Adawat se bhari rahguzar hi maskeen ho jaye
ahl-e-karam shahar ka aur yun haseen ho jaye
katl kar kar ke zamana haara to kah pada
saleem kyun na zakham tere mutallikeen ho jaye
shamma-e-bazm apni lau se bhi nikharti hai
harf jo bhi lafzon me dhale taskeen ho jaye
gaur karne ko na kah kisi ko tere rukh pe
itne pashema hain ki mutakhisimeen ho jaye
zaroori nahi har kaam me matlab chhupa ho
rafaqat ko mumkin kahan vo pardanasheen ho jaye
utha sakte ho to uthao kabhi Khudaayi ka taraazu
kahna jo nahi insniyat hi shaheen ho jaye
ye bhi hai ki hashr me sab be-naqaab honge
phir na kahna E Khuda dil nazuki ka shaukeen ho jaye
nukhtacheeni se parhez yun rang laya hai 'kaash'
mojeza nahi jo tu mutghazzleen ho jaye
No comments:
Post a Comment