Thursday 26 September 2013

hawa

Hawa talash krain, roshni talash krain
Hum aas paas kahin zindagi talash krain

Hum apni apni khushi to gawa bethe hain sb hi
So, doosron ki khushi main khushi talash krain

Ye manzron ki kahani bohat purani hai
Nya zamana,nyi shairy talash krain

Udasiyon ka sabab dhoondne se kya ho ga
Jo hum se rooth gyi, wo hansi talash krain

Praye shehar main phirne se kuch nahin ho ga
Hum apna raasta, apni gli talash krain

Yahan ke log to apni trah ke hain
Jo apne jesa na ho, wo aadmi talash krain

No comments: