Thursday, 6 June 2013

Muhabbat Ko Na Jane Do?

Muhabbat ko na janey do.. Agr tum char’on janib ghor sey dekho To tum ko ye khabar ho gi Zamana aik muthi khak sey barh ker nahi’n jana’n! Agar ankh’on mein dalo gey To benai gawao gey Agar dil mein sambhalo gey,to tumjenay sey jao gey Zamana aik muthi khak sey barh ker nahi’n jana’n! Chu’o to hath melay hon Chalo is per to dono’n peyr chaley hon Hawas ney jal char’on simt daley hein Aur is key rog kaley hein Sambhal key jo chaley’ mano mukadar ke hai sikandar Zamana aik muthi khak sey barh ker nahi’n jana’n! Magar is khak ko agar koi dil ki ankh sey dekhay To ik anmol heera’ samney apney wo paye ga Hazar’on chand sey barh ker ujaleyley ey aye ga Usey heran ker dey ga Bari sey ho bari mushkil’ usey asan ker dey ga Isi anmol heray ka nam muhabbat hai jana’n! Muhabbat dil pey dastak dey to aney do Muhabbta ko na janey do Muqadar sey agr tum ko mil jaye to ganwana mat Usay muthi mein band rakhna’ girana mat Ye wo dolat hai jo ik bar Gum ho key nahi milti Ye wo khushbo hi jo her phool key dar per nahi jati Muhabbat jab chali jaye kabhi wapis nahi ati Muhabbat ko na janey do

No comments: