Thursday, 6 June 2013

Kuch lafz hoty hain

Nahi’ein key bad bhi kehney ko sun’ney ko Bohat sey lafz hotey hein Magar in ko talashey ga wohi jo ba-hunar ho ga Jo lafz’on mein chupi dharken sey jana’n ba-khabar ho ga Nahi’en key bad bhi asbat ka imkan hota hai Magar kuch log rastey mein hi himat har detay hein Wo lafz’on mein chupay mani,chupey arman kesay jaan saktey hein Key aksar hum nahi’en mein ‘han’ bhi rakhtey hein Magar ik zid si hum ko tok deti hai Ana dewaar ban key rok deti hai Aur hum ye soch ker bhi har jatey hein Key shayad samney wala Hamarey dil mein jhanky ga Nai’ein mein han ko bhanpey ga Hamara hath thamey ga Galey hum ko lagaye ga Hamari maat ko jeet ker dey ga Ye sar-garm geet ker dey ga Magar aisa nahi hota Nahi’en ko ley ker kuch lamhey Laho ho jatey hein jana’n! Wo jin ko sath chalna ho wohi kho jatey hein jana’n Nahi’en key bad bhi kuch lafz hotey hei

No comments: