Sunday, 30 June 2013
inteha
Mat pooch meri mohabat ki intehaa kaha tak hai,
Tu kar le sitaam teri taaqat jahan tak hai,
wafa ki ummeed jinhe hogi unhe hogi,
Dekhoon tou zara tu bewafa kahatak hai..
Friday, 28 June 2013
Tuesday, 25 June 2013
aye dosti na chair
Aye dost! Na chairr batain aaj hijr-o-visaal ki,
Main kese sunaa paaon ga daastanapne zawaal ki,
Kabhi waqt ke aasman pe roshan sitarey they hum,
Ab halaat ne bhula di pehchan hadh-o-haal ki..
Visit www.zakhamehasrat.blogspot.com
Friday, 14 June 2013
Kanch ka soda
Mohabbat Kanch Ka Soda,
Mohabbat aag ka darya,
Mohabbat june jasi hai,
Mohabbat barf jasi hai,
Mohabbat raat kaali hai,
Mohabbat nella musam hai,
Mohabbat
kacha angan hai,
Mohabbat titlion ka ghar,
magar phir bhi,
Mohabbat kanch ka soda,
kisi namaloom basti se,
kisi anjan hasti se,
kisi kaghaz ki
kashti se,
kisi khirki k manzer se,
kisi dhundli c hasrat se,
kisi jhooti tasali se,
Mohabbat ho hi jati hai...!!!
Thursday, 13 June 2013
Muskurata h0n
kisi k you'n bicharnay say,
kisi k yaad Aanay say,
buhat say log rotay hain
, k rona aik riwayat hai
, riwayat torr jataa hoo'n,
tumhari yaad Aanay per
main aksar muskarata hoo'n
Muhabbat Zaat Hoti Hai (Poet: Farhat Abbas Shah)
Mohabbat Zaat Hoti Hai
Mohabbat Zaat Ki Takmeel Hoti Hai
Koi Jungle Mai Jaa Thehrey
Kisi Basti Mai Bas Jaye
Mohabbat Saath Hoti Hai
Mohabbat Khushbooun Ki Ley
Mohabbat Mosamon Ka Dhan
Mohabbat Aabshaaron Ke NikhartePaaniyon Ka Mann
Mohabbat Jungalon Mai Raqs Karti Morni Ka Tan
Mohabbat Barf Parti Sardiyon Mai Dhoop Banti Hai
Mohabbat Chilchilaatey Garm Sehraaon Mai Thandi Chaaon Ki Manind
Mohabbat Ajnabi Duniya Mai Apne Gaon Ki Manind
Mohabbat Dil
Mohabbat Jaan
Mohabbat Rooh Ka Darmaan
Mohabbat Moorti Hai
Aur Kabhi Jo Dil Ke Mandir Mai Kahin Per Toot Jaye To
Mohabbat Kaanch Ki Guriya
Fizaaon Mai Kisi Ke Haath Se Gar*** Jaye To
Mohabbat Aabla Hai Karb Ka
Aur Phoot Jaye To
Mohabbat Rogg Hoti Hai
Mohabbat Sogg Hoti Hai
Mohabbat Shaam Hoti Hai
Mohabbat Raat Hoti Hai
Mohabbat Jhilmilaati Aankh Mai Barsaat Hoti Hai
Mohabbat Nend Ki Rut Mai Haseen Khuwabon Ke Raston Par
Sulagtey, Jaan Ko Aate, Rat’jagon Ki Ghaat Hoti Hai
Mohabbat Jeet Hoti Hai
Mohabbat Maat Hoti Hai
Mohabbat Zaat Hoti Hai
(Farhat Abbas Shah)
Shehzadi
Is ney kaha tum shehzadi ho
Shehzadi bhi wo’key jis ko
Saat’on rang’on mein khushbo ko
Gondh key dala ho ga Rab ney, norani pekar ki sorat
Aik nazar tum dalo jis per
Pathar bhi ik bar to boley
Holey holey ankh’ein kholay
Wada kerta hun mein tum sey
Jo tum chaho, jo tum socho, jis shey ki ho khuahish tum ko
Apna tan man bech key bhi mein tum ko dun ga
Ik ishara ker key to dekho
Sara zamana war dun jana’n!
Tum ko jeet key dor thama ker
Apna sab kuch har dun jana’n!
Aur agar ye wada tor’on
Mujh ko jewan ras na aye
Doja mujh ko saans na aye
Is ney kaha tum shehzadi ho
Soch rahoi hun
Shehzadi kesi hoti hai?
Jesi mein hun
Shehzadi aisi hoti hai??
Chaley aao
Chaley aao
Wagarna dhoop ki chadar mein ye tan man
Jholas jaye ga to hum ko
Ghari mein raakh ker dey ga
Chaley aao
Abhi umeed ki palk’on pey roshan deep hein jana’n!
Agar ye bhujh gaye to tergi shab khoon marey gi
Tumhara nam dharkan mein abhi tak raks kerta hai
Hawa’on ney tumhara lims jo
Tum sey churaya tha… hamarey pas laya tha
Abhi wo lims baki hai
Bohat be-chain kerta hai
Laho mein beyn kerta hai
Chaley aao
Abhi tak chand mein chehra tumhara muskurata hai
Abhi kushbo ka qasid dil pey dastak denay ata hai
Hasee’n pegham lata hai
Abhi tak sab wohi kuch hai
Wohi chaht bahri baat’ein
Wohi larna jagharna piyar mein aur roth jana bhi
Ghari bhar mein, bohal jana aur akhir maan jan bhi
Tumh’ein wo phone ker key kehna jald aa jao
Ye dil tum bin nahi lagta
Tumhara jald ana aur wo sub kuch
Muhabbat aur sharart sey bharey lamhey
Abhi tak sub wohi kuch hai
Chaley aao..
Kahin hum gum na ho jain
Muhabbat Main
Muhabbat mein kabhi dorahey ka imkan nahi hota..
Ye hoti hai to hoti hai
Nahi hoti to jitna bhi jatan ker lo,nahi hoti
Koi acha agar lag jaye to sab khami’yan is ki
Achanak khobi’yon ki ourhni mein chup si jati hein
Zamana lakh samjhaye, sambhal jao
Samat aur basarat ko sujhai kuch nahi deta
Samajh ata hai us lamhey
Key jab daman mein lakh’on chyedho ja’ein
Kabotar key par’on key sath liptey
Sab ayaa’n jab bheyd ho jain
Muhabbat mein kabhi dorahey ka imkan nahi hota..
Ye hoti hai to hoti hai
Nahi hoti to jitna bhi jatan ker lo,nahi hoti
Chalo Sahil Pe Ja Kar
Chalo sahil pey ja ker
Gulab’on kin kanwari pati’yon per shabnami moti
Chamak uthtey hein lakhtey ko
Magar phir bhujh bi jatey hein
Key dasht-e-arzo ki rait ankh’on mein khatakti hai
Chalo shil pey ja ker….
Ro pehli chand ki kiran’on ko muthibech band ker key
Hawa’on sey bhi saat’on sur churatey hein
Chalo mitti ka ik chota sa dono ghar banatey hein
Ghari bhar ko sahi par khul key dono muskuratey hein
Jo likhey ja chukey hein pathar’on per khushk pat’on per
Wo mah-o-sal gintey hein
Chalo sahil pey ja ker apni palko’on sey
Sunehra jal buntey hein
Saturday, 8 June 2013
Sahil par woh dekh rahi thi
Sahil per wo dekh rahi thi
Mit’ti banti rait ki lehar’ein
Rukti, chalti, bal khati aur thaki thaki si
Aur samandar aj bhi bilkul wesa hi tha
Hera’n hera’n thehra thehra
Tanhai key karb mein doba
Uljha uljha, piyasa piyasa
Shayad isey yaad aai phir sey
Ik kahani,
Jis mei ik choti si gurriya
Aik jazeray per rehti thi
Char’on aur sanata sa
Gurriya khod sey baat’ein kerti
Aksar in baat’on per hasti, aksar rooti
Kabhi kabhi wo thak si jati
Ik din soraj jaga to herat sey dekha
Gurriya ka chota sa ghironda
Dour dour tak kahi’n nahi tha
Mit’ti banti rait ki lehar’ein aur samandar
Souch rahi thi
Sagar ziyada gehra hai ya….?
Yak dam hoq si uthi man mein
Aur wo boli
Dil ka cheyt bohat gehra hai
Friday, 7 June 2013
Aksar mein rota hon
Tumhain Hardam Fasurda Dekhkar Aksar Mein Rota Hoon
Kuch Din Kay Liye Apni Pareshani Mujhe Day do
Tumhara Der Tak Raaton Ko Takna Chaand Taaron Ko
Mein Lay lon ga Chalo Tum Apni Hayrani Mujhe Day do
Sisakna,Sochna, Karwut Badalna Tera Bistar Par
Khushi Laylo Tum Apni Yeh Pashaymani Mujhe Day do
Mujhe Kaanton Ka Bistar Bhi Lagay Ga Saij Phooloon Ki
Agar Tum Apni Aankhoon Ki Yeh Wayrani Mujhe Day do
Mein Sehrawoon Mein Jee loon ga Magar Yeh Sharat Hai Meri
Tum Apni Aankh Ka Bus Boond Bhar Paani Mujhe Day do
Us ki chahat ki
Us ki chahat ki chandni ho gi,
Khoobsorat si zindagi ho gi,
Ek larki bohat sey phool liye,
Dil ki dehleez par khari ho gi,
Chahey jitney charagh gul kar do,
Us key ghar roshni to ho gi,
Neend tarsey gi meri ankhon me,
Jab bhi khawbon sey dosti ho gi,
Hum bohat door the magar tumne,
Dil ki aawaz to suni ho gi,
Sochta hun key wo kahan ho gi,
Kis key angan me chandni ho gi
Thursday, 6 June 2013
Talab asi na koi cheez zaroorat jaisi,
Talab asi na koi cheez zaroorat jaisi,
Koi tu baat thi hum tum main mohabbat jaisi..
Gar khuda mera meray dil ki dua sunn leta,
Surtain sari banata teri surat jaisi..
Dekhna usi ko faqat toot ke dekhakarna,
Meri haalat bhi thi deewano jaisi..
Ankh main utray koi chehra tere chehray saa,
Koi tasweer tu ho teri shabahat jaisi..
Teray hum’rah tera sayaa bhi kab dekh sakoon,
Dil jalati hai koi baat raqabat jaisi..
Un dino waqt bhi thehra howa sa lagta tha,
Aur fursat bhi thi hum ko koi fursat jaisi..
(Poet. Yasmin Seher)
Acha Hai.
Koi kaanta mere dil mein chubho jaye to acha hai,
Hamesha ke liye woh mujhse kho jaye to acha hai,
Rakhen ge is tarah dhoke se kab tak khawab ankhon mein,
Jo hona kal hai woh sab aaj ho jaye to acha hai,
Kabhi sheher-e-tamana ne kabhi kisi ne phool paaye kya,
Yeh titlee soch kar kaanton per so jaye to acha hai,
Kayi din se mere ghar ke dar-o-deewar hain viraan,
Kisi ke wasl ki baarish jo ho jaye to acha hai,
Jahan par phool khilte they wahan ab khaak urrti hai,
Mere seeney pe jugnu beej bo jayeto acha hai,
Mein pathar ho gaya hoon gham seaesa reh nahin sakta,
Agar barish mera chehera bhigo jaye to acha hai,
Yeh maana hijrtain is gaaon se zaroori hain,
Meri basti mere andar samo’o jaye to acha hai,
Mein ab ke chahta hoon yeh ke is saawan jo barish ho,
Puraney mausmon ke rang dho jaye to acha hai,
Bhanwar se bheek mangey ga? Teri fitrat nahin Sahir,
Tu kashti aap hi apni dabo’o jaye to acha hai…
(Poet. Sahir Rasool)
Woh hijar to deta hai
Woh hijar to deta hai judai nahin deta,
Kya tarfa tamasha hai bhujai nahin deta,
Mehsoos to hota hai rag-e-jan mein hi aksar,
Woh dard ka naghma jo sunaayi nahin deta,
Hain bhool bhulayi’an bhi ke rasta nahi milta,
Yeh sheher-e-sitam’gar hai rehayi nahin deta,
Tum ne kabhi socha hai ke parwana-e-nayab,
Khamosh hi marta hai duhaayi nahin deta,
Is dabr-e-harabat mein nuksaan yeh Sahir,
Jo deed ke kaabil hai dikhayi nahindeta..
(Poet. Sahir Rasool)
Muhabbat Ko Na Jane Do?
Muhabbat ko na janey do..
Agr tum char’on janib ghor sey dekho
To tum ko ye khabar ho gi
Zamana aik muthi khak sey barh ker nahi’n jana’n!
Agar ankh’on mein dalo gey
To benai gawao gey
Agar dil mein sambhalo gey,to tumjenay sey jao gey
Zamana aik muthi khak sey barh ker nahi’n jana’n!
Chu’o to hath melay hon
Chalo is per to dono’n peyr chaley hon
Hawas ney jal char’on simt daley hein
Aur is key rog kaley hein
Sambhal key jo chaley’ mano mukadar ke hai sikandar
Zamana aik muthi khak sey barh ker nahi’n jana’n!
Magar is khak ko agar koi dil ki ankh sey dekhay
To ik anmol heera’ samney apney wo paye ga
Hazar’on chand sey barh ker ujaleyley ey aye ga
Usey heran ker dey ga
Bari sey ho bari mushkil’ usey asan ker dey ga
Isi anmol heray ka nam muhabbat hai jana’n!
Muhabbat dil pey dastak dey to aney do
Muhabbta ko na janey do
Muqadar sey agr tum ko mil jaye to ganwana mat
Usay muthi mein band rakhna’ girana mat
Ye wo dolat hai jo ik bar
Gum ho key nahi milti
Ye wo khushbo hi jo her phool key dar per nahi jati
Muhabbat jab chali jaye kabhi wapis nahi ati
Muhabbat ko na janey do
Kuch lafz hoty hain
Nahi’ein key bad bhi kehney ko sun’ney ko
Bohat sey lafz hotey hein
Magar in ko talashey ga wohi jo ba-hunar ho ga
Jo lafz’on mein chupi dharken sey jana’n ba-khabar ho ga
Nahi’en key bad bhi asbat ka imkan hota hai
Magar kuch log rastey mein hi himat har detay hein
Wo lafz’on mein chupay mani,chupey arman kesay jaan saktey hein
Key aksar hum nahi’en mein ‘han’ bhi rakhtey hein
Magar ik zid si hum ko tok deti hai
Ana dewaar ban key rok deti hai
Aur hum ye soch ker bhi har jatey hein
Key shayad samney wala
Hamarey dil mein jhanky ga
Nai’ein mein han ko bhanpey ga
Hamara hath thamey ga
Galey hum ko lagaye ga
Hamari maat ko jeet ker dey ga
Ye sar-garm geet ker dey ga
Magar aisa nahi hota
Nahi’en ko ley ker kuch lamhey
Laho ho jatey hein jana’n!
Wo jin ko sath chalna ho wohi kho jatey hein jana’n
Nahi’en key bad bhi kuch lafz hotey hei
Zindagi Se Darte Ho,
Zindagi se Darate ho,
Zindagi to tum bhi ho,
zindagi to ham bhi hain,
Adami se Darate ho,
Adami to tum bhi ho,
adami to ham bhi hain,
Adami zuban bhi hai,
adami bayan bhi hai,
Is se tum nahi Darate,
Harf aur mani ke rishte haye ahan se adami hai wabasta,
Adami ke daman se zindagi hai wabasta,
Is se tum nahi Darate,
Ankahi se Darate ho,
Jo abhi ai nahi us ghari se Darate ho,
Us ghari ke ane ki ag hi se Darate hi,
Pahale bhi to guzare hain,
Daur narasai ke, beriya, Khudai ke,
Phir bhi ye samajhate ho hech azarumandi,
Ye shab zuban bandi, hai rahe Khuda bandi,
Tum yahi samajhate ho, tum magar ye kya jano,
Lab agar nahi hilate hath jag uthate hain,
Hath jag uthate hain rah ka nishan ban kar,
Nur ki zuban ban kar,
Hath bol uthate hain subah ki azan ban kar,
Roshani se Darate ho Roshani to tum bhi ho,
roshani to ham bhi hain,
Roshani se Darate ho,
Shahar ki fasilon par Dew ka jo saya tha,
pak ho gaya akhir,
Azdaham e afsan se fard ki nawa ai Zat ki sada ai.
Rah e shauq may jaise rahrawi Khun lapake,
Ik naya junun lapake Adami chalak uthe,
Adami chalak uthe Adami hanse dekho,
shahar phir base dekho,
Tum abhi se Darate ho,
Han abhi to tum bhi ho,.
han abhi to ham bhi hain,
Tum abhi se Darate ho,
Zindai se Darte ho,
Ujry Ujry Kharabon main.
Ujry Jury Kharabon Main,
Zindagi Katt Gai Aazabon Main,
Husn Ke Dam Barh Gay Hon Gay,
Suratin Chup Gai Naqabon Main,
Hum Ne Youn Hi Kahi Kahi Thi Jag Beeti,
Tazkaray Cìr Gaye Nisabon Main,
Raat Ka Kya Hai,
Beet Jaye Gi,
Teri Yadon Main Tere Khuwabon Main,
Aisi Rangat Tou Chandni Main Nai,
Aisi Khushbon Kahan Hai Gulabon Main,
Aisi Aankhein Bi Nai,
Kahein bi Nai,
Aisa Nasha Khan Sharabon Main,
Husn Ki Raj Dhani Lutt ßi Chuki,
Dastan Reh Gai Kitabon Main,
Teri Yadon Ka Chand Doob Gaya,
Manzilen Kho Gai Sarabon Main,
Wednesday, 5 June 2013
Wafa ke moti
Dhonda joray huay log’on mein
wafa key moti..
Ye khazaney tujhey mumkin hai
kharab’on mein mil’ein!
Pathar Ke Ho Gay
Hasne Ki Justju Mein Dabaya Jo Dard Ko,,,
Aansoo Hamari Aankh Mein
Pathar Ke Ho Gaye!!
Kho Chukka Tha Rasta
Manzilon ki aas main,
chalty chalty door tak,
paon chalni ho gaye,
Bakhat
jesay so gaey,
hath tera chut giaa,
zad e rah lut geaa,
kuch na ho pai
khabar,
kuch pata nhi chala,
kon sa
wo mor tha,
ho giaa tu kab juda,
phir
palatna chaha to,
KHO CHUKKA THA RASTA.
Sunday, 2 June 2013
Zakhm kha Ke
Woh Mere Dard Ka Andaza Karne Aya Tha....
Ma!n Hans Ke Zakham Na Khata
To Aur Kya Karta..
Saturday, 1 June 2013
Dil ne tujhko hi pukaara
Chaahe dukh ho,
chaahe sukh ho
,
Dil ne tujhko hi pukaara,
Tune hum ko hai banaaya,
Tune humko hai sanwaara,
Bas tera saath ho,
Chaahe jo baat ho,
Tere kehne se kar jaayenge
,
Hum mar jaayenge....
Tere bin
Aik Ajeeß C Qefiyat Hai Tery Bin.....
Reh ßhi lete Hain Orr.....
Raha ßhi Nai Jata...!!!
Pehlu Main Hamaare
Tum Kabhi Aaao Pehlu Main
Hamaare...!!!
!
Ke Hazaron Hasratain Yunhi Machalti
Hain..
Khaak Mutti Mein
Khaak mutti mein laye qabar ki
s ochta hon Iqbal...
Insan jo marty hein to gharoor
kahan jata hai...?
Sham ko jab
Zindagani ki haqeeqat kia hai ye bhi
sochna..
Sham ko jab dobtey soraj ka
manzar dekhna.!
Laut Aai
Laut Aai Hyn Dekho Barishe'n Phir
Se Yahan Wahan,
Ek Tum Hii Ko Laut Aane Ki Fursat
Nahi Mili......!!!!
Asman ke nechay
Zameen dhondtey hein asmaa’n key
nechay..
Zara bhi saya nahi hai saibaa’n key
nechay…
Teri mehar bani
KaBhi PEGHAM -E- ULFAT
,,,
Aur KaBhi Tera KhaFa HoNa...
Hai To SRrasaR NAjAIZ,,,
LEKIN
Teri Ye Bhi MehrBani,,
,
Teri Wo Bhi MeherBani...!!! !!
Zindagi tere liye
Zindagi teray liye sb ko khafa hum
ney kiya..
Apni kismat hai key ab tu bhi khafa
hum sey hui.!!
Riffat-e-khayal
Riffat-e-khayal na wosat-e-nazar
mein hai..
Mehdod husn-e-yar dil-e-bekhabar
mein hai.!
Rang-E-Mehfil Dekh Kar
Rang-e-mehfil dekhney ko hosh
mein aye thay hum..
Hosh phir urney lagey hein rang-e-
mehfil dekh ker!
Subscribe to:
Posts (Atom)