Thursday, 26 September 2013

raha

Raha pa barhina wo khud magar naya boot mujh ko dila dia
Mere baap k isi roop ne mujhe baap jesa bana dia

Jo gulab taza the rakh diye kisi tooti phooti qabar per
Wo jo khardaar si bail thi usey raste se hata dia

Kisi khali taaq mein roshni ki lakeer lambi si khench di.
Kahin aik shikasta faseel per koi mor ujla bana dia

Mein tamasha dekhna chahta tha saron ki oonchi qitar se
Mere pair kandhay per rakh diye mujhe doosron se barha dia

Jo gila kia k shadeed dhoop mein yeh safar hai bohat kathan
To rida mein mujh ko chupa lia, karhi dhoop loo se bacha dia

Kabhi sardiyon mein hawa chali to thitharti raat ko farsh per
Mera baap chupke se so gaya mujhe apna khais orha dia

Jo nawale torh k dalta raha mere munh mein dulaar se
Usi dast-e-shafqat-o-mehar ne mujhe chup ka zehar khila dia




~:.Aitbaar Sajid.:~

No comments: