Jb samajh paya nahin hoon baat ki tafseel main
Kis tarha se phir karoon ga hukam ki tameel main
Janta hoon meri rahon main kayi sehra b hain
Kr nahin sakta hoon lekin raasta tabdeel main
Rafta rafta ab kahani aa gyi uss mor pr
Sochta hoon de hi daloon phir nayi tashkeel main
Ma swa tere koi aankhon main jachta hi nahin
Dhoondh kr laoon kahan se ab teri tamseel main
Ye koi qissa kahani hai na afsana koi
Likh raha aansoo'on se pyar ki Amjeel main
Gardish e halaat hon, ya k hawa e gham chale
Umer bhar bujhne na doon ga yaad ki qandeel main
Khud ko Arshad gard se kb tk bchaoon main bhla
Khaak hoon ho jaoon ga iss khaak main tehleel main

No comments:
Post a Comment