Thursday, 7 November 2013

Dunia Ko Parkhnay Ka Hunar Main Nahi Rakhta

Dunia Ko Parkhnay Ka Hunar Main Nahi Rakhta
Saada Hun K Baton Me Makar Main Nahi Rakhta

Rakhta Hun Faqat Apnay Hi Aibon Pe Nigahen
Logon Ki Khaton Pe Nazar Main Nahi Rakhta

Rehta Hun Samndar Ki bhi Tughyani Me Choband
Bandhay Huay Paon Me Bhanwar Main Nahi Rakhta

So Jata Hun Be Khof Jahan Chahun Main Jis Waqt
K Bnda-e-Mazdoor Hun, Zar Main Nahi Rakhta

Dil Tor K Hansanay Ka Agr Naam Hunar Hai
Main Khush Hun K Phir Aisa Hunar Main Nahi Rakhta

Karta Hun Tumharay Sabi Jazbon Ki Qadar Main
Haq Tujh Pe Meri Jaan Magr Main Nahi Rakhta

Kamil Hai Yaqeen Mera KHUDA Pr Jabhi
Dil ME Koi Andesha Ya Dar Main Nahi Rakhtya

No comments: