Thursday 25 December 2014

Zindagi

Ay zindagi ja dhoond koi bichar gia mujh sy....
........Or Sun......
,,,Wo na mily tou tum bhi lot k mat aana...........

Wednesday 24 December 2014

Mout

Kaise bhula doon usko main,

Maut insaano koh aati hain, yaadon koh nahin...!!!

Thursday 11 December 2014

Mera noha inhi galiyon ki hawa likhe gi...

Main k is shehr ka seemaab-sifat shaayar hoon
Meri takhleeq mere fikr ki pehchaan bhi hai
Mere harfoN, mere lafzoN mein hai chehra mera
Mera fan ab mera mazhab, mera eemaan bhi hai
Meer o Ghalib na sahi phir bhi ghaneemat jaano
Mere yaaroN k sarhaane mera deewaan bhi hai
Mujhse poocho k shikast-e-dil o jaan se pehle
Mere ehsaas pe guzri hai qayaamat kya kya
Saaya-e-daar o shab-e-gham ki sakhaawat se alag
Main ne sochi qad o geisu ki alaamat kya kya
Mere toote huey khwabon k kharaabon se pare
Mere bikhre huey jazbe they salaamat kya kya
Tanz-e-aghyaar se ehbaab k ikhlaas talak
Main ne har ne'mat-e-uzma ka libaada pehna
Dast-e-qaatil ki kashish aap gawaahi de gi
Main ne har zakhm qaba se bhi zyaada pehna
Meri aankhoN mein kharaashein theeN dhanak ki lekin
Meri tasveer ne malboos to saada pehna
Zarbat-e-sang-e-malaamat mere seene pe saji
Tamgha-e-jurrat o ezaaz-e-hukoomat ki tarha
Khul k barsi meri sochon pe adaawat ki ghata
Aasmaanon se utarti hui daulat ki tarha
Qarya qarya hui ruswa mere fan ki chaahat
Kone kone mein bikharti hui shohrat ki tarha
Mujh pe karrki hain kamaanein mere gham-khwaroN ki
Mere ashkon ka tamaasha sar-e-baazaar hua
Mere aangan mein hawaadis ki sawaari utri
Mera dil wajh-e-azaab-e-dar o deewaar hua
Ishq mein izzat-e-saadaat bhula kar aksar
Meer saahab ki tarha main bhi gunahgaar hua
Apni ujrri hui aankhon se shuaayen le kar
Main ne bujhti hui sochon ko jawaani di hai
Apni ghazlon k sukhan-taab sitaare chun kar
Sangreizon ko bhi aashufta-bayaani di hai
Husn-e-khaak-e-rah-e-yaaraan se mohabbat kar k
Main ne har morr ko ik taaza kahaani di hai
Mujhse roothe hain mere apne qabeele waale
Mere seene mein har ik teer-e-sitam toota hai
Lafz o ma'ni k taqaazoN se ulajh kar aksar
Mere haathon mera majrooh qalam toota hai
Karb-e-na-qadri-e-yaaraaN k bhanvar mein ghir kar
Baar-ha dil ki tarha shauq ka dam toota hai
Main k is shehr ka seemaab-sifat shaayar hoon
Main ne is shehr ki chaahat se sharf paaya hai
Mere a'ada ka ghazab abr-e-karam hai mujh ko
Mere ehbaab ki nafrat mera sarmaaya hai
Meri bikhri hui ruswaai hai shohrat meri
Mere sehra ki tamaazat mera sarmaaya hai
Mutma'in hoon k mujhe yaad rakhe gi dunia
Jab bhi is shehr ki tareekh-e-wafa likhe gi
Mere ghar k dar o deewaar mujhe sochein ge
Wus'at-e-dasht mujhe aabla-pa likhe gi
Mera maatam isi chup chaap fiza mein hoga
Mera noha inhi galiyon ki hawa likhe gi...

Saturday 6 December 2014

Jb tere shahr se guzarta hun

Jb tere shahr se guzarta hun

Dil bhi karta hain yaad chupke tujhe
Naam leti hain zuban tera

ye bhi nahin mallum mujhe
Kis mohalley mein hein makan tera
Kaun si shakh-e-gul pe raqsan hai
Rashk-e-firdaus aashiana tere
Jane kin vadiyon mein thehra hein
Girat-e-husn karvaan tera
Kis se puchunga main khabbar teri
Kaun batlaye ga nishaan tera

Teri rusvaiyon se darta hun
Jb tere shahr guzarta hun

Hall-e-dil bhi na keh saki garche
Tuu rahi muddaton kareeb mere
Kuch teri azmaton ka daar bhi tha
Kuch khayallat the ajeeb mere
Bar-e-dar ho gaye raqiib mere
Tu mujhe choor ke chale bhi gayi
Khair kismat meri naseeb mere

Ab mein kyu tujse pyar karta hun
Jb tere shahr se guzarta hun

Vo zamane teri mohhabat ke
Ek bhuli hui kahani hain
Tere kuuche mein umr bhar na gaya
Saari duniya ki khaq chahni hain
Laazat-e-qarb ho ke zakhm-e-firaq
Jo bhi hain teri meharbani hain
Kis tammana se tujko chaha tha
Kis mohabbat se har mani hai

Apni qismat pe naz karta hun
Jb tere shahr se guzarta hu

Friday 5 December 2014

Us ko chaha to boht magar wo mila hi nahin

Us ko chaha to boht magar wo mila hi nahin
lakh koshish ki magar wo dil se mita hi nahin

us ko zamane ne majboor is qadr kar diya
ki wo meri kisi sda par ruka hi nahin

khuda se johli pehla- pehla kar manga tha use
magar khuda ne meri kisi dua ko suna hi nahin

har ek se poocha sabab uske na milne ka
har ek ne bataya ki wo tere liye bna hi nahin

mein tmam umr ki koshishon ke bavjood bhi nakam ho gayi
aur wo mil gaya usko jise usne kabhi MANGA hi nahin

Thursday 4 December 2014

Terey baghair Sard mosmo'n ke khusgawar Din Udaas hen....

Terey baghair Sard mosmo'n ke khusgawar Din Udaas hen....

Fiza me Dukh Racha hoa hi..


Hawa koi udaas geet gungana rahi hi...


Phool ke Labo'n pe Peyas hi..


Aisa Lagta hi..

Hawa ki Aankhen Rotey Rotey khushk ho gai hon..


Saba ke dono hath khali hon..


keh...

shehr mein Tera koi pata nahen...

saans lena kitna mahaal hi..

udassian udassian Ajab haal hi..

Tamam sabz sayya-dar pero'n ney...

Tery baghair wehshato'n me apney perahan ko tar tar kr dia...

Ab kisi shajr key Jism per Qubba nahen....

Sookey Zard pattey...

Koo ba Koo teri tilaash me Bhatak rahey hen...

Meray Daricho'n me Gulabi dhoop roz jhaankti hi...

Mgr uss ki Aankho'n me..

Wo Jag-mgahetie'n nahen...

Jo teray Waqt me Zameen key sabeeeh maathey per...

Soorajo'n ki kehkashan'n sajaaney aatie'n thien..

Zamee'n bhe meri Trah hi..

Teray baghair es ki Kohk se bhe ab..

Koi Gulaab uug na paye ga..

Zamee'n Banjer ho gai hi...

Aur...
Meri Rooh ki Bahaar Aafree'n kohk be...

Meri soch key sadaf mein...

Fun key suchey moti kis trah Janam lia kren...

keh main sarapa-e-tashnagi hon...

Aur door door tak, Visaal-e-abr ki khabr nahen...

Meray aur Teray darmian...

Paanch Paanio'n key Des mein...

Kachey gharrey bhe to meri dastars se door hen...

Mian kis trah SHER kahoo'n...

Meri Soch key Badn ko, tooo Namoo to dey...

keh...
Main Teray baghair Ek Sehra hon..........!!

Tum inka

Tum inka intizaar karo....shouq se karo~

Aata magar palat ke dobarah koi nahi

Wednesday 3 December 2014

Dekhna chahaty ho

Dekhna chahaty ho tum bin mere halat kaisy hain..

To dekh lena kabhi pani se machli nikal kar..