kehni hai
mujhe apna banaye rakhna
mujhe tanha na kar dena.
suno....!
ik baat kehni hai
mujhe tumse muhabbat hai
mujhe tumse Muhabbat hai
Sunday, 7 April 2013
Fikr-e-Ghurbat hai Na Andesha-e-Tanhayi Hai.
Zindgi Kitnay Hawaadis Say Guzar Aayi Hai.
Log Jis Haal Mein Marnay ki Dua Kartay Hain.
Mainay Us Haal Mein Jeenay ki Qasam Khayi Hai.
Hum Na Sukraat Na Mansoor Na Eesaa Lekin.
Jo bhi Qaatil hai Hamara hi Tamannayi Hai..
Zindagi aur Hain Kitnay Teray Chehray ye Bata.
Tujh say ek Umar ki Halanki Shanasayi Hai.
Kaun Nawaqif-e-Anjaam-e-Tabassum hai.
Meray Halaat Pay ye Kisko Hansi Aayi Hai..!!!!
Qissay Meri Ulfat K Jo Marqoom Hain Sarey.
Aa Dekh Teray Naam Say Mosoom Hain Sarey.
Bas Is Liye Her Kaam Adhura Hi Para hai.
Khadim Bhi Meri Qoum K Makhdoom Hain Saray.
Ab Kon Meray Pao'n Ki Zanjeer Ko Kholay.
Hakim Meri Basti K Bhi Mehkoom Hain Sarey.
Shayad Ye Zarf Hai K Khamosh Hun Ab Tak.
Warna To Teray Aeib Bhi Maloom Hain Sarey.
Sab Jurm Meri Zaat Say Mansoob Hain 'Mohsin'
Kya Meray Siwa Shehar Main Masoom Hain Sarey....!!
Koi Chehra Hua Roshan Na Ujagar Ankhain.
Aina Dekh Rahi Thin Meri Pathar Ankhain.
Le Uri Waqt Ki Andhi Jinhen Apne Hamrah.
Aj Phir Dhund Rahi Hain Wahi Manzar Ankhain.
Phut Niklin To Kai Shahar-E-Tamann a Dube.
Ek Qatre Ko Tarasati Hui Banjar Ankhain.
Us Ko Dekha Hai To Ab Shauq Ka Wo Alam Hai.
Apne Halakon Se Nikal Ai Hain Bahar Ankhain.
Tu Nigahon Ki Zuban Khub Samajhata Hoga.
Teri Janib To Utha Karati Hain Aksar Ankhain.
Log Marte Na Dar-O-Bam Se Takara Ke Kabhi.
Dekh Lete Jo ‘Kamal’ Us Ki Samandar Ankhain.
Meri Dastan Ka Urooj Tha
Teri Nram Palkon Ki Chhaon Mein..
Mere Sath Tha Tujhe Jagna Teri Aankh Kaise Jhapak Gai..
Bhala Hum Mily Bhi To Kya Mily Wohi Doorian Wohi Faasly..
Na Kbhi Humary Qadam Barhy Na Kbhi Tumhari Jijhak Gai..
Tere Hath Se Mere Hont Tak Wohi Intzar Ki Piyas Hai..
Mere Naam Ki Jo Sharab Thi Kahin Raste Mein Chhalak Gai..
Tujhe Bhool Jany Ki Koshishen Kbhi Kamiyab Na Ho Saken..
Teri Yaad Shaakh-E-Gulaab Hai Jo Hawa Chali To Mehak Gai...
Subscribe to:
Posts (Atom)