Saturday, 8 June 2013

Sahil par woh dekh rahi thi

Sahil per wo dekh rahi thi Mit’ti banti rait ki lehar’ein Rukti, chalti, bal khati aur thaki thaki si Aur samandar aj bhi bilkul wesa hi tha Hera’n hera’n thehra thehra Tanhai key karb mein doba Uljha uljha, piyasa piyasa Shayad isey yaad aai phir sey Ik kahani, Jis mei ik choti si gurriya Aik jazeray per rehti thi Char’on aur sanata sa Gurriya khod sey baat’ein kerti Aksar in baat’on per hasti, aksar rooti Kabhi kabhi wo thak si jati Ik din soraj jaga to herat sey dekha Gurriya ka chota sa ghironda Dour dour tak kahi’n nahi tha Mit’ti banti rait ki lehar’ein aur samandar Souch rahi thi Sagar ziyada gehra hai ya….? Yak dam hoq si uthi man mein Aur wo boli Dil ka cheyt bohat gehra hai

No comments: