Thursday, 13 June 2013
Shehzadi
Is ney kaha tum shehzadi ho
Shehzadi bhi wo’key jis ko
Saat’on rang’on mein khushbo ko
Gondh key dala ho ga Rab ney, norani pekar ki sorat
Aik nazar tum dalo jis per
Pathar bhi ik bar to boley
Holey holey ankh’ein kholay
Wada kerta hun mein tum sey
Jo tum chaho, jo tum socho, jis shey ki ho khuahish tum ko
Apna tan man bech key bhi mein tum ko dun ga
Ik ishara ker key to dekho
Sara zamana war dun jana’n!
Tum ko jeet key dor thama ker
Apna sab kuch har dun jana’n!
Aur agar ye wada tor’on
Mujh ko jewan ras na aye
Doja mujh ko saans na aye
Is ney kaha tum shehzadi ho
Soch rahoi hun
Shehzadi kesi hoti hai?
Jesi mein hun
Shehzadi aisi hoti hai??
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment