Saturday 28 December 2013

Shab

Hawae shab tujhe aingan se milna hai, So tere pass imanat hai guftago meri.

Sunday 1 December 2013

Samajh Main Nahi Aata

Tery Khuwaabon Ka Bi Hai Shoq Teri Yaadon Main
Bi Hai Maza,

Samajh Main Nahi Aata So Jaon K Tujhy Yaad
Karn

Saturday 30 November 2013

Mere Aage Koi Saya

Main Hoon Ya Tu Hai ,Khud Se Gureza Jaise,
Mere Aage Koi Saya Hai,Kharaman Jaise..


Tujhse Pehle Toh Baharon Ka ,Yeh Andaaz Na Tha,
Phool Yun Khilte Hai,Jalta Ho Gulistaan Jaise…

Yun Teri Yaad Se Hota Hai ,Ujala Dil Mein,
Chandni Mein Chamak Uthta Hai,Bayaabaan Jaise..

Dil Mein Roshan Hai,Abhi Tak Tere Wadon Ke Chiraag,
Toot-Ti Raat Ke Taare Ho, Farozan Jaise..


Waqt Badla Per,Na Badla Mere Mayar-E-Wafa,
Aandhiyon Mein ,Sar-E-Kohsaar Charagan Jaise..

Zakhm Badhta Hai Zamana,Magar Is Tarah,
Si Raha Ho Koi ,Phoolon Ke Girebaan Jaise…….

gham-e-aashqi say pehlay,

Hamay koi gham nahin tha, gham-e-aashqi say pehlay,
Na thi dushmani kisi say, teri dosti say pehlay !

Hai yeh meri badnaseebi tera kya kasoor ismay,
Teray gham nay maar daala mujhay zindagi say pehlay !

Mera pyaar jal raha hai aray chaand aaj chup jaa,
Kabhi pyaar tha hamay bhi teri chaandni say pehlay !

Main kabhi na muskarata jo mujhay yeh ilm hota,
Ki hazaron gham milengay mujhay ik khushi say pehlay !

Yeh ajeeb imtehaan hai ki tumhi ko boolna hai,
Milay kab they is tarah hum tumhay bedilli say pehlay !

Hamay koi gham nahin tha, gham-e-aashqi say pehlay,
Na thi dushmani kisi say, teri dosti say pehlay !

Mairey Pass Aaye To Kya Karoon

Main Bhula Chuka Sabhi Waastey Jo Thay Manzilon Ke Hasool Mein
Mairi Manzilon Ke Hasool Mein Teri Raah Aaye To Kya Karoon

Jo Pukaarta Tha Her Aik Gharri Jo Jurra Tha Dil Say Larri Larri
Koi Shaks Aisa Ager Kabhi Mujhey Bhool Jaye To Kya Karoon

Kabhi Saath Tha Jo Ke Doo-ba-Doo Tha Humesha Mairey Hi Ru-ba-Ru
Jo Barrha Raha Tha Qadem Mairey Woh Hi Dagmaga jaye To Kya Karoon

Woh Charaagh-e-Dar Jo Jala Kabhi Main Bujha Chuka Hoon Magar Kabhi
Ke Bujha Huwa Bhi Diya Ager Maira Ghar Jalaye To Kya Karoon

Mainey Aks Tak To Mitta Diye Sabhi Aainey Bhi Chupa Diye
Tujhey Daikhta Koi Door Say Mairey Pass Aaye To Kya Karoon

ankhoon mein

dil mein ik tasveer chupi thee, aan basi hai ankhoon mein
shaid hum nay aaj ghazal see baat likhi hai ankhoon mein

jaisay aik asaami larki mandar kay darvaazay par
shaam diyoon ke thaal sajaye jhaank rahi hai ankhoon mein

iss romaal ko kam mein laoon apni palkain saaf karoo
mayla mayla chand nahi hai dhool jami hai ankhoon mein

parhta ja yeh manzar nama zard azeem paharoon kaa
dhoop khili palkoon kay opar, baraf jami hai ankhon mein

mein nay aik novell likha hai anay wali subah kay naam
kitni ratoon jaga hono, neend bhari hai ankhoon mein

Parveen Shakir

paani per bhi zaad-e safar main piyaas tu letey hain
chahney waley aik dafa bin baas tu letey hain

aik hi sheher main reh kar jin ko izn-e deed na ho
yehi bohat hai, aik hawa main saans tu letey hain

rasta kitna dekha howa ho, phir bhi shah-sawaar
aerh laga kar apney haath main raas tu letey hain

phir aangan dewaroo.n ki onchaai main gum hoon gai
pehley pehel ghar apnoo.n k paas tu letey hain

yehi bohat hai k bachey khaali haath nahi hain
apney purkhoo.n ki meraas tu letey hain




Parveen Shakir

Meray sabr ko aazma raha tha

Meray sabr ko aazma raha tha
Wo meray qareeb aa raha tha!

Usay dar tha ke mein bichadh na ja’on
Mujhay apna yaqi’n dila raha tha

Kisi aur ki mein samajh na pa’oon
Mujhay aisi zaba’n sikha raha tha!

Ye jaha’n gul aur qamr-o-saba
Mujhay sub se hasi’n batla raha tha

Ik din mujh se milnay youn aaya
Ke sara badan uska sharma raha tha!

Ye aadat bhi uski badi dilruba thi
Nigahain jhuka ker wo muska raha tha!

Kabhi youn na usko haseeno’n mein deikha
Jo deikha mera dil bhi ghabra raha tha

Juda hoke mujh se wo ik roz baad
Mila youn ke pal pal ginwa raha tha


Friday 29 November 2013

Haath Thaam Ker Bhi Tera

Haath Thaam Ker Bhi Tera
Sahara Na Mila...
Main Wo Leher Hun Jise Kinara
Na Mila..
Mil Gya Mujhe Jo Kuch Bhi
Chaha Main Ne.. Mila Nahi To Sirf Sath Tumhara
Na Mila..
Wese To Sitaron Se Bhara Hua
Hai Aasman..
Jo Hum Dhoondh Rahe The Wo
Sitara Na Mila.. Kuch Is Tarha Se Badli Phir
Zindagi Hamari..
Phir Jise Bhi Pukara Wo Dobara
Na Mila...
Ehsas To Hua Use Magar Der Ho
gai... 

Us Ne Dhoondha Magar Nishan
Humara Na Milaa...

Mohabbat Cheez aisi hai,

Mohabbat Cheez aisi hai,
Kabhi hoti hai apnon se,
Kabi hoti hai sapnon se,
Kabhi anjaan raahon se,
Kabhi gumnaam naamon se...!!!
Mohabbat cheez aisi hai,
Kabhi hoti hai phoolon se,
Kabhi bachhpan ke jhoolon se,
Kabi be ikhtiari mein,
Kabi pakke usoolon se...!!!
Muhabbat tu muhabbat hai,
Mohabbat ek sadaqat hai,
Mohabbat ek ibadat hai,
Mohabbat cheez aisi hai,
Dukhon mein rol deti hai...!!!

Kisi K Milne Se

Kisi K Milne Se Qismat Nhi Badalti,
Hota Wohi Hy Jo br'haq Hy.

Agr Tum Kisi Ko Chaho Or Usy Paa Na Sako.,
To Qismat Ko Bura Mat Kaho.,
Q K Hoga Wohi Jo br'haq Hy.

Agr Kuch Paa K Tum Kho Do.,
To Heran Mat Ho.,
Jab Paa Liya To Khona b To br'haq Hy.

Hr Pal Hansna To Sub Chahty Hen.,
Ary Jab Hans Liya To Rona To br'haq Hy.

Sub Ko ApNi Zindagi ApNi Marzi Se Jeene Ka Pora Haq Hy.,
Jb Marzi Se Jee Liya To Mere Dost Marna b To br'haq Hy.

Teri Yaad Jo Aa Jaye!

Ik Hijr-e-Musalsal Hay,
Ansu Hain Mere Sathi...

Kuch Khuwab Puraney Hain...
Kuch Paas Nahi Baaqi...

Tere Paas Chala Aaon!
Teri Neend Chura Laon!

Merey Dil Se NaJane Q
Ye Khuwaish Nahi Jaati...

Din Raat Tumhain Dekhon!
Aur
Pyaar Kiye Jaon!

Meri Aankhon Se...
Mere Dil Se...
Teri Pyaas Nahi Jaati...

Ik Dujey Se Dono Ko
Ye Kesi Adawat Hay...

Teri Yaad Jo Aa Jaye!
Phir!!
Neend Nahi Aati..

Chalo ek Nazam kehte hain.....

Chalo ek Nazam kehte hain.....
Kisi k naam likhte hain......
Magar ye sochna hai ab.....
K isme ziqr kiska ho.....?
Aur ye bhi farz krte hain.....
K jis pe Nazam likhte hain.....
Hume Usse Muhobbat hai......
Hamare saare jazbon ko .....
Bas Uski hi zarurat hai.....
Chalo ek kaam krte hain....
K Hum jo Nazam likhte hain......
Tumhare naam krte hain......
Tum hi Unwaan ho iska....
Tumhara ziqr hai isme....
Tumhari baat hai isme.....
Tumhari Zaat hai isme.....
Chalo ek Nazam likhte hain.....

paasbaani pe andhere ko tou ghar par rakha

paasbaani pe andhere ko tou ghar par rakha
aur chiraagho ko teri raah guzar par rakha

reh gaya haath sada taigh o sapar par rakha
hum ne har raat ka anjaam sahar par rakha

haath uthaay rahe har lamha dua ki khaatir
aur alfaaz ko tanseekh e asar par rakha

be wafaai meri fitrat ke anaasir mai hui
teri be mehri ko asbaab e dagar par rakha

itna aasaan na thha warna akele chalna
tujh se milte rahe aur dhiyaan safar par rakha

uski khushboo ka he faizaan hain ashaar apne
naam jiska hum ne gul e tar par rakha

paani dekha na zamee dekhi na mausam dekha
be samar hone ka ilzaam shajar par rakha

Thursday 28 November 2013

He Abar kitni Door Hawa kitni Door He

He Abar kitni Door Hawa kitni Door He
Ab Is Nagar Se Rakhash-e-Sada Kitni Door He

Ab Raod-e-Neel Main Kaf-e-namrood K Liye
MUSA Kahan He Us Ka Asa Kitni Door He

Ab Shehar-e-Yar Kitne Hisaron Main Band He
Ab Wo Talism-e-Hoshruba Kitni Door He

Ab Kis Jagah Se Takhat-e-Suleman Ka He Guzar
Ab Is Jagah Se Shehar-e-Saba Kitni Door He

Ab Rah Kho Chuki He Musafat Ki Dhund Main
A Dashat Tera Abla Pa Kitni Door He

Shahrag Se B Qareeb Hoon Us Ne Kahbar Ye Di
Main Sochta Raha K Khuda Kitni door He

pni rusavaaee,

apni rusavaaee, tere naam ka charchaa dekhun
ek zara shaer kahun aur main kyaa kyaa dekhun

neend aa jaaye to kya mehfilein barpaa dekhun
aankh khul jaaye to tanhaaee ka sehraa dekhun

shaam bhi ho gaee dhundhalaa gaee aankhein bhi meri
bhoolney waley main kab tak tera rastaa dekhun

sab zidden us ki main poori karun, har baat sunoon
aik bachey ki tarah se ussey hanstaa dekhun

mujh pe chhaa jaaye wo barsaat ki khushbu ki tarah
ang ang apna ussi rutt mein mehaktaa dekhun

tu meri tarah se yaktaa hai magar mere habib!
jee mein aata hai koi aur bhi tujh saa dekhun

main ne jis lamhey ko pooja hai ussey bas ek baar
Khwaab ban kar teri aankhon mein utartaa dekhun

tu mera kuchh nahin lagta hai magar jaan-e-hayaat
jaaney kyon terey liye dil ko dharaktaa dekhun!!

Kuch safr-e-zeest bhi lamba tha,

Kuch safr-e-zeest bhi lamba tha,

Kuch ham bhi thora sust chaly,


Kuch ham hi apny dushman thy,

Kuch dushman ham ko boht mily,

Kuch ham manzil ko bhool gay,

Kuch rasty ham ko sakht mily,

Aur aaj ye apni halat hai,

Har simt andhera chaya hai,

Har simt hai chaayi veerani,

Har simat isi ka saya hai,

Is dasht main ham ny kya khoya,

Is raah main ham ny kia paya,

Jab main ny is par ghor kia,

To man main soch ka dip jala,

Ik aag si dil main bharrak uthi,

Aur aankh main pani bharr aaya..

Wednesday 27 November 2013

Wo Mujhse Door Reh Kar Bhi,

Wo Mujhse Door Reh Kar Bhi,

Wo Mere Pass Hai Itna

Kay Jaisay Saans Mein

Har Waqt Khuda Mojood Rehta Hai

Zakhmo Se Choor Ho Kar Bhi

Main tumse Door Ho Kar Bhi, 

Zakhmo Se Choor Ho Kar Bhi...!!! 


Bahut Majboor Ho Kar Bhi, 

tumhi ko Yaad Karta Houn...!!!

Wo jin k milnay

Wo jin k milnay ki B hoti nahien Umeed Koi

 un K Bicharnay Ka Aandesh B bhot Hota hai

Saturday 23 November 2013

Hum pyaar ke bhookhe hain humey pyaar kijiye

Bas itni si inaayat mujh pe aik baar kijiye

Kabhi aa ke mere zakhmon ka dedaar kijiye

Ho jaaye begaane aap shauq se sanam

Aapkee hain aapkee rahegey aitbaar kijiye

Parhne waale hi darr jaayen dekh kar ise

Kitaab-e-dil ko itnaa na daagdaar kijiye

Na majboor kijiye, ke main unko bhool jaaun

Mujhe meri wafaaon ka na gunehgaar kijiye

In jalte diyon ko dekh kar na muskuraaiye

Zara hawaaon ke chalne ka intezaar kijiye

Karna hai ishq aapse karte rahenge hum

Jo bhi karna hai aapko mere sarkaar, kijiye

Phir sapno ka ashiyaan bana liya hai maine

Phir aandhiyon ko aap khabardaar kijiye

Hame na dikhaiye ye daulaate ye shohrat

Hum pyaar ke bhookhe hain humey pyaar kijiye

zakham

Tumhaari yaad kay jab zakham bharney lagtey hain

Kisi bahaaney tumko yaad karney lagtey hain

Hadees-e-yaar kay unwaan nikharney lagtey hain

Toh hareem mai gaisoo sanwarney lagtey hain

Her ajnabi humein mehram dikhaai daita hai

Jo ab bhi teri galli say guzarney lagtey hain

Saba say kartey hain ghurbat naseeb zikr-e-watan

Toh chashm-e-subah mai ansoo ubharrney lagtey hain

Wo jab bhi kartey hain us nuqta lab ki bukhiya giri

Fiza mai aur bhi naghmey bikharney lagtey hain

Dar-e-qafas pay andheray ki mohor lagti hai

Toh dil mai sitaarey utarney lagtey hain

Wo b hum ko toot k chahey!

ankhon me jo tehreerain theen!

honto pay vo bol na thay...

Hum thay us k pyar k aashiq!

Bas hathon mein kashkol na thay...

Hum ne us ko toot k chaha!


ye us ka haq tha lakin...

Wo b hum ko toot k chahey!

Hum itnay "ANMOL'' na thay....

Dard Seene Main Chupa Lete Hain

Dil Ki Mehfil Main Ujaalon K Liye

Yaad Ki Shama Jala Lete Hain

Jalte Mausum Main Bhe Ye Deewane

Kuch Haseen Phool Khila Lete Hain

Apni Aankhon Ko Bana Ker Ye Zubaan

Kitne Afsane Suna Lete Hain

Jin Ko Jeena Hai Mohabbat K Liye

Apni Hasti Ko Mita Lete Hain

AHL-E-Dil Youn Bhe Nibah Lete Hain

Dard Seene Main Chupa Lete Hain

Wednesday 20 November 2013

Aa ke ab tasleem

Aa ke ab tasleem karlen tu nahin to main sahi,
Kon maaney ga ke hum mein se bewafa koi nahi..

Tuesday 19 November 2013

Deakhi Hoi Rahoon se Nikal kr Usay Dakhein

Deakhi Hoi Rahoon se Nikal kr Usay Dakhein
Es Bar Chalo Shehar Badul kr Usay Dakhein

Pani ki Tarha Dhoop...main Urr kr Usay Dhondhein
Jungle ki Tarha Aag main Jal kr Usay Dakhein

Ye Sabza Bekhwab Ye Jaaga Hoa Mahtaab
Aisa Hai k Aub Neand main Chal kr Usay Dakhein

Kab Tak Younhi Khamosh Tamashai Rahain Hum
Kab Tak Younhi Aayeine main Dhal kr Usay Dakhein

Wo Bhi Kai Roop main Ata Hai Moqabil
Hum Bhi Koi Rung Badul kr Usay Dakhein

Dil Hijar k Dard se

Dil Hijar k Dard se Bojhal hai Aub Aan Milo Tu Behtar HO
Es se Bat se Hum ko kia Matalb Ye kaise ho Ye kyoun kr HO

Ek Bheak k dono kasay hain Aik Payas k dono Pyasay Hain
Hum Kheaiti hain Tum Badal ho Hum Darya hain Tum Sagar HO

Hum Sanjh Samay ki Chhaya hain Tum Charti Rat k Chandar Maa
Hum Jate hain Tum Atay ho Phir Maile ki Sorat kyoun kr HO

Aub Husan ka Rutba Aalie hai Aub Husan se Sehra Khali HO
Chal Basti main Banjara ban Chal Nagari main Sodagar HO

Jis Cheaze se Tujh ko Nisbat hai Jis Cheaze ki Tujh ko Chahat Hai
Wo Sona hai Wo Hera hai Wo Maati ho Ya Kankar HO

Aub INSHA GI ko Bolana kia Aub Payar k Deap Jalana Kia
Jb Dhoop or Chaya Aik se hon Jb Din or Rat Barabar HO

Wo Ratain Chand k Sath Gaein Wo Batain Chand k Sath Gaein
Es Sukh k Sapane kia Dakhein Jub Dukh ka Soraj Sar Par HO

Yahan Paeree hain,Behta Pani hai Yahan Rukna Hai

Yahan Paeree hain,Behta Pani hai Yahan Rukna Hai

Agay Phir aur Kahani hai Yahan Rukna Hai

Yahan Ghum k Badal Gehere,Kheait Sonahri Hain

Yahan Dard ki Rungat Dhani hai Yahan Rukna Hai

Ye omer Kahein Rukne nahi dati Ek Pal bhi

Lakin Es Ghatt jawani hai Yahan Rukna Hai

Yahan Chashma hai Yahein Beath k us din roye thay

Mujhe Yaad Ab tak Ye Nashani hai Yahan Rukna Hai

Yahan Rukne Wale Pather k ho Jate Hain

Lakin Ye Bat Porani hai Yahan Rukna Hai

Aankhain khuli rahain gi

Aankhain khuli rahain gi toh manzar bhi ayen gay

Zinda hai dil toh aur sitamgar bhi ayen gay



Pehchaan lo tamaam faqeeron kay khadd-o-khaal

Kuch log shab ko bhais badal kar bhi ayen gay



Gehri khamosh jheel kay paani ko yun na chaidh

Cheenthay uday toh teri qaba par bhi ayen gay



Khud ko chhupa na sheesha garon ki dukaan main

Sheeshay chamak rahey hain toh pathar bhi ayen gay

kahan tak sochon

Aik bay rang sa manzar hai kahan tak sochon

zindagi main terey baray main kahan tak sochon

Phenknay walay nay tu door say pathar phenkay

aur main sirf paroosi k makaan tak sochon

Tera chehra bhi na yaad aye k tu kaisa hai

main tujhay sooch k reh jaaon yahan tak sochon

Loog jis mor per ghabra k bechar jaatay hain

tujh say milnay ka yaqeen ho tu wahan tak sochon

Bhool jana

Yaad rakhna hi mohabbat mein nahi hai sab kuch

Bhool jana bhi bari baat hua karti hai..

kitaab

Youn na parhriye kahein kahein se humein,

Hum bhi insaan hain koi kitaab nahin.

Na jane kis gam

Na jane kis gam ko chupane ki tamanna thi usko......
aaj har ek baat per haste hue dekha usko......

Umar beet jati hai

Umar beet jati hai ik ghar bananey mein,

Log aah nahin kartey bastiyan jalaney mein..

Monday 18 November 2013

Nazar zammane ki.

Bahoot tamanna thi, pyar mein aashiyan banane ki,

Bana chuke to lag gayi Nazar zammane ki.


Usi ka karz hai jo aaj hain aankhon mein aansoo,


Saza mili hai hume muskurane ki !


Kabhi jo tumarey haath se Kitaab girey..

Kabhi jo tumarey haath se Kitaab girey..

To samjh lena keh kisi ne tume Yaad kia thi..


Kabhi jo tum oss me rakhey phool ko dekho..
To samjh lena koi Dastaa'n likh raha hi...


.......... Unn guzrey hoye hasee'n Lamho'n ki..


Kabhi jo tum darkhto'n per Nam likha dekho..


To samjh lena koi ab tak chahta hi tume..


Kabhi jo tum unn dekhy-bhaley rasto'n per safr kro..


To samjh lena kisi ne Enn per sath chalney ki Qasm khai hi..
Aur...


Kabhi jo tum Lotney ka irrada kro...


Aur safr kro ossi Rah-guzr per...


To samjh lena koi tumara intazar ker raha hi.....!!!


Sard mosmo'n

Terey baghair Sard mosmo'n ke khusgawar Din Udaas hen...

Fiza me Dukh Racha hoa hi..


Hawa koi udaas geet gungana rahi hi...


Phool ke Labo'n pe Peyas hi..


Aisa Lagta hi..


Hawa ki Aankhen Rotey Rotey khushk ho gai hon..


Saba ke dono hath khali hon..


keh... 


shehr mein Tera koi pata nahen...

saans lena kitna mahaal hi..


udassian udassian Ajab haal hi..


Tamam sabz sayya-dar pero'n ney...


Tery baghair wehshato'n me apney perahan ko tar tar kr dia...


Ab kisi shajr key Jism per Qubba nahen....


Sookey Zard pattey...


Koo ba Koo teri tilaash me Bhatak rahey hen...


Meray Daricho'n me Gulabi dhoop roz jhaankti hi...


Mgr uss ki Aankho'n me..


Wo Jag-mgahetie'n nahen...


Jo teray Waqt me Zameen key sabeeeh maathey per... 


Soorajo'n ki kehkashan'n sajaaney aatie'n thien..


Zamee'n bhe meri Trah hi..


Teray baghair es ki Kohk se bhe ab..


Koi Gulaab uug na paye ga..


Zamee'n Banjer ho gai hi...


Aur...


Meri Rooh ki Bahaar Aafree'n kohk be... 


Meri soch key sadaf mein...

Fun key suchey moti kis trah Janam lia kren...


keh main sarapa-e-tashnagi hon...


Aur door door tak, Visaal-e-abr ki khabr nahen...


Meray aur Teray darmian...


Paanch Paanio'n key Des mein...


Kachey gharrey bhe to meri dastars se door hen...


Mian kis trah SHER kahoo'n...


Meri Soch key Badn ko, tooo Namoo to dey...


keh...
Main Teray baghair Ek Sehra hon..........!! 


              (Lonely Shani)

Waa'az sa bazm mai charcha kabhi hone na diya

Waa'az sa bazm mai charcha kabhi hone na diya
ham ne apne ko tamasha kabhi hone na diya

ham ko iss gardish e daura'n ne kahee'n ka na rakha
phir bhi apne ko shikasta kabhi hone na diya

mai-kaday mai barhe kam zarf thai peenay walay
aankh ko saagar o meena kabhi hone na diya

kitna aasan tha apnay se juda ho jana
ishq mai zehen ka sauda kabhi hone na diya

roz jalna hai isay roz jalana hai isay
aatish e shauq ko thhanda kabhi hone na diya

umr rishto'n k taqazon ko nibha bhi na saki
zindagi ne mujhay apna kabhi hone na diya

sab se mehfooz maqaam, gham e tanhai hai
fikr e dunya ne akaila kabhi hone na diya

                  (Lonely Shani)

Sunday 17 November 2013

Adawat se bhari rahguzar hi maskeen ho jaye



Adawat se bhari rahguzar hi maskeen ho jaye
ahl-e-karam shahar ka aur yun haseen ho jaye


katl kar kar ke zamana haara to kah pada
saleem kyun na zakham tere mutallikeen ho jaye


shamma-e-bazm apni lau se bhi nikharti hai
harf jo bhi lafzon me dhale taskeen ho jaye


gaur karne ko na kah kisi ko tere rukh pe
itne pashema hain ki mutakhisimeen ho jaye


zaroori nahi har kaam me matlab chhupa ho
rafaqat ko mumkin kahan vo pardanasheen ho jaye


utha sakte ho to uthao kabhi Khudaayi ka taraazu
kahna jo nahi insniyat hi shaheen ho jaye


ye bhi hai ki hashr me sab be-naqaab honge
phir na kahna E Khuda dil nazuki ka shaukeen ho jaye


nukhtacheeni se parhez yun rang laya hai 'kaash'
mojeza nahi jo tu mutghazzleen ho jaye

Zindagi muhabbat ke lie kum hai log nafrat me bita dete hain

Zindagi muhabbat ke lie kum hai log nafrat me bita dete hain
shay-e-dosti ko aakhir kaise yun aasaani se bhula dete hain


bahut mushkil se banti hai rishton me bebaakiyaan yaaron
dosti ko bhi aajkal kitni bebaaki se saza dete hain


mat samjho toot kar katra wo aakhon se kahin kho gaya
hawaon ke aanchal me uska shor thama dete hain


aandhiyaan na taklif do khud ko tufaano ko bulakar
hum to khud bhi charaagon ko jalakar bujha dete hain


aasmaan tere daaman me ye sitaare jo chamakte rahte
subah hote hi paigaaam apna oas ko bana dete hain
Jisay Paya Usay Khoya Tha Ik Din
Mai Apne Hal Pe Roya Tha Ik Din
Mai Us K Bad Sadyon Tak No Soya
Wo Meri Neend Mai Soya Tha Ik Din
Mai Kese Bhol Jayon Us Ko Yaro
Mere Pehlo Mai Jo Roya Tha Ik Din
Kun Zaid Usay Main Din Mai Dhondo
Wo Muj Se Raat Mai Khoya Tha Ik Din - See more at: http://www.sadpoetry.org/category/ghazal-shayari/#sthash.jIRrCSN2.dpuf
Be Faiz Rfaqat Mai Smar Kis Ke Liye Tha
Jab Dhob Thi Qismat Tu Shjar Kis Ke Liye Tha
Pardes Mai Sona Tha Tu Chat Kis Liye Dali
Bahar Hi Niklna Tha Tu Ghar Kis Ke Liye Tha
Jis Khak Se Phota Hai Use Khak Ki Khushbu
Pehchan Na Pya Tu Hunr Kis Ke Liye Tha
Ae Madr-e Geti Teri Hairat Bi Bja Hai
Teri Hi Kam Na Aya Tu Sir, Kis Ke Liye Tha
Yun Sham Ki Dehshat Mai Sar-e Dasht Iradah
Rukna Tha Tu Phir Sara Safar Kis Ke Liye Tha - See more at: http://www.sadpoetry.org/category/ghazal-shayari/#sthash.jIRrCSN2.dpuf
Be Faiz Rfaqat Mai Smar Kis Ke Liye Tha
Jab Dhob Thi Qismat Tu Shjar Kis Ke Liye Tha
Pardes Mai Sona Tha Tu Chat Kis Liye Dali
Bahar Hi Niklna Tha Tu Ghar Kis Ke Liye Tha
Jis Khak Se Phota Hai Use Khak Ki Khushbu
Pehchan Na Pya Tu Hunr Kis Ke Liye Tha
Ae Madr-e Geti Teri Hairat Bi Bja Hai
Teri Hi Kam Na Aya Tu Sir, Kis Ke Liye Tha
Yun Sham Ki Dehshat Mai Sar-e Dasht Iradah
Rukna Tha Tu Phir Sara Safar Kis Ke Liye Tha - See more at: http://www.sadpoetry.org/category/ghazal-shayari/#sthash.jIRrCSN2.dpuf

aahista aahista

Khulegi is nazar pe
chashm-e-tar aahista
aahista
kiya jata hai pani mein
safar aahista aahista
koi zanjir phir vapas
waheen par le ke aati hai
kathin ho reh to chutata
hai ghar aahista aahista
badal dena hai rasta ya
kaheen par baith jana hai
ki thakata ja raha hai
hamsafar aahista aahista
khalish ke sath is dil se na
meri jan nikal jaye
khinche tir-e-shanasai
magar aahista aahista
hua hai sarkashi mein phul
ka apna ziyan, dekha
so jhukata ja raha hai ab
ye sar aahista aahista
meri sholamizaji ko wo
jangal kaise ras aaye
hawa bhi sans leti ho
jidhar aahista aahista

Poet: Parveen Shakir

Jagaa Sakey Na Terey Lub, Lakeer Aisi Thi

Jagaa Sakey Na Terey Lub, Lakeer Aisi Thi

Humarey Bakht Ki Raikha Bhi Meer Aisi Thi

Ye Haath Chomey Gai, Phir Bhi Be-Gulaab Rahey

Jo Rutt Bhi Aai Khizaa.n K Safeer Aisi Thi

Wo Merey Pao.n Ko Choney Jhuka Tha Jis Lamhey

Jo Mangta Usey Deti Ameer Aisi Thi

Shahadatain Merey Huq Main Tamam Jaati Thee.n

Magar Khamosh They Munsif, Nazeer Aisi Thi

Kutar K Jaal Bhi Sayyad Ki Raza Ke Baghair

Tamaam Um’r Na Urti Aseer Aisi Thi

Phir Us Ke Baad Na Dekhey Visaal Ke Mausam

Judaiyo.n Ki Ghari Chashm Geer Aisi Thi

Bas Ik Nigah Mujhe Dekhta, Chala Jata

Us Aadmi Ki Mohabbat Faqeer Aisi thi

Rida K Saath Luterey Ko Zaad-e Raah Diya

Teri Firagh Dili Merey Veer Aisi Thi

Kabhi Na Chahney Walo.n Ka Khoo.n Baha Manga

Nigaar-e-Sheher-e-Sukhan Be-Zameer Aisi Thi

Saturday 16 November 2013

kabhii to aasmaan se chaand utare jaam ho jaaye
tumhaare naam kii ik Khuubasuurat shaam ho jaaye


hamaaraa dil savere kaa sunaharaa jaam ho jaaye
charaaGon kii tarah aankhen jalen jab shaam ho jaaye


ajab haalaat the yuun dil kaa saudaa ho gayaa aakhir
mohabaat kii havelii jis tarah niilaam ho jaaye


samandar ke safar mein is tarah aavaaz do hamako
havaayen tez hon aur kashtiyon mein shaam ho jaaye


main Khud bhii ehatiyaatan us galii se kam guzarataa huun,
koii maasuum kyon mere liye badanaam ho jaaye


mujhe maaluum hai us kaa Thikaana phir kahaan hogaa
parindaa aasmaan chhuune men jab naakaam ho jaaye


ujaale apanii yaadon ke hamaare saath rahane do
na jaane kis galii mein zindagii kii shaam ho jaaye



                           (Lonely Shani)

chhalak ke kam na ho aisii koii sharaab nahiin

      chhalak ke kam na ho aisii koii sharaab nahiin
nigaah-e-nargis-e-r'anaa teraa javaab nahiin

     zamiin jaag rahii hai ki inqalaab hai kal
vo raat hai koii zarraa bhii mahv-e-Khvaab nahiin

     zamiin us kii falak us kaa qaayanaat us kii
kuchh aisaa ishq teraa Khaanamaa_Kharaab nahiin

     jo tere dard se maharuum hai yahaan un ko
Gam-e-jahaan bhii sunaa hai ki dastayaab nahiin

     abhii kuchh aur ho insaan kaa lahuu paanii
abhii hayaat ke chehare pe aab-o-taab nahiin

     dikhaa to detii hai behatar hayaat ke sapane
Kharaab ho ke bhii ye zindagii Kharaab nahiin
 
                    (Lonely Shani)

Main haadson se jaam larrata chala gaya,

Main haadson se jaam larrata chala gaya,
Hansta hansata, peeta pilaata chala gaya,

Utne he ikhtelaaf ubharte chale gaye,
Jitne talluqaat barrhata chala gaya,

Toofaan k rahem per theen faqeeron ki kashtiyan
Toofaan he kashtiyon ko chalaata chala gaya,

Duniya meri khushi ko bohat ghoorti rahi,
Main zindgi ka saaz bajata chala gaya,

Aati rahi jawab main awaaz_e_baaz-gasht,
Jub tak main us haseen ko bulaata chala gaya,

Wo rafta rafta jaam pilaate chale gaye,
Main rafta rafta hosh main aata chala gaya,

Her mae-kaday se aik aqeedat thi 
Her mah-jabeen se aankh milaata chala gaya...!!!
 
(Lonely Shani)

achanak judai ka faisla

November guzar raha hai

December ki aamd aamd hai

Yakh basta hawa bhi

Khoom majmad kar rahithi

Sardi se tharthata badan

Kisi garm lams ka mutlashi tha

Jo apni bahaom mein chupa kar

Seeny se laga kar

Rago mein khoom ko

Rawani se gardish karny ka

Ek bahana he bata deta

Magar decembwe ke aaty he

Us ne hath chor diya

Aur achanak judai ka faisla suna diya

Yeh bhi na socka kehh

December to tanha he maar de ga

(Lonely Shani)

Friday 15 November 2013

Ye ajab sayete rukhsat hai k dar lagta hai

Ye ajab sayete rukhsat hai k dar lagta hai
Shahar ka shahar mujay rakhtay safar lagta hai
Hum ko dil ney nahi halat ne nazdik kiya
Dhoop main dor se her shakhs shajar lagata hai
Jis pay chaltay hoye socha tha k lout aon ga
Ab wo rasta bhi mujay shahary badr lagta hai
Muj se to dil bhi muhabat main nahi kharch hoya
Tum to kehtay thay k is kam main gar lagta hai
Waqat lafzo se banai hoi chadar jesa
Orh leta hun to sub khawab hunar lagta hai
Aik mudat se meri maan nahi soi Tabish
Maine ik bar kaha tha mujay dar lagta hai

Ye baran saal pahlay ki kahani hai

Ye baran saal pahlay ki kahani hai
K jab sarso ki gandal tha badan mera
Hawa muj ko khilati thi
Mujay charkhay ki khokhar se hi gahri nind ati thi
Dahan main sheer madar ki mahak k akhri din thay
Jawani jhil milati thi
Meri ankhon meray hatho meray pero main bosay thay
Meri maan muskurati thi
Ye baran saal pahlay ki kahani hai
Main apnay ap main rahta tha jese phol main khushbu
Mujay ik naam ghar ki trah mitha tha ab bhi hai
Is ki shakrain chub main
Kahani lo barati thi
Ye baran saal pahlay ki kahani hai
Main hatho se gira harfe dua ban kar
Magar boso bhari shafqat tasali dhond lati thi
Na main sardo ki gandal tha
Na muj ko nind ati thi
Ajab c bay sbasi thi
Phir ik din bay gari muj ko meray ghar se nikal i
K jesay ankh se anso nikal ker phir nahi ata
Tujay to sab khabar ho gi
Mujay malk juno miras main day ker koi wapas plat aya
Wahan ki jagti ratain
Ser khama utarti nind ki khatain
Wo daftar main paray pather kleb se phot ti batain
Na main sardo ki gandal tha
Na ab charkhay ki khokhar thi k muj ko nind a jati
Pari muj ko dra jati
Ye bara roz pahalay ki kahani hai
Mujay gari ne station pay la phaynka
To mera shahar hi gum tha
Meri pahchan he gum thi
Meray dukh se bhara tanga gaya jab raylay bazar ki janib
Mera ghar bhi meray bachpan ki sorat
Gard guzran main kahin gum tha
Phir ik shahtot ki chao se pocha apnay baray main
Kisi saya kay nakshay ki sorat khul gaya muj per
Na is main mera bachpan tha
Na meray khana zado ki nishani thi
Phir ik dokan pay lat ki hoi tasveer se pocha
Tujay to sub khabar hogi
Yayan Abbas Tabish naam ka aik shakas rahata tha
Kahan hai wo
Na ba sarso ki gandal
Na wo charkhay ki khokhar
Magar ab band darwazay pay dundlay naam ki takhti
Meray gar ki nishani hai
Ye meray aaj k din ki kahani hai

Ye un dino ka zikar hai ik badsha tha

Ye un dino ka zikar hai ik badsha tha
Jis ki nazar main zindgi karna gunah tha
Shoq e marjat ki waha urth rahi tha khak
Kashti jali hoi thi kinara sayah tha
Main us k sath phirta tha kasre qaseem main
Is doti ka ik kabotar gawa tha
Betha tha is pay chand kisi cheel ki taraha
Kitna land shahar main nakhle gunah tha
Totay paro ka taj meri yadgar hai
At kaj kala main bhi kabhi kaj kala tha
Ahlay hunar ko meri raror thi jin dino
Takiya faqeer ka meri ama jaga main tha

eid guzer gai

her koi apne chand se tha mehw-e-guftgu
main apna chand dohdta raha or eid guzer gai

Wednesday 13 November 2013

itane dinon ke baad tuu aayaa hai aaj

itane dinon ke baad tuu aayaa hai aaj
sochataa hun kis tarah tujh se milun

mere andar jaag uthii ik chandanii
main zamiin se aasaman tak ek ang hun

aur ujalaa ho gayaa qurbat kaa chand
aur gaharaa ho gayaa teraa fusun


ai saraapaa rang-o-nikahat tuu bataa
kis dhanak se teraa pairaahan bunun


saare gul_buute tar-o-taazaa hue
duur tak pahunchii hai merii mauj-e-Khun

kar rahe hain lamhe lamhe kaa hisaab
mil ke phir baiThe hain yaaraan-e-junun

dasht-e-Gam kii dhuup mein mujh par khulaa
main Khud apanaa saayaa-e-diivaar hun

naaz kar Khud par ki tuu hai beshumaar
qadr kar merii ki main bas ek hun

Khush Rahna chahtey ho

*Khush Rahna chahtey ho to doosron ko bhi khsuhi do

*Ek Muskurahat pathher Dil ko bhi Mom Kar deti hai



*Jin logon ko apni Maut ka Gham de kar janey wale ho.unhein thodi khushi bhi dete jao.



*Jo logon ke saath jehalat se pesh aata hai..ussey burayi hi milti hai...


*Azeem hotey hain wo log...jo apney gham chupa kar muskuratey hain....



*Mohabbat kamil nahi hoti jab tak ke Qurbani na di jaye.


*Bhoolney walon ko Bhool jana hi AQLAMANDI hai...



*Mohabbat Rooh ka wo gulab hai jo Bewafyi ki dhoop se murjha jata hai..

Apne alfaaz ki tazem karo

Ager tum janna chahtey ho ke tum kis qadr Ameer ho..to ek ansoo gira kar ussey sametney waley haath gin lo..


Insaan Halat ka Rona rota hai..bahot kam insaan aisey hotey hain jo halaat pe hanstey hain


zindagi ki asl haqeeqat bus itni hai ke ke ye faani hai..bus jis ne jaan liya wo najat pa gaya.

har halat me Allah ka shukrguzaar banda ban..tere ghamon ko wo khushiyon me tabdeel kar dega.

Baar baar koshish ke bawajood bhi nakami ka samna ho sakta hai.


Apne alfaaz ki tazem karo take kal tum duniya ko apni tazeem karna sikha sako.

You are special,

You are special,
because you're someone's friend.
You've touched someone's life
in a unique way
like no one else could.
You've been there when
someone needed you,
when someone felt
sad and all alone.
You've given comfort.
You've made someone smile.
You've been there to celebrate
the good times,
and to lend an ear when
someone needed you to listen.



You are special,
because you're my friend,
and I appreciate everything
you've done for me.

Tuesday 12 November 2013

tum aisi mohabat mat karna

tum aisi mohabat mat karna
mera khwabon mein chehra dekho
aur meri qail ho jao
tum aisi mohabat mat karna
mera lafzoon mein wo baat suno
jo baat lahoo ki chaht ho
phir os chaht mein kho jao
tum aisi mohabat mat karna
ye lafz mere ye khwab mere
her chand jism-o-jana tehre
per aisa jism-o-jana too nahi
jo aur kisi ke pass na hoon
phir ye bhi too momkin he,socho
ye lafaz mere ye khwab mere
sab jhoote hoon
tum aisi mohabat mat karna
ger karo too too aiasi
;jis tarha koi sachayi ki rau her jhot ko sach ker jati hai;

;titlian pakrne ko door janha parta hai;

kitna sehal jana tha
khoshbo ko chu lena
barishon ke mausam mein sham ka her ek manzir
ghar mein qeed ker lena
roshni sitaroon ki mothion mein bhar lena
kitna sehal jana tha
khosbon ko chu lena
jognaon ki batoon se phool jase angan mein
roshni si ker lena
oski yaad ka chehra khwabnak ankhon ki
jheel ke gholabon per deer tak sajha rakhna
kitna sehal jana tha

ay nazar ki khushfehmi iss tarha nahi hota
;titlian pakrne ko door janha parta hai;

MUJ MAIN

HER AHAT PER CHONK JANE KI AADAT NAHIN RAHI MUJ MAIN
KISI SE CHAHE JANE KI CHAHT NHAIN RAHI MUJE MAIN

BEHTI JIN ANKHON SE ASHKON KI NADIYAN
AB AIK ANSU AUR BAHANE KI HIMAT NAHIN RAHI MUJ MAIN

JALTI THI AFFTAB KI TAPISH BHI JIN JAZBAT SE
PEHLE JAISE JAZBAT KI HIDAT NAHIN RAHI MUJ MAIN

SAMETA THA JIS DILL MAIN AWAZON KA TUFAAN
AB KISI PATTE KI SASARHAT BHI NAHIN RAHI MUJ MAIN

JIYA KAISE GHAIYAL KIYA AYE BE WAFE TU NE
WO PEHLE SI AB SHOKH MUSKARAHAT NAHIN RAHI MUJ MAIN

terii Khushbuu kaa pataa kartii hai

terii Khushbuu kaa pataa kartii hai
mujh pe ehasaan havaa kartii hai

shab kii tanhaa_ii me.n ab to aksar
guftaguu tujh se rahaa kartii hai

dil ko us raah pe chalnaa hii nahii.n
jo mujhe tujh se judaa kartii hai

zindagii merii thii lekin ab to
tere kahane me.n rahaa kartii hai

us ne dekhaa hii nahii.n varnaa ye aa.Nkh
dil kaa ehavaal kahaa kartii hai

beniyaaz-e-kaaf-e-dariyaa angusht
ret par naam likhaa kartii hai

shaam parte hii kisii shaKhs kii yaad
koochaa-e-jaaN mein sadaa kartii hai

mujh se bhii us kaa hai vaisaa hii suluuk
haal jo teraa ana??? kartii hai

dukh huaa karataa hai kuchh aur bayaa.N
baat kuchh aur huaa kartii hai

abr barase to inaayat us kii
shaaKh to sirf duaa kartii hai

masalaa jab bhii uThaa chiraaGo.n kaa
faisalaa sirf havaa kartii hai

Friday 8 November 2013

Rag rag mein utarti

Pehle gham-e-furqat ke yeh taiver to nahin they,
Rag rag mein utarti huyi tanhai to ab hai..

zara si dair lagti hai..

Kisi ko dukh kabhi dena to itna soch ker dena,
Kisi ki aah lagne mein zara si dair lagti hai..

Thursday 7 November 2013

haseen maloom hotey hain..

Udasi bhi adam ehsaas ki ek daolat hai,

Baaz oqaat weraney haseen maloom hotey hain..

Mein bhi theek aur tum bhi sachay. . !

Tum ne hi majboor kiya hai,
 Mujh ko raah badalny per
Jeewan k be-ant safar mein,
Ghair ka ho kar chalny per
Meine tumhari aasha’on ka,
 Her her roop saraha tha
Meine apna aap bhula kar,
Tum ko toot k chaha tha
Umer ki ujli deewaro’n per,
Qismat ka andheyaara tha
Aur boht they suraj lekin,
 Tum sa charaagh hi piyara tha
Lekin tum hi mery maseeha,
 Nafrat k saanchay mein dhal kar
Ik Din mery saamney aa gaye,
Qaatil ka behroop badal kar
Ab kia shikwa, Kesi Shikayat,
Chahat k sab rishtay kachay
Mein bhi aur tum bhi har-jaai,
 Mein bhi theek aur tum bhi sachay. . !

Kaha

Kaha : Din ko bhi ye ghar kis k liye veeran rehta hai?
Yahan kia hum sa koi be-sar-o-saamaan rehta hai?
Dar-o-deewar sannaattay ki chaadar mein hain khuwab’eeda
Bhala aisi jaga zinda koi insan rehta hai?
Musalsal poochnay per aik chilman se jawab aya:
Yahan ik dil shikasta sahib-e-deewan rehta hai
Kaha: Kia is k risht-e-daar bhi nahi milny aaty?
Jawaab aya : Ye sehra raat din sunsaan rehta hai
Kaha : Is k ghar k aangan mein hain kuch phoolo’n k poday bhi
Jawab aaya k khaali phir bhi her guldaan rehta hai.
Khuda ka shukr hai hum ik fiza mein saans laity hain
Agar milty nahi, itna to itminaan rehta hai . !

Us Ko Dekha Tha Ik Nazar Yaro

Us Ko Dekha Tha Ik Nazar Yaro
Tab Se Apni Naheen Khabar Yaro

Aayina Dil Ka Saaf Kr Dalo
Shoq Hai Deed Ka Agar Yaro

Gahay Gahay To Aa He Jaye Ga
Mujh Ko Jeenay Ka Kuch Hunar Yaro

Jab Ke Waada Tha Jaan Denay Ka
Phir Krun Kiun Agar Magar Yaro

Hasraten Laakh Is Me Hain Madfan
Dil Hai Goya Koi Qabar Yaaro

Shumar Zakhmon Ka Aj Krtay Waqt
Yaad Aaye Wo Kis Qadar Yaaro

Chhoona Chaha Tha Chaand Ko Ik Shab
Phir Na Aaya Wo Baam Par Yaro

Hanstay Hanstay Jo Aankh Bhar Aayi
Yaad-e-Maazi Ka Hai Asar Yar

Hum To Bhool Jatay Hain


Kis Ne Dil Ke Daman Me
Kitnay Zakhm Dalay Hain
Kon Hansti Aankhon Se
Khwab Chheen Kr Saray
De Gaya Inhen Yaksar
Dasht Ki Si Weerani

Hum To Bhool Jatay Hain

Doston Ki Mehfil Me
Kis Ki Baat K Nishtar
Teer Ban Ke Seenay Pr
Kitni Baar Chaltay Hai

Hum To Bhool Jatay Hain

Hum Ne Apnay Piyaron Ke
Ras - Bharay Se Lehjay Se
Kitnay Dard Jhailay Hain
Kis Ki Aankh Ke Aansu
Hum Ne Apnay Daman Se
Kitni Baar Punchay Hain

Hum TO Bhool Jatay Hain

Gham Ki Dhoop Me Hum Ne
Jo Bhi Umr Kaati Hai
Us Ne Ye Sikhaya Hai
Tajruba Ye Mera Hai

Waqt Ki Tamazat Me
Ranj-o-Gham Ki Shiddat Ko
Dard Ki Aziyyat Ko
Zulm Ki Rawayat Ko
Jitna Yaad Rakho Gay
Utna Dard Paao Gy

Is Liye To Hum Yaro
Sab He Bhool Jatay Hain
Or Muskuratay Hain…

Yaad Bikhri Hai Ke Saamaan Tumhara Mujh Mein

Yaad Bikhri Hai Ke Saamaan Tumhara Mujh Mein
Lag Raha Hai Ke Tum Aao Ge Dobaara Mujh Mein

Thay Bhatkay Howay Kuch Loog Mere Ander Bhi
TU Ne Kiun Koi Paighamber Na Utaara Mujh Mein?

Khud Se Niklay Howay Ek Umer Howi Hai Mujh Ko
Aur Koi Dhoondta Phirta Hai Sahaara Mujh Mein

Mein Naye Paon Banata Hun Tou Kat Jaatay Hain
Jab Bhi Hota Hai Musafat Ka Ishaarah Mujh Mein

Ek Jhatkay Se Utha Neend Ke Pehluu Se Mein
Muddaton Baad Koi Khwaab Pukaara Mujh Mein

Khushk Jangal Ki Tarah Jism Pharrak Uthta Hai
Ashk Girta Hai Tou Girta Hai Shararah Mujh Mein

Kirchian Daurrti Phirti Hain Lahoo Mein “Shani”
Toot Bikhra Hai Mohabbat Ka Sitarah Mujh Mein

Hamaray Dil Ko

Hamaray Dil Ko Koi Maangnay Na Aaya Shani
 Kisi Ghareeb Ki Beti Ka Haath Ho Jaisay…………..!!

Teri Yaad Ke Pevand

Teri Yaad Ke Pevand Lagay Hain Warna !!
Mere Wajood Ki Urr Jaati.n Dhajya.n Kitni

Mein Ajata Tha

Wo Jo Ek Shakhs Meri Mutthi Mein Ajata Tha
Kho Dia Mein Ne Ose Dil Ko Kushaada Kar Ke

Kashkol Gir Parra

Phir Yun Howa Ke Haath Se Kashkol Gir Parra
Khairaat Le Ke Mujh Se Chala Tak Nahi Gaya

Pareshaan Nahi

Haalat-e-Hijr Mein Hun Magar Pareshaan Nahi
Ke Dard Se Barh Ke Koi Aur Meherbaan Nahi…..!

KOI BHATKA HAI DAR-BADAR TANHA

Mujh Ko Rahon Me Chor Kr Tanha
Koi Bhatka Hai Dar badar Tanha

Log Chaon Me Chain Se Bethay
Dhoop Me Bas Jala Shajar Tanha

Roshni Bant'ta Phira Shab Bhar
Sehar-Dm Chup Gaya Qamar Tanha

Ab Teri Yaad Ke Alaao Main
Mujh Ko Jalna Hai Umr Bhar Tanha

Mere Dil Tu Hai Razdaar Mera
Tuu Bata Jaun Main Kidhar Tanha

Is Zamanay Ki bheer Me
Main Ne Paya Hr Ik Bashar Tanha

KAUN KEHTA HAI KE SAHEB SAB SE BOLA KIJIYE

Kaun Kehta Hai Ke Sahib Sab Se Bola Kijiye
Apni Baton Ke Gohar Mitti Me Rola Kijiye

Aap Ke Lehjay Ki Shereni Hamari Jaan Lay
Ho Sakay To Baat Me Kuch Zehar Ghola Kijiye

Aarzuon Ke Chaman Me Hai Khizan Ka Raqs Gr
Apni Chahat Ka Na Dar Is Simt Khola Kijiye

Ho Gai Sar-Sabz Meri Soch Ki Banjar Zameen
Mujh Se Meri Jaan Yunhi Dukh Dard Phola Kijiye

Dil Ke Saada Warq Ko Rangeen Krna Hai Agar
Zindagi Ki Aankh Me Sapnay Tatola Kijiye

Ik Nigah-e-Paak Ka Hun Main Sawali Ya-Nabi
Nazr Farma Dijiye Maashay Ko Tola Kijiye

BOHT SASTA YE GEHNA HAI


Abhi Na Kuch Bhi Tum Bolo,Abhi Khaamosh Rehna Hai
Boht Main Zabt Kr Betha Abhi Kuch Mujh Ko Kehna Hai

Chupaye Kab Se Phirta Hun Main Apna Karb Seenay Me
Abhi Is Karb Ko Janaan Meri Aankhon Se Behna Hai

Najanay Kaun Deta Hai Sada Ye Dil Ke Andar Se
Tera Dukh Hai Faqat Tera,Isay Khud Tum Ne Sehna Hai

Saja Lay Apnay Honton Pr Tuu Zewar Muskurahat Ka
Boht Mehngay Zamanay Me, Boht Sasta Ye Gehna Hai

Bana Kr Khoon Ko Paani Isay Main Ne Khareeda Tha
Boht Anmol Hai Yaaro Jo Khirqa Main Ne Pehna Hai

Dunia Ko Parkhnay Ka Hunar Main Nahi Rakhta

Dunia Ko Parkhnay Ka Hunar Main Nahi Rakhta
Saada Hun K Baton Me Makar Main Nahi Rakhta

Rakhta Hun Faqat Apnay Hi Aibon Pe Nigahen
Logon Ki Khaton Pe Nazar Main Nahi Rakhta

Rehta Hun Samndar Ki bhi Tughyani Me Choband
Bandhay Huay Paon Me Bhanwar Main Nahi Rakhta

So Jata Hun Be Khof Jahan Chahun Main Jis Waqt
K Bnda-e-Mazdoor Hun, Zar Main Nahi Rakhta

Dil Tor K Hansanay Ka Agr Naam Hunar Hai
Main Khush Hun K Phir Aisa Hunar Main Nahi Rakhta

Karta Hun Tumharay Sabi Jazbon Ki Qadar Main
Haq Tujh Pe Meri Jaan Magr Main Nahi Rakhta

Kamil Hai Yaqeen Mera KHUDA Pr Jabhi
Dil ME Koi Andesha Ya Dar Main Nahi Rakhtya

Tuesday 5 November 2013

Shehr-e-Dil ki Galiyoon main

Shehr-e-Dil ki Galiyoon main
Shaam se bhataktay hain
Chand k Taman-na-ee
Baiqarar Saudaii
Dil Gudaz Tarikii
Jan Gudaz Tanhai
Rooh-o-Jaan ko Dasti haii
Rooh-o-Jaan main Basti hai
Shehr-e-Dil ki Galiyoon maain

Taak-e-Shab ki bailoon per
Shabnami Sarshakoon ki
Beqarar Logon nay
Beshumaar Logon nay
yadgaar chorhi hay
Itni Baat Thori Hai ?

Sud-Hazar batain thin
Hela-e-Shakebaee
Soraton ki Zebai
Qamaton ki ranaii
In siah raton main
Aik bhi na yaad aae
Ja bja bhataktay hain
Kis ki rah taktay hain
Chand kay taman’naee

Ye Nagar Kabhi Pehlay
Is Qadar Na Veeran Tha
Kehnay walay kahte hain
Qarya-e-Nigaraan Tha
Khai apnay Jeenay Ka
Yeh bhi aik samaan tha

Aaj Dil main Veerani
Abr ban kay Ghiraaii
Aaj Dil ko kya Kahiyea
Ba-Wafa Na Haarjae
Phir Bhi Log Diwanay
Aa gayay hain samjhanay
Apni wehshat-e-dil k
Bun liyay hain afsanay
Khush khayal dunya nay

Garmiaan to Jaati hain
Woh rutaain bhi aati hain
Jab Maluul raton may
Doston ki baton may
Ji na chain payay ga
Aur oob jayay ga
Aahaton say Gonjain gi
Shehar-e-Dil ki Pinhaee
Aur chand raton main
Chandni kay Shedaii
Har bahanay niklain gay
Aarzoo ki Gairaii
Dhondnay ko Ruswaii
Sard Sard Raton ko
Zard Chand Bakhshay ga
Bay-Hisaab Tanhaii
Bay-Hijaab Tanhaii
Shehar-e-Dil Ki Galiyoon main

MeiN Tanhai Pehnta HooN

MeiN Tanhai Pehnta HooN
Udaasi Ke UjjaaR Aangun MeiN Chunta hooN
Katthin MehroomiyooN Ke Zard PattooN Ko
Meri AankhooN meiN Jagraatay Bharray HeiN Eik Muddat Se
Meri HooNtooN Pe ChaspaaN HeiN Chatakhti HichkiyaaN
Chehray Pe Khulti Khelti Dukhti KharasheiN HeiN
MeiN Apni Zaat MeiN UjjRay Hovay GaooN kA Mela HooN

Meray Yaaro………!
Tummaray Saath Reh Ker Bi Akela HooN..!
Meri Sangat MeiN Mutt Betho……..
TummeiN tou Khud SaNwarna Hei
Tumhari KhwahishooN Ke Baam-o Dharr Pe Roshni Ke Phool Khilna HeiN
TummeiN likhna Hei __________Apni SaaNs Ki Garmi Se
NeeNdooN ka Saffar-Naama
Meri Sanggat MeiN Mutt Betho
Ke MeiN Pathar Ka Mahabbis HooN
Ke MeiN MehroomiyooN Ke Shehr Ka Baasi
Meri Qismut Uddaasi
Kam-Libbasi Na-shinnasi Hei!!!

Meri Sanggat MeiN Mutt Betho
Mujhay Milnay Se Katraaoo
Khud Apnay Dil KO Samjao
Meray Nazdeek Mutt Aaoo !!!!!

Meray Dil MeiN Andheera Hei
Andheera Sirf Mera Hei

phir vohi main hon vohi shehar badar sannata

phir vohi main hon vohi shehar badar sannata
mujko dass ley na kahin khaak basar sannata

dasht e hasti mein shab e gum ki sehar karney ko
hijar valon ne liya rakhat e safar sannata……

kis se puchon k kahan hai mera roney vala
is taraf mein hon, merey ghar se udhar sannata

tu sadaaon k bhanvar mein muje avaz to dey
tuj ko dey ga merey honey ki khabar sannata

us ko hungama manzil ki khabar kia do gey ?
jis ne paya ho sir e rahguzar sannata

hasil kunj e qufas , veham bakaf tanhai
ronaq e shaam e safar , ta ba sehar sannata

qismat e sha'ir e seemaab sifat , dasht ki mout
qeemat e reeza almaas e hunar sannata

Jaan e Mohsin meri taqdeer mein kab likha hai
dobta chaand , tera qurb , gajar , sannata

Dasht-E-Tanhai

Dasht-E-Tanhai Main
Aye Jan-E-Jahan Larza Hai
Teri Aawaz Ke Saaye
Teray Honton Kay Saraab
Dasht-E-Tanhai Main
Doori Ke Khas-O-Khak Talay
Khil Rahay Hain Tere Pehloo Ke Saman
Aur Gulab
Uth Rahi Hai Kahin Qurbat Se
Teri Sanse Ki Aanch
Apne Khushboo Main Sulagti Houi
Madham Madham
Door Ufaq Paar Chamakti Hoi
Qatra Qatra
Gir Rahi Hai
Teri Dildar Nazar
Ki Shabnam
Dasht-E-Tanhai Main
Aye Jan-E-Jahan Larza Hai
Teri Aawaz Ke Saaye
Tere Hoanton Ke Saraab
Is Qadar Pyar Se
Aye Jan-E-Jahan Rakha Hai
Dil Ke Rukhsar Pe
Is Waqt
Teri Yaad Ne Haath
Yoon Guman Hota Hai
Garche Hai Abhi Subh-E-Firaq
Dhal Bhi Gaya Hijr Ka Din
Aa Bhi Gaee Wasl Ki Raat
Dasht-E-Tanhai Main
Aye Jan-E-Jahan Larza Hai
Tere Aawaz Ke Saaye
Tere Hoanton Ke Saraab

hawa

'Terii Khushbu kaa pataa karti hai
Mujh pe ehasaan hawaa karti hai

Shab ki tanhaai meN ab to aksar
Guftagu tujh se raha karti hai

Dil ko us raah pe chalanaa he nahiN
Jo mujhe tujh se judaa karti hai

Zindagi meri thi lekin ab to
Tere kahne meN raha karti hai

Us ne dekhaa hi nahiN warnaa ye aaNkh
Dil kaa Ahawaal kahaa karti hai

Be-niyaaz-e-kaaf-e-dariyaa angusht
Ret par naam likhaa karti hai

Shaam parte he kisi shaKhs ki yaad
Kuuchaa-e-jaaN meN sadaa karti hai

Mujh se bhi us ka hai waisa hi suluk
Haal jo teraa ana karti hai

Dukh huaa kartaa hai kuchh aur bayaaN
Baat kuchh aur huaa karti hai

Abr barse to inaayat us ki
ShaaKh to sirf duaa karti hai

Humne dekhi hai wo ujli saa’at
Raat jab she’r kaha karti hai

Mas’ala jab bhi chiraagooN ka uThe
Faisalaa sirf hawa kerti hai'

aks-e-khuhboo

Aks-E-Khushboo Hun, Bikharne Se Na Rokey Koi
Aur Bikhar Jaaon To Mujh Ko Na Samaitey Koi

Kaanp Uthti Hun Mai Yeh Soch Ke Tanhaai Mai
Mere Chehre Pe Tera Naam Na Parh Le Koi

Jis Tarah Khuwab Mere Ho Gaye Reza Reza
Iss Tarah Se Na Kabhi Toot Ke Bokhrey Koi

Mai To Us Din Se Harasaan Hun Ke Jab Hukm Miley
Khushk Phoolon Ko Kitaabon Mai Na Rakhey Koi

Ab To Iss Raah Se Wo Shakhs Guzarta Bhi Nahi
Ab Kis Umeed Pe Darwaaze Se Jhankey Koi

Koi Aahat, Koi Aawaz, Koi Chaap Nahi
Dil Ki Galiyaan Bari Sunsaan Hain, Aaye Koi

khawaabon ki dekh bhaal

KhwaabOn Ki Dekh Bhaal Mein Aankhien Ujar Gaien
tAnhAiyOn Ki DhOop Nay Chehray jAla Diye
LafzOn Kay jOrney Mein Ebarat Bikhar Chalii
Aaiyena dhOondney Mein Kaii Aks KhO Gaye
Aaye Na Phir wO lOat Kay Aik Baar jO Gaye …..
wO Din, wO WaQt, wO Rut, wO mOusam, wO Sarkashi
Aey Gardisht e Hayaat, Aey Raftaar e Mah O Saal
Kya Jamma Is Zameen Pey Nahien hOngey Phir Kabhi ?
jO hUmSafar Farak Kii Daldal Mein KhO Gaye
Patay jO Girr Kay PaiR Say RastOn Kay hO Gaye
Kya Phir Kabhi Na lOat Kay Aaye Gii wO Bahaar
Kya Phir Kabhi Na Aankh Mein Utray Gii wO Dhanak
Jis Kay WafOor e Rang Say jhAlkii hOii Hawa
Kartii hAi Aaj Tak
Aik Zulf Mein Sajay hOye PhOolon Ka Intezaar
Lamhay Zamaan e HijR Kay Phailay Kuch Is Trah
Degay e Rawaan e dAsht Ki Tamsaal hO Gaye
Is dAsht e Pur Saraab Mein Bhatkay hAin Kuch Is Qadar
Naqsh e Qadam Thay Jitnay Bhi Pamaal hO Gaye
Ab tO Kahien Khatam hO Rasta gUmaan Ka
SheeShay Mein Dil Kay Sarey YaQeen Baal hO Gaye
Jis Waqe’ay Nay Aankh Say Cheenii Thii Meri Neend
Us WaQe’ay kO Ab tO Kaii Saal hO Gaye

ik trei arzu

raastay, manzilaiN, justaju.. aur maiN
ham nafas.. ik teri aarzu.. aur maiN
koi rishta, shanasaai, kuch bhi nahiN
aaina hai mere rubaru.. aur maiN
jugnuoN ki talab ka sila yeh mila
teergi hai mere chaar su.. aur maiN
khwaab ki titliyaN jab uReeN aankh say
reh gai khwahish-e-rang-o-bu.. aur maiN…..
raat bhar jaagtay haiN sitaroN talay
tera lehja.. teri guftagu.. aur maiN
aankh maiN khwaab ki kirchiyaN reh gayeeN
hath maiN qismatoN ka lahu.. aur maiN ……
sochti hooN.. kahaN jaooN, kis say kahoon
shehr dushman.. Faza bhi adu.. aur maiN
ik mere ishq ki tishnagi.. aur tu
ik tere hijr ki aabju.. aur maiN
daaman-e-umr main sar chupa kar, bohat
ro diye haiN.. teri aarzu.. aur maiN
raig-e-sehra huwe haiN tere ishq maiN
mere aihsaas ki aabru.. aur maiN
mere saahir.. bichaRtay samay reh gayeeN…
teri aankhaiN mere chaar su.. aur maiN
kaash aisa ho.. saahil kanaaray kabhi
!..aur koi na ho.. sirf tu.. aur maiN…..
! . .. . . aks-e-janan kii khair ho rabba
khawab aankhon samait toota hai

Ass dil main nahi

Aas dil main nahi aankhon may koi pyas nahi
Chund yadoon kay siwa kuch bhi meray paas nahi

Zindagi hay keh lapakta hua shola hay koi
Jal bujha jis may meray dil ka haseen taaj mahal
Tujh ko apnanay ki khwahish tujhay paanay ki lagan
Ab hai jesay koi jhulsa hua be rang kanwal

Gard-e-alam say mamoor hein ab wo raahein
Jin say guzray thay kabhi saath hum hanstay hanstay
Zehr-e-tanhai bhi ab dil pe asar karta nahi
Thak gai gham ki syah raat bhi dastay dastay

Meri afsurda jawani pe amaavas ki yeh raat
Aur ta hadd-e-nazar aas ka jugnoo bhi nahi
Apni marhoom tamannaon pe maatam kay liye
Haif ab aankhon kay kashkool may aansoo bhi nahi

Apnay kaandhay pe liye apni tamannaon ki laash
Ghoomta phirta hoon aabadi main veeranay main
Koi aisa nahi jo rok lay itna poochay
Kon ho? Kis liye aawara ho? Kya dukh hay tumhein?

Sochta hoon mera jeena bhi koi jeena hay
Aik hi sur main jo bajta hay wahi saaz hoon main
Kho gaya hoon main gham-e-zeest kay sehraaon main
Mujh ko aawaz na do gum shuda aawaz hoon main

Aas dil main nahi aankhon may koi pyas nahi
Chund yadoon kay siwa kuch bhi meray paas nahi

hone na diya

Waa'az sa bazm mai charcha kabhi hone na diya
ham ne apne ko tamasha kabhi hone na diya

ham ko iss gardish e daura'n ne kahee'n ka na rakha
phir bhi apne ko shikasta kabhi hone na diya

mai-kaday mai barhe kam zarf thai peenay walay
aankh ko saagar o meena kabhi hone na diya

kitna aasan tha apnay se juda ho jana
ishq mai zehen ka sauda kabhi hone na diya

roz jalna hai isay roz jalana hai isay
aatish e shauq ko thhanda kabhi hone na diya

umr rishto'n k taqazon ko nibha bhi na saki
zindagi ne mujhay apna kabhi hone na diya

sab se mehfooz maqaam, gham e tanhai hai
fikr e dunya ne akaila kabhi hone na diya

Sunday 29 September 2013

Main

Mari Mohabat aur

Tari Wafa k Phool

Moqadroon ki Dhoul ban gay Ab

Rah k Phool

Kahein par Tu Bikhare hain mari Chah k Phool

Zamane bhar ne Jo paye thay Sur or Taal k Phool

Waqat k Dharoon pe Jab

Beh Raha hai Pani bhi

Mare Apanoo ne

Likh di mari Kahani bhi

Kabhi Badul na paye ga Tu

Mari Nashani bhi

Zamane bhar ne Mil kr

KI Hai Beamani bhi

Tari Khushi main hii jb Hum ne Haar mani thee

Ashak ban k Tab Beh gay Qaza k Phool

Friday 27 September 2013

jahan mazil nai

Jaanum teray baghair kab zinda raha hoon main,
Her peher her gharri yahan merta raha hoon main,
Dukh zindagi ko ghayal kertay rehay meri,
Ik kerb-e-musalsal se guzerta raha hoon main,
Jo log apni jan se aziz thhay mujhay,
Un ke wafa ko akser tarasta raha hoon main,
Bikhray jalay muqaam milay safer-e-hayat main,
Daaman ko apnay raakh se bharta raha hoon main,
Teri yaad ne bhi likh dee muqader main baykali,
Qismat ke iss khail pe hunsta raha hoon main,
Hain aashnaa yahan meray dardon ke qaaflay,
Bus inn ke dermiyan he chalta raha hoon main,
Rakhta hon her qadam main ab phoonk phoonk ker,
Apnay he saaye se bhi darta raha hoon main,
Aaj hoon main us jagah jahan manzil nahi Shano,
Raston se bewaja he larrta raha hoon main..

soch lena

Bana K Banjar Ye Dil Ki Basti
Ujaar Jaate Hen Soch Lena!!

Mohabton Men to Ese Ese
Selaab Aate Hen Soch Lena

Ye Uljhi Zulfen,Ye Lal Ankhen, 
Ye Maily Kaprey,Ye Zard Chehra,

Hasas Logon Ki Zindgi Men
Ye Baab Aate Hen Soch Lena !!

Aadha Din To Sulagtey Sehra Ki
Jalti Raiton Pe, 

Chal Lia Kar K Hijraton Mein To Is Se Barh Kar
Azaab Aate Hen Soch Lena !!

Hijar Ne Mere Tabah Kia Hai
To Chor Do Na Ye Pyar Krna

K Unki Janib Se Is Trah B
Jawab Aate Hen Soch Lena

Thursday 26 September 2013

phr se pyar ka


Chand gullab aur main


raha

Raha pa barhina wo khud magar naya boot mujh ko dila dia
Mere baap k isi roop ne mujhe baap jesa bana dia

Jo gulab taza the rakh diye kisi tooti phooti qabar per
Wo jo khardaar si bail thi usey raste se hata dia

Kisi khali taaq mein roshni ki lakeer lambi si khench di.
Kahin aik shikasta faseel per koi mor ujla bana dia

Mein tamasha dekhna chahta tha saron ki oonchi qitar se
Mere pair kandhay per rakh diye mujhe doosron se barha dia

Jo gila kia k shadeed dhoop mein yeh safar hai bohat kathan
To rida mein mujh ko chupa lia, karhi dhoop loo se bacha dia

Kabhi sardiyon mein hawa chali to thitharti raat ko farsh per
Mera baap chupke se so gaya mujhe apna khais orha dia

Jo nawale torh k dalta raha mere munh mein dulaar se
Usi dast-e-shafqat-o-mehar ne mujhe chup ka zehar khila dia




~:.Aitbaar Sajid.:~

hukam


Jb samajh paya nahin hoon baat ki tafseel main
Kis tarha se phir karoon ga hukam ki tameel main

Janta hoon meri rahon main kayi sehra b hain
Kr nahin sakta hoon lekin raasta tabdeel main

Rafta rafta ab kahani aa gyi uss mor pr
Sochta hoon de hi daloon phir nayi tashkeel main

Ma swa tere koi aankhon main jachta hi nahin
Dhoondh kr laoon kahan se ab teri tamseel main

Ye koi qissa kahani hai na afsana koi
Likh raha aansoo'on se pyar ki Amjeel main

Gardish e halaat hon, ya k hawa e gham chale
Umer bhar bujhne na doon ga yaad ki qandeel main

Khud ko Arshad gard se kb tk bchaoon main bhla
Khaak hoon ho jaoon ga iss khaak main tehleel main

safer


Safer b door ka hai rah aashna b nahin
Chala udhar hoon k jis simt ki hawa b nahin

Guzar raha hoon qadam rakh ke apni aankhon pr
gye dinon ki taraf mur ke dekhta b nahin

Mera wajood meri zindagi ki had na sahi
Kabhi jo te hi na ho main wo fasla b nahin

Fiza main phail chali meri baat ki khushboo
Abhi to main ne hawaon se kuch kaha b nahin

Hai zindagi teri mehfil main kis qadar arzaan
Rwa hai qatl b dastoor e khoon baha b nahin

Samajh raha hoon Muzafar usse shareek e safar
Jo mere saath qadam do qadam chala b nahin

kash

Kaash badil ki tarha pyar ka saya hota
Phir main din raat tere shehar pe chaya hota

Mujh si takhleeq ka ilzaam na aata tujh pr
Main agar naqsh e ghalat hoon, na bnaya hota

Khawab toote the agar tere bhi meri hi trah
Bojh kuch teri bhi palkon ne uthaya hota

Lams haathon ka bhi kafi tha pigalne ke liye
Mom ke but ko zameen pr na giraya hota

Raah main aag ke darya se guzarna tha agar
Tu ne khawabon ka jazeera na dikhaya hota

sayeen

Tujh ko shayad khabar nahin sayeen
Ishq karta hai moatber sayeen

Tere qadmon main rakh diya khud ko
Ab jo chahe salook kr sayeen

Apne sadme se maar deta hai
Ishq milta nahin agar sayeen

Tujh ko chaha nahin, Khuda ki qasam
Tujh ko pooja hai umer bhar sayeen

Bhool jaoon main kis trha sb kuch
Zor chalta hai ishq pr sayeen?

Sahilon ki hawa hoon, aaj mujhe
Apni muthi main qaid kr sayeen

hawa

Hawa talash krain, roshni talash krain
Hum aas paas kahin zindagi talash krain

Hum apni apni khushi to gawa bethe hain sb hi
So, doosron ki khushi main khushi talash krain

Ye manzron ki kahani bohat purani hai
Nya zamana,nyi shairy talash krain

Udasiyon ka sabab dhoondne se kya ho ga
Jo hum se rooth gyi, wo hansi talash krain

Praye shehar main phirne se kuch nahin ho ga
Hum apna raasta, apni gli talash krain

Yahan ke log to apni trah ke hain
Jo apne jesa na ho, wo aadmi talash krain

Sunday 22 September 2013

night

One night it was cold And starry and beautiful. And I thought of you. You called to say you'll Love me to death. But then you Left me in silence. Unaware of tears, I was left alone with the Dark sky and dark stars. I'd known your smile to Be carel





Thursday 29 August 2013

tasveer


chaha mujhe







Maeri batain b galat
maery irady b galat
by wafae ka khud sakhata buhtan b manzur mujy
ye b mana k gam e dahr jawan taha to
gam e jawan ko maeri ankh k ansu na mely...

jb zamany ki by mahr hawaen
maeri suchun ko jala daete hn
m sochte hun
jb gam e dhr ki palakain taeri janeb
maeri shedat ko ghta daete hn
to m sochte hun
jb maeri jafain mujy apni e nazrun m gera daete hn
m sochta hun

tum ny b kun sa chaha tha mujy

isqh

Hum niklel thay talas-e-isqh main tanhaiyoun ke dar se

Hum ko muhabbat bhi aisi mili jo aur bhi tanha kar gai

Halaat ne tod diya kache dhaage ki tarah warna..__!!

Mere wade b kbhi zanjir hua krte the.__!!



dilon ko

"Dilon Ko Torney K Liye Zarorat Nhi Patharon Ki,


Ye DiL To Bikhar Jatey Hain Sirf Lafzon Ki Chout Sey.


aye gam-e-zindagi

Gale Se Lipat

Ab ki bar mila to usy khoob Rulain gay

Suna hai usy roty huy usy gale se lipat janr ki adat hai

Wednesday 28 August 2013

DiiiiL Kissi Kh'elll Mein Nahiii Lagtaaa..,


Jabb Mohabbat Mein Maaaat Ho Jaaaayeee.
Mele Hath me Tela Hath ho..


Shali Jannate Mele sath ho..



Tum Jo Pach ho Phil kya ye jahan.....

 

Tele Pyal me ho jaon fanah.


hahahahahaha

Tuesday 27 August 2013

pagal hon kya

Teri yaadoon ki ulfat se saji he zindgi
meri..



Me pagal hun kya.?
Jo tujh ko bhul k veeran ho jaun,

deewana

Koi Chehray Ka Deewana Hai, Koi
Ikhlaaq Ka Talib,





Aadayn Peecha Karwati Hain,
Mohabbat Kon Karta Hai…?

woh zehar deta

woh zehar deta to duniya ki nazaron main aa jata

kamal ki soch thi us ki pyar kiya aur chor diya

Monday 26 August 2013

Wednesday 31 July 2013

khayal

Har Tareeqe Se Tujhe BhuLana Chaha, Magar Har KhayaaL Se Paida, Tera KhayaaL h0ta hai

tanha

Kyaa Mil Gaya Tujhe Zanjeer- e- Rafaqat Tor Kar..!! Main bhi Tanhaa, Tu bhi Tanhaa , Aur Tamaashe Bohtt...!!

Sunday 21 July 2013

hath ki dastak

Tumhare Haath Ki Dastak Ki Aas Mein , , ' " Main Barson Apne Ghar Se Kahin Nahi Niklaa ..!!!!

Sunday 7 July 2013

muhabbat har jati hai

Hawas jab dil mein apna ghar banaleti hai Hawas jab fikr ki matti mein, Apna sir utha leti hai Hawas ko zindagi mehvar kisi pal bhi banati hai Hawas chaaro’n taraf ik aag si jis per lagati hai hawas jab jeet ko sir per sajati hai usi lamhay MUHABBAT HAAR JATI HAI. . !

Saturday 6 July 2013

waqt.e.rukhsat

Waqt-e-Rukhsat .. aakhir me Us ne Poocha.. ''Kuch Kehna Hai..??'' Aur Hum .. Labo par aayi baat ko Zabt kar itna hi kah paaye Bus .......... "Apna Khyaal Rakhna..!!!!"

ja aur koi

Ja Aur Koi Zabt Ki Duniya Talash Kar..!!!!!! Aye Ishq Hm To Ab Tery Qabil NahiRahe...

Wednesday 3 July 2013

sheesha dil

Toote hain sheesha dil haaye dil itne ke ehl-e-dard, Rakhte hain paaon khaak par sau baar dekh kar..

Tuesday 2 July 2013

Nagar

Vo Kaafila Kisi Andhey Nagar Se Aya Tha, Har Shaks Ka Takiya Kalaam Aankhein Theen...!!

Sunday 30 June 2013

inteha

Mat pooch meri mohabat ki intehaa kaha tak hai, Tu kar le sitaam teri taaqat jahan tak hai, wafa ki ummeed jinhe hogi unhe hogi, Dekhoon tou zara tu bewafa kahatak hai..

Friday 28 June 2013

aey ishq

Aey Ishq Zara Ek Baat To Bata ??? . . . . Kia Sab Ko Azmatay Ho Ya Meray Sth Dushmani Hai Teri...?

Batao na

Batao Na kaisy jan churai jaye. . . Tumhari yaadon ki duniya main qaid h0n . . .

Tuesday 25 June 2013

aye dosti na chair

Aye dost! Na chairr batain aaj hijr-o-visaal ki, Main kese sunaa paaon ga daastanapne zawaal ki, Kabhi waqt ke aasman pe roshan sitarey they hum, Ab halaat ne bhula di pehchan hadh-o-haal ki.. Visit www.zakhamehasrat.blogspot.com

Friday 14 June 2013

Kanch ka soda

Mohabbat Kanch Ka Soda, Mohabbat aag ka darya, Mohabbat june jasi hai, Mohabbat barf jasi hai, Mohabbat raat kaali hai, Mohabbat nella musam hai, Mohabbat kacha angan hai, Mohabbat titlion ka ghar, magar phir bhi, Mohabbat kanch ka soda, kisi namaloom basti se, kisi anjan hasti se, kisi kaghaz ki kashti se, kisi khirki k manzer se, kisi dhundli c hasrat se, kisi jhooti tasali se, Mohabbat ho hi jati hai...!!!

Wo kb hamary thy

Umar-e-taveel ki justaju krty,, faiz itny wo kb hamary thy..!

Thursday 13 June 2013

Muskurata h0n

kisi k you'n bicharnay say, kisi k yaad Aanay say, buhat say log rotay hain , k rona aik riwayat hai , riwayat torr jataa hoo'n, tumhari yaad Aanay per main aksar muskarata hoo'n

Muhabbat Zaat Hoti Hai (Poet: Farhat Abbas Shah)

Mohabbat Zaat Hoti Hai Mohabbat Zaat Ki Takmeel Hoti Hai Koi Jungle Mai Jaa Thehrey Kisi Basti Mai Bas Jaye Mohabbat Saath Hoti Hai Mohabbat Khushbooun Ki Ley Mohabbat Mosamon Ka Dhan Mohabbat Aabshaaron Ke NikhartePaaniyon Ka Mann Mohabbat Jungalon Mai Raqs Karti Morni Ka Tan Mohabbat Barf Parti Sardiyon Mai Dhoop Banti Hai Mohabbat Chilchilaatey Garm Sehraaon Mai Thandi Chaaon Ki Manind Mohabbat Ajnabi Duniya Mai Apne Gaon Ki Manind Mohabbat Dil Mohabbat Jaan Mohabbat Rooh Ka Darmaan Mohabbat Moorti Hai Aur Kabhi Jo Dil Ke Mandir Mai Kahin Per Toot Jaye To Mohabbat Kaanch Ki Guriya Fizaaon Mai Kisi Ke Haath Se Gar*** Jaye To Mohabbat Aabla Hai Karb Ka Aur Phoot Jaye To Mohabbat Rogg Hoti Hai Mohabbat Sogg Hoti Hai Mohabbat Shaam Hoti Hai Mohabbat Raat Hoti Hai Mohabbat Jhilmilaati Aankh Mai Barsaat Hoti Hai Mohabbat Nend Ki Rut Mai Haseen Khuwabon Ke Raston Par Sulagtey, Jaan Ko Aate, Rat’jagon Ki Ghaat Hoti Hai Mohabbat Jeet Hoti Hai Mohabbat Maat Hoti Hai Mohabbat Zaat Hoti Hai (Farhat Abbas Shah)