Sunday 29 September 2013

Main

Mari Mohabat aur

Tari Wafa k Phool

Moqadroon ki Dhoul ban gay Ab

Rah k Phool

Kahein par Tu Bikhare hain mari Chah k Phool

Zamane bhar ne Jo paye thay Sur or Taal k Phool

Waqat k Dharoon pe Jab

Beh Raha hai Pani bhi

Mare Apanoo ne

Likh di mari Kahani bhi

Kabhi Badul na paye ga Tu

Mari Nashani bhi

Zamane bhar ne Mil kr

KI Hai Beamani bhi

Tari Khushi main hii jb Hum ne Haar mani thee

Ashak ban k Tab Beh gay Qaza k Phool

Friday 27 September 2013

jahan mazil nai

Jaanum teray baghair kab zinda raha hoon main,
Her peher her gharri yahan merta raha hoon main,
Dukh zindagi ko ghayal kertay rehay meri,
Ik kerb-e-musalsal se guzerta raha hoon main,
Jo log apni jan se aziz thhay mujhay,
Un ke wafa ko akser tarasta raha hoon main,
Bikhray jalay muqaam milay safer-e-hayat main,
Daaman ko apnay raakh se bharta raha hoon main,
Teri yaad ne bhi likh dee muqader main baykali,
Qismat ke iss khail pe hunsta raha hoon main,
Hain aashnaa yahan meray dardon ke qaaflay,
Bus inn ke dermiyan he chalta raha hoon main,
Rakhta hon her qadam main ab phoonk phoonk ker,
Apnay he saaye se bhi darta raha hoon main,
Aaj hoon main us jagah jahan manzil nahi Shano,
Raston se bewaja he larrta raha hoon main..

soch lena

Bana K Banjar Ye Dil Ki Basti
Ujaar Jaate Hen Soch Lena!!

Mohabton Men to Ese Ese
Selaab Aate Hen Soch Lena

Ye Uljhi Zulfen,Ye Lal Ankhen, 
Ye Maily Kaprey,Ye Zard Chehra,

Hasas Logon Ki Zindgi Men
Ye Baab Aate Hen Soch Lena !!

Aadha Din To Sulagtey Sehra Ki
Jalti Raiton Pe, 

Chal Lia Kar K Hijraton Mein To Is Se Barh Kar
Azaab Aate Hen Soch Lena !!

Hijar Ne Mere Tabah Kia Hai
To Chor Do Na Ye Pyar Krna

K Unki Janib Se Is Trah B
Jawab Aate Hen Soch Lena

Thursday 26 September 2013

phr se pyar ka


Chand gullab aur main


raha

Raha pa barhina wo khud magar naya boot mujh ko dila dia
Mere baap k isi roop ne mujhe baap jesa bana dia

Jo gulab taza the rakh diye kisi tooti phooti qabar per
Wo jo khardaar si bail thi usey raste se hata dia

Kisi khali taaq mein roshni ki lakeer lambi si khench di.
Kahin aik shikasta faseel per koi mor ujla bana dia

Mein tamasha dekhna chahta tha saron ki oonchi qitar se
Mere pair kandhay per rakh diye mujhe doosron se barha dia

Jo gila kia k shadeed dhoop mein yeh safar hai bohat kathan
To rida mein mujh ko chupa lia, karhi dhoop loo se bacha dia

Kabhi sardiyon mein hawa chali to thitharti raat ko farsh per
Mera baap chupke se so gaya mujhe apna khais orha dia

Jo nawale torh k dalta raha mere munh mein dulaar se
Usi dast-e-shafqat-o-mehar ne mujhe chup ka zehar khila dia




~:.Aitbaar Sajid.:~

hukam


Jb samajh paya nahin hoon baat ki tafseel main
Kis tarha se phir karoon ga hukam ki tameel main

Janta hoon meri rahon main kayi sehra b hain
Kr nahin sakta hoon lekin raasta tabdeel main

Rafta rafta ab kahani aa gyi uss mor pr
Sochta hoon de hi daloon phir nayi tashkeel main

Ma swa tere koi aankhon main jachta hi nahin
Dhoondh kr laoon kahan se ab teri tamseel main

Ye koi qissa kahani hai na afsana koi
Likh raha aansoo'on se pyar ki Amjeel main

Gardish e halaat hon, ya k hawa e gham chale
Umer bhar bujhne na doon ga yaad ki qandeel main

Khud ko Arshad gard se kb tk bchaoon main bhla
Khaak hoon ho jaoon ga iss khaak main tehleel main

safer


Safer b door ka hai rah aashna b nahin
Chala udhar hoon k jis simt ki hawa b nahin

Guzar raha hoon qadam rakh ke apni aankhon pr
gye dinon ki taraf mur ke dekhta b nahin

Mera wajood meri zindagi ki had na sahi
Kabhi jo te hi na ho main wo fasla b nahin

Fiza main phail chali meri baat ki khushboo
Abhi to main ne hawaon se kuch kaha b nahin

Hai zindagi teri mehfil main kis qadar arzaan
Rwa hai qatl b dastoor e khoon baha b nahin

Samajh raha hoon Muzafar usse shareek e safar
Jo mere saath qadam do qadam chala b nahin

kash

Kaash badil ki tarha pyar ka saya hota
Phir main din raat tere shehar pe chaya hota

Mujh si takhleeq ka ilzaam na aata tujh pr
Main agar naqsh e ghalat hoon, na bnaya hota

Khawab toote the agar tere bhi meri hi trah
Bojh kuch teri bhi palkon ne uthaya hota

Lams haathon ka bhi kafi tha pigalne ke liye
Mom ke but ko zameen pr na giraya hota

Raah main aag ke darya se guzarna tha agar
Tu ne khawabon ka jazeera na dikhaya hota

sayeen

Tujh ko shayad khabar nahin sayeen
Ishq karta hai moatber sayeen

Tere qadmon main rakh diya khud ko
Ab jo chahe salook kr sayeen

Apne sadme se maar deta hai
Ishq milta nahin agar sayeen

Tujh ko chaha nahin, Khuda ki qasam
Tujh ko pooja hai umer bhar sayeen

Bhool jaoon main kis trha sb kuch
Zor chalta hai ishq pr sayeen?

Sahilon ki hawa hoon, aaj mujhe
Apni muthi main qaid kr sayeen

hawa

Hawa talash krain, roshni talash krain
Hum aas paas kahin zindagi talash krain

Hum apni apni khushi to gawa bethe hain sb hi
So, doosron ki khushi main khushi talash krain

Ye manzron ki kahani bohat purani hai
Nya zamana,nyi shairy talash krain

Udasiyon ka sabab dhoondne se kya ho ga
Jo hum se rooth gyi, wo hansi talash krain

Praye shehar main phirne se kuch nahin ho ga
Hum apna raasta, apni gli talash krain

Yahan ke log to apni trah ke hain
Jo apne jesa na ho, wo aadmi talash krain

Sunday 22 September 2013

night

One night it was cold And starry and beautiful. And I thought of you. You called to say you'll Love me to death. But then you Left me in silence. Unaware of tears, I was left alone with the Dark sky and dark stars. I'd known your smile to Be carel