Thursday 7 November 2013

Hum To Bhool Jatay Hain


Kis Ne Dil Ke Daman Me
Kitnay Zakhm Dalay Hain
Kon Hansti Aankhon Se
Khwab Chheen Kr Saray
De Gaya Inhen Yaksar
Dasht Ki Si Weerani

Hum To Bhool Jatay Hain

Doston Ki Mehfil Me
Kis Ki Baat K Nishtar
Teer Ban Ke Seenay Pr
Kitni Baar Chaltay Hai

Hum To Bhool Jatay Hain

Hum Ne Apnay Piyaron Ke
Ras - Bharay Se Lehjay Se
Kitnay Dard Jhailay Hain
Kis Ki Aankh Ke Aansu
Hum Ne Apnay Daman Se
Kitni Baar Punchay Hain

Hum TO Bhool Jatay Hain

Gham Ki Dhoop Me Hum Ne
Jo Bhi Umr Kaati Hai
Us Ne Ye Sikhaya Hai
Tajruba Ye Mera Hai

Waqt Ki Tamazat Me
Ranj-o-Gham Ki Shiddat Ko
Dard Ki Aziyyat Ko
Zulm Ki Rawayat Ko
Jitna Yaad Rakho Gay
Utna Dard Paao Gy

Is Liye To Hum Yaro
Sab He Bhool Jatay Hain
Or Muskuratay Hain…

No comments: