Sunday 17 November 2013

aahista aahista

Khulegi is nazar pe
chashm-e-tar aahista
aahista
kiya jata hai pani mein
safar aahista aahista
koi zanjir phir vapas
waheen par le ke aati hai
kathin ho reh to chutata
hai ghar aahista aahista
badal dena hai rasta ya
kaheen par baith jana hai
ki thakata ja raha hai
hamsafar aahista aahista
khalish ke sath is dil se na
meri jan nikal jaye
khinche tir-e-shanasai
magar aahista aahista
hua hai sarkashi mein phul
ka apna ziyan, dekha
so jhukata ja raha hai ab
ye sar aahista aahista
meri sholamizaji ko wo
jangal kaise ras aaye
hawa bhi sans leti ho
jidhar aahista aahista

Poet: Parveen Shakir

No comments: