Thursday, 28 November 2013

pni rusavaaee,

apni rusavaaee, tere naam ka charchaa dekhun
ek zara shaer kahun aur main kyaa kyaa dekhun

neend aa jaaye to kya mehfilein barpaa dekhun
aankh khul jaaye to tanhaaee ka sehraa dekhun

shaam bhi ho gaee dhundhalaa gaee aankhein bhi meri
bhoolney waley main kab tak tera rastaa dekhun

sab zidden us ki main poori karun, har baat sunoon
aik bachey ki tarah se ussey hanstaa dekhun

mujh pe chhaa jaaye wo barsaat ki khushbu ki tarah
ang ang apna ussi rutt mein mehaktaa dekhun

tu meri tarah se yaktaa hai magar mere habib!
jee mein aata hai koi aur bhi tujh saa dekhun

main ne jis lamhey ko pooja hai ussey bas ek baar
Khwaab ban kar teri aankhon mein utartaa dekhun

tu mera kuchh nahin lagta hai magar jaan-e-hayaat
jaaney kyon terey liye dil ko dharaktaa dekhun!!

No comments: