Monday, 8 April 2013
Thokar jo maine khai
Thokar jo mainay khayi
Ek pathar hawa may uchla
Dil say to aah nikli
Pathar ki bhi sada aayi
Aye dil, ulfath may tu pada rahay
Ye tera naseeb hai
Teri raah may mai pada rahon
Ye mera muqaddar hai
Tera naseeb bhi kuch
Mera naseeb sa hai
Tu rab kay dil may rehta hai
Aur mai hajr-e-aswad bana hoon
Tu badshah kay dil may raj karta hai
Aur mai uskay taj ko purnoor karta hoon
Tu ulfath may jakdi hui unglioun may dhadakta hai
Aur mai un unglioun ki angoothiyoun may jada hoon
Tu jala hai,gala hai
hasa hai,roya hai
Kya kya marhalay say
Guzar kay tu dil bana hai
Mai bhi to kabhi tarasha gaya hoon
Aur kabhi butoan may puja gaya hoon
Kabhi kuchay ki deewaar may
Kabhi Taj kay aakaar may
Tujhko bhi kabhi bashar nay
Pathar bana diya hai
Mujh may bhi kabhi banday nay
Dil jaga diya hai
Ek tera gham bhi
Meray gham sa zaroor hai
Mainay bhi thokar khayi hai
Tu nay bhi thokar khayi hai….
Thokar jo mainay khayi
Ek pathar hawa may uchla
Dil say to aah nikli
Pathar ki bhi sada aayi
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment