Monday, 8 April 2013

Dair kitni lagti hai

Yaad ko pighalnay main dair kitni lagti hai. Khahishoon ko jalnay main dair kitni lagti hai. Aaj us na kah dia door janay sa qabal. Rasta badalnay main dair kitni lagti hai. Zindagi bana lia usko apni rooh ki. Zindagi badalnay main dair kitni lagti hai. Us kay janay sa mujhe agahe hui hai yah. Bastiaan ujarnay main dair kitni lagti hai. Hadsoon na torra hai dostoon na jora hai. Aadmi ko marnay main dair kitni lagti hai. Tum bachana pyar kay is diye ki aanch ko. Aandhion ko chalnay main dair kitni lagti hai. Us kay waday par rahay kuch khabar bhi na rahi. Pyar sa mukarnay main dair kitni lagti hai. Phool kay nikalnay tak rha mera uska saath bas. Phool ko bhikharnay main dair kitni lagti hai. Tairgi muqadar ki jaan hai meri ye warna. Raat ko guzarnay main dair kitni lagti hai. …

No comments: