Tuesday, 5 November 2013

ik trei arzu

raastay, manzilaiN, justaju.. aur maiN
ham nafas.. ik teri aarzu.. aur maiN
koi rishta, shanasaai, kuch bhi nahiN
aaina hai mere rubaru.. aur maiN
jugnuoN ki talab ka sila yeh mila
teergi hai mere chaar su.. aur maiN
khwaab ki titliyaN jab uReeN aankh say
reh gai khwahish-e-rang-o-bu.. aur maiN…..
raat bhar jaagtay haiN sitaroN talay
tera lehja.. teri guftagu.. aur maiN
aankh maiN khwaab ki kirchiyaN reh gayeeN
hath maiN qismatoN ka lahu.. aur maiN ……
sochti hooN.. kahaN jaooN, kis say kahoon
shehr dushman.. Faza bhi adu.. aur maiN
ik mere ishq ki tishnagi.. aur tu
ik tere hijr ki aabju.. aur maiN
daaman-e-umr main sar chupa kar, bohat
ro diye haiN.. teri aarzu.. aur maiN
raig-e-sehra huwe haiN tere ishq maiN
mere aihsaas ki aabru.. aur maiN
mere saahir.. bichaRtay samay reh gayeeN…
teri aankhaiN mere chaar su.. aur maiN
kaash aisa ho.. saahil kanaaray kabhi
!..aur koi na ho.. sirf tu.. aur maiN…..
! . .. . . aks-e-janan kii khair ho rabba
khawab aankhon samait toota hai

No comments: