Wednesday 26 April 2023

رات گہری تھی

 رات گہری تھی ڈر بھی سکتے تھے

ہم جو کہتے تھے کر بھی سکتے تھے

وہ جو بچھڑے تو یہ بھی نہ سوچا

کہ ہم تو پاگل تھے مر بھی سکتے تھے

Saturday 29 January 2022

ﻣﯿﺮﺍ ﻧﺎﻡ

 ﺗﻮ ﻣﯿﺮﺍ ﻧﺎﻡ ﻧﮧ ﭘﻮﭼﮭﺎ ﮐﺮ

ﻣﯿﮟ ﺗﯿﺮﯼ ﺫﺍﺕ ﮐﺎ ﺣﺼﮧ ﮨﻮﮞ

ﻣﯿﮟ ﺗﯿﺮﯼ ﺳﻮﭺ ﻣﯿﮟ ﺷﺎﻣﻞ ﮨﻮﮞ

ﻣﯿﮟ ﺗﯿﺮﯼ ﻧﯿﻨﺪ ﮐﺎ ﻗﺼﮧ ﮨﻮﮞ

ﻣﯿﮟ ﺗﯿﺮﮮ ﺧﻮﺍﺏ ﮐﺎ ﺣﺎﺻﻞ ﮨﻮﮞ

ﻣﯿﮟ ﺗﯿﺮﯼ ﯾﺎﺩ ﮐﺎ ﻣﺤﻮﺭ ﮨﻮﮞ

ﻣﯿﮟ ﺗﯿﺮﯼ ﺳﺎﻧﺲ ﮐﺎ ﺟﮭﻮﻧﮑﺎ ﮨﻮﮞ

ﺗﻮ ﻣﻨﻈﺮ، ﻣﯿﮟ ﭘﺲ ﻣﻨﻈﺮ ﮨﻮﮞ

ﻣﯿﮟ ﻟﻤﺤﮧ ﮨﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﺟﺬﺑﮧ ﮨﻮﮞ

ﺟﺰﺑﮯ ﮐﺎ ﮐﻮﺋﯽ ﻧﺎﻡ ﻧﮩﯿﮟ

ﺗﻮ ﻣﯿﺮﺍ ﻧﺎﻡ ﻧﮧ ﭘﻮﭼﮭﺎ ﮐﺮ

Tuesday 19 June 2018

Mayoos mat hona

ﮐﺒﮭﯽ ﻣﺎﯾﻮﺱ ﻣﺖ ﮨﻮﻧﺎ ،
ﺍﻧﺪﮬﯿﺮﺍ ﮐﺘﻨﺎ ﮔﮩﺮﺍ ﮨﻮ ،
ﺳﺤﺮ ﮐﯽ ﺭﺍﮦ ﻣﯿﮟ ﺣﺎﺋﻞ ،
ﮐﺒﮭﯽ ﺑﮭﯽ ﮨﻮ ﻧﮩﯿﮟ ﺳﮑﺘﺎ
ﺳﻮﯾﺮﺍ ﮨﻮ ﮐﮯ ﺭﮨﺘﺎ ﮨﮯ ،

ﮐﺒﮭﯽ ﻣﺎﯾﻮﺱ ﻣﺖ ﮨﻮﻧﺎ ،
ﺍﻣﯿﺪﻭﮞ ﮐﮯ ﺳﻤﻨﺪﺭ ﻣﯿﮟ ،
ﺗﻼﻃﻢ ﺁﺗﮯ ﺭﮨﺘﮯ ﮨﯿﮟ ،
ﺳﻔﯿﻨﮯ ﮈﻭﺑﺘﮯ ﺑﮭﯽ ﮨﯿﮟ ،
ﺳﻔﺮ ﻟﯿﮑﻦ ﻧﮩﯿﮟ ﺭﮐﺘﺎ ،
ﻣﺴﺎﻓﺮ ﭨﻮﭦ ﺟﺎﺗﮯ ﮨﯿﮟ ،
ﻣﮕﺮ ﻣﺎﻧﺠﮭﯽ ﻧﮩﯿﮟ ﺗﮭﮑﺘﺎ ،
ﺳﻔﺮ ﻃﮯ ﮨﻮ ﮐﮯ ﺭﮨﺘﺎ ﮨﮯ ،

ﮐﺒﮭﯽ ﻣﺎﯾﻮﺱ ﻣﺖ ﮨﻮﻧﺎ ،
ﺧﺪﺍ ﺣﺎﺿﺮ ﮨﮯ ﻧﺎﻇﺮ ﺑﮭﯽ ،
ﺧﺪﺍ ﻇﺎﮨﺮ ﮨﮯ ﻣﻨﻈﺮ ﺑﮭﯽ ،
ﻭﮨﯽ ﮨﮯ ﺣﺎﻝ ﺳﮯ ﻭﺍﻗﻒ ،
ﻭﮨﯽ ﺳﯿﻨﻮﮞ ﮐﮯ ﺍﻧﺪﺭ ﺑﮭﯽ ،
ﻣﺼﯿﺒﺖ ﮐﮯ ﺍﻧﺪﮬﯿﺮﻭﮞ ﻣﯿﮟ ،

ﮐﺒﮭﯽ ﺗﻢ ﻣﺎﻧﮓ ﮐﺮ ﺩﯾﮑﮭﻮ ،
ﺗﻤﮩﺎﺭﯼ ﺁﻧﮑﮫ ﮐﮯ ﺁﻧﺴﻮ ،
ﯾﻮﮞ ﮨﯽ ﮈﮬﻠﻨﮯ ﻧﮩﯿﮟ ﺩﮮ ﮔﺎ ،
ﺗﻤﮩﺎﺭﯼ ﺁﺱ ﮐﯽ ﮔﺎﮔﺮ ،
ﮐﺒﮭﯽ ﮔﺮﻧﮯ ﻧﮩﯿﮟ ﺩﮮ ﮔﺎ ،
ﮨﻮﺍ ﮐﺘﻨﯽ ﻣﺨﺎﻟﻒ ﮨﻮ ،
ﺗﻤﮩﯿﮟ ﻣﮍﻧﮯ ﻧﮩﯿﮟ ﺩﮮ ﮔﺎ ،
ﮐﺒﮭﯽ ﻣﺎﯾﻮﺱ ﻣﺖ ﮨﻮﻧﺎ ،

ﻭﮨﺎﮞ ﺍﻧﺼﺎﻑ ﮐﯽ ﭼﮑّﯽ ،
ﺫﺭﺍ ﺩﮬﯿﺮﮮ ﺳﮯ ﭼﻠﺘﯽ ﮨﮯ ،
ﻣﮕﺮ ﭼﮑّﯽ ﮐﮯ ﭘﺎﭨﻮﮞ ﻣﯿﮟ ،
ﺑﮩﺖ ﺑﺎﺭﯾﮏ ﭘﺴﺘﺎ ﮨﮯ ،
ﺗﻤﮩﺎﺭﮮ ﺍﯾﮏ ﮐﺎ ﺑﺪﻟﮧ ،
ﻭﮨﺎﮞ ﺳﺘﺮ ﺳﮯ ﺯﯾﺎﺩﮦ ﮨﮯ ،
ﻧﯿﺖ ﺗﻠﺘﯽ ﮨﮯ ﭘﻠﮍﻭﮞ ﻣﯿﮟ ،

ﻋﻤﻞ ﻧﺎﭘﮯ ﻧﮩﯿﮟ ﺟﺎﺗﮯ ،
ﻭﮨﺎﮞ ﺟﻮ ﮨﺎﺗﮫ ﺍﭨﮭﺘﮯ ﮨﯿﮟ ،
ﮐﺒﮭﯽ ﺧﺎﻟﯽ ﻧﮩﯿﮟ ﺁﺗﮯ ،
ﺫﺭﺍ ﺳﯽ ﺩﯾﺮ ﻟﮕﺘﯽ ﮨﮯ ،
ﻣﮕﺮ ﻭﮦ ﺩﮮ ﮐﮯ ﺭﮨﺘﺎ ﮨﮯ ،
ﮐﺒﮭﯽ ﻣﺎﯾﻮﺱ ﻣﺖ ﮨﻮﻧﺎ ،

ﺩﺭﯾﺪﮦ ﺩﺍﻣﻨﻮﮞ ﮐﻮ ﻭﮦ ،
ﺭﻓﻮ ﮐﺮﺗﺎ ﮨﮯ ﺭﺣﻤﺖ ﺳﮯ ،
ﺍﮔﺮ ﮐﺶ ﮐﻮﻝ ﭨﻮﭨﺎ ﮨﻮ ،
ﺗﻮ ﻭﮦ ﺑﮭﺮﺗﺎ ﮨﮯ ﻧﻌﻤﺖ ﺳﮯ ،
ﮐﺒﮭﯽ ﺍﯾﻮﺏؑ ﮐﯽ ﺧﺎﻃﺮ ،
ﺯﻣﯿﮟ ﭼﺸﻤﮧ ﺍﺑﻠﺘﯽ ﮨﮯ ،
ﮐﮩﯿﮟ ﯾﻮﻧﺲؑ ﮐﮯ ﮨﻮﻧﭩﻮﮞ ﭘﺮ ،
ﺍﮔﺮ ﻓﺮﯾﺎﺩ ﺍﭨﮭﺘﯽ ﮨﮯ ،

ﮐﺴﯽ ﺑﻨﺠﺮ ﺟﺰﯾﺮﮮ ﭘﺮ ،
ﮐﺪﻭ ﮐﯽ ﺑﯿﻞ ﺍﮔﺘﯽ ﮨﮯ ،
ﺟﻮ ﺳﺎﯾﮧ ﺑﮭﯽ ﮨﮯ ﭘﺎﻧﯽ ﺑﮭﯽ ،
ﻋﻼﺝِ ﻧﺎ ﺗﻮﺍﻧﯽ ﺑﮭﯽ ،
ﮐﺒﮭﯽ ﻣﺎﯾﻮﺱ ﻣﺖ ﮨﻮﻧﺎ ،

ﺗﻤﮩﺎﺭﮮ ﺩﻝ ﮐﯽ ﭨﯿﺴﻮﮞ ﮐﻮ ،
ﯾﻮﮞ ﮨﯽ ﺩُﮐﮭﻨﮯ ﻧﮩﯿﮟ ﺩﮮ ﮔﺎ ،
ﺗﻤﻨﺎ ﮐﺎ ﺩﯾﺎ ﻋﺎﺻﻢؔ ﮐﺒﮭﯽ
ﺑﺠﮭﻨﮯ ﻧﮩﯿﮟ ﺩﮮ ﮔﺎ ،
ﮐﺒﮭﯽ ﻭﮦ ﺁﺱ ﮐﺎ ﺩﺭﯾﺎ ،
ﮐﮩﯿﮟ ﺭﮐﻨﮯ ﻧﮩﯿﮟ ﺩﮮ ﮔﺎ ،
ﮐﺒﮭﯽ ﻣﺎﯾﻮﺱ ﻣﺖ ﮨﻮﻧﺎ ،

ﺟﺐ ﺍُﺱ ﮐﮯ ﺭﺣﻢ ﮐﺎ ﺳﺎﮔﺮ ،
ﭼﮭﻠﮏ ﮐﮯ ﺟﻮﺵ ﮐﮭﺎﺗﺎ ﮨﮯ ،
ﻗﮩﺮ ﮈﮬﺎﺗﺎ ﮨﻮﺍ ﺳﻮﺭﺝ ،
ﯾﮑﺎ ﯾﮏ ﮐﺎﻧﭗ ﺟﺎﺗﺎ ﮨﮯ ،
ﮨﻮﺍ ﺍﭨﮭﺘﯽ ﮨﮯ ﻟﮩﺮﺍ ﮐﺮ ،
ﮔﮭﭩﺎ ﺳﺠﺪﮮ ﻣﯿﮟ ﮔﺮﺗﯽ ﮨﮯ ،
ﺟﮩﺎﮞ ﺩﮬﺮﺗﯽ ﺗﺮﺳﺘﯽ ﮨﮯ ،
ﻭﮨﯿﮟ ﺭﺣﻤﺖ ﺑﺮﺳﺘﯽ ﮨﮯ ،

ﺗﺮﺳﺘﮯ ﺭﯾ ﮓ ﺯﺍﺭﻭﮞ ﭘﺮ ،
ﺍﺑﺮ ﺑﮩﮧ ﮐﮯ ﮨﯽ ﺭﮨﺘﺎ ﮨﮯ ،
ﻧﻈﺮ ﻭﮦ ﺍﭨﮫ ﮐﮯ ﺭﮨﺘﯽ ﮨﮯ ،
ﮐﺮﻡ ﮨﻮ ﮐﮯ ﮨﯽ ﺭﮨﺘﺎ ﮨﮯ ،
ﺍﻣﯿﺪﻭﮞ ﮐﺎ ﭼﻤﮑﺘﺎ ﺩﻥ ،
ﺍﻣﺮ ﮨﻮ ﮐﮯ ﮨﯽ ﺭﮨﺘﺎ ﮨﮯ ،
ﮐﺒﮭﯽ ﻣﺎﯾﻮﺱ ﻣﺖ ﮨﻮﻧﺎ....

Zindagi

زندگی کی کتاب سے صاحب،،

مسکرانا چرا لیا کسی نے۔

Adatain...

عادتیں ڈال کر___________ توجّہ کی

لوگ یَک دم جو بدلتے ہیں سِتم کرتے ہیں

Aaj kal

وحشتوں کا بسیرا ہے مجھ میں
آج کل مجھ سے اجتناب کیجئے

Monday 7 May 2018

Dard deti hai

‏درد  دیتی  ہے  تیری  خاموشی

‏مار دیتا ہے تیرا یوں بےخبر رہنا

Friday 6 November 2015

Khud ko dilasa

Main apne sar par apna hath rakh kar....

Khud ko dilasa detey detey ro parto hon....

poetry lover join me03055112866

Yeh zamana

Aik tum ko agar chura lon tu....

Yeh zamana ghareeb  ho jaye....

chup rahon

Koi aisa bhi hua kary.......

Main chup rahon woh suna kary.......

Thursday 27 August 2015

Kafi Had Tak

Kafi had tak hum kameyaab ho gay thay usy bhoolne main....

Ek zara c barish ne phir wahein laa ke chor diya .......

Thursday 7 May 2015

Hall poch kar

Muddatt bad us la parwa ne....

Hall poch kar wohi hall kar diya....

Tuesday 27 January 2015

Aarzu Kab Ki jal Gayi Ho Gi

Ik Jahannum Hai Mera Seena Bhi 

Aarzu Kab Ki jal Gayi Ho Gi

Ek Baar Aur Dekh Kr Azad Krde Mujhe ,

Ek Baar Aur Dekh Kr Azad Krde Mujhe ,

Ke M Aaj Bhi Teri Pehli Nazar Ki Qaid Mai Hon ,

Wahshtain barhti gayi hijar k azar k sath

Wahshtain barhti gayi hijar k azar k sath
Ab to hum baat bhi kartay nahi gham khawar k sath
Hum ne ik umer basar ki hai gham e yaar k sath
Meer do din na jiye hijar k azar k sath
Ab to hum ghar se nikaltay hain to rakh dete hain
Taaq par izat e sadat bhi dastar k sath
Is qadar khof hai shahar ki galiyo main k loog
Chaap suntay hain to lag jatay hain diwar k sath
Aik to khawab liye phirtay ho galiyon galiyon
Is pay taqrar bhi kartay ho kharidar k sath
Shahar k shahar he nasih ho to kaya kijiye ga
Warna hum rand to phir jatay hain do chaar k sath
Hum ko is shahar main tameer ka soda hai jaha
Log momar ko chun dete hain diwar k sath
Magar andaz hain sub khana kharabo walay
Soye motaqtal bhi gaye hain isi pandar k sath

Jinay k hunar kaha se laon

Jinay k hunar kaha se laon
Wo kocha wo ghar kaha se laon
Jo teri nazar ko jhel paye
Main aysi nazar kaha se laon
Chehro k hajoom se chura ker
Main aik bashar kaha se laon
Sajday to talash ker laytay hain
Lakin tera ddar kaha se laon
Kuch lafz hain mere pass lakin
Lahjay main asar kaha se alon
Jo aap ki qurbato main guzray
Wo shaam o sehar kaha se laon
Ik roz mujay kaha ye dil ne
Main apni khabar kaha se laon
Wo sahil keray her ik manzil
Wo azm e safar kaha se laon
Sed shukar k Hassan nind a gai
Ik khawab magar kaha se laon

Lamha lamha baat yeh batla rahi hai zindagi

Kaise kaise raaste dikhla rahi hai zindagi 
Gardish ayam se ghabra rahi hai zindagi

Thokarein har ik qadam par kha rahi hai zindagi
Aaj runj o gham sahi kal din khooshi kay aayein gay

Dhiray dhiray Dil ko yun behla rahi hai zindagi
Rah ulfat kay musafir ghor kar kuch soch to 

Chalte chalte hi guzarti ja rahi hai zindagi
Sath jine sath marne ki qasam jab khayi thi

Phir akela chor kar kiun ja rahi hai zindagi
Dil khuda ki yaad se ghafil raha to kiun raha

Bite lamhon par buhat pachta rahi hai zindagi
Aik din jana hai hum ne chor kar sab kuch Hakeem!

Lamha lamha baat yeh batla rahi hai zindagi

Sunday 4 January 2015

Mujhe to ab muqaddar ka sitara chhaiye koi..

Bhare saagar main mojon ko kinara chaiye koi,

Meri pur’ashk ankhon ko nazara chahiye koi,

Tere dar pe jo yun aa aa kar laut jaate hain

Teri jaanib se hum ko ishara chhaiye koi,

Kaho tum ke kon ho pyare, kahan se loat aye ho ?

Barre be’jaan dikhte ho, sahara chahiye koi ?

Tere sheher-e-wafa main to faateh nahin milna koi,

Warna hum to haazir hain, agar haara chahiye koi,

Mera dil tukrra tukrra hai idhar sham-e-tanhai ka alam,

Magar tujhe bhi to hawass ka hi maara chahiye koi,

Abhi hoon taaq mein, rakh kar sari khushiyan muntazir,

Manaaon ga jashan main bhi, pyaara chahiye koi,

Ajab dil main hai mojzaa, kuch din se paraayi yaad,

Humain phir aik dard ik shayed udhaara chahiye koi,

Main apne dil se poochon, madaawa gham ka kya hai,

To ziddi dil yeh kehta hai, dobara chahiye koi,

Beyaan karti hain dil ka dard meri yeh laal aankhain
,
Mera har ashkk kehta hai, chaara chahiye koi,

Nahin in chaand taaron se mujhe koi bhi matlab,

Mujhe to ab muqaddar ka sitara chhaiye koi..

Thursday 25 December 2014

Zindagi

Ay zindagi ja dhoond koi bichar gia mujh sy....
........Or Sun......
,,,Wo na mily tou tum bhi lot k mat aana...........

Wednesday 24 December 2014

Mout

Kaise bhula doon usko main,

Maut insaano koh aati hain, yaadon koh nahin...!!!

Thursday 11 December 2014

Mera noha inhi galiyon ki hawa likhe gi...

Main k is shehr ka seemaab-sifat shaayar hoon
Meri takhleeq mere fikr ki pehchaan bhi hai
Mere harfoN, mere lafzoN mein hai chehra mera
Mera fan ab mera mazhab, mera eemaan bhi hai
Meer o Ghalib na sahi phir bhi ghaneemat jaano
Mere yaaroN k sarhaane mera deewaan bhi hai
Mujhse poocho k shikast-e-dil o jaan se pehle
Mere ehsaas pe guzri hai qayaamat kya kya
Saaya-e-daar o shab-e-gham ki sakhaawat se alag
Main ne sochi qad o geisu ki alaamat kya kya
Mere toote huey khwabon k kharaabon se pare
Mere bikhre huey jazbe they salaamat kya kya
Tanz-e-aghyaar se ehbaab k ikhlaas talak
Main ne har ne'mat-e-uzma ka libaada pehna
Dast-e-qaatil ki kashish aap gawaahi de gi
Main ne har zakhm qaba se bhi zyaada pehna
Meri aankhoN mein kharaashein theeN dhanak ki lekin
Meri tasveer ne malboos to saada pehna
Zarbat-e-sang-e-malaamat mere seene pe saji
Tamgha-e-jurrat o ezaaz-e-hukoomat ki tarha
Khul k barsi meri sochon pe adaawat ki ghata
Aasmaanon se utarti hui daulat ki tarha
Qarya qarya hui ruswa mere fan ki chaahat
Kone kone mein bikharti hui shohrat ki tarha
Mujh pe karrki hain kamaanein mere gham-khwaroN ki
Mere ashkon ka tamaasha sar-e-baazaar hua
Mere aangan mein hawaadis ki sawaari utri
Mera dil wajh-e-azaab-e-dar o deewaar hua
Ishq mein izzat-e-saadaat bhula kar aksar
Meer saahab ki tarha main bhi gunahgaar hua
Apni ujrri hui aankhon se shuaayen le kar
Main ne bujhti hui sochon ko jawaani di hai
Apni ghazlon k sukhan-taab sitaare chun kar
Sangreizon ko bhi aashufta-bayaani di hai
Husn-e-khaak-e-rah-e-yaaraan se mohabbat kar k
Main ne har morr ko ik taaza kahaani di hai
Mujhse roothe hain mere apne qabeele waale
Mere seene mein har ik teer-e-sitam toota hai
Lafz o ma'ni k taqaazoN se ulajh kar aksar
Mere haathon mera majrooh qalam toota hai
Karb-e-na-qadri-e-yaaraaN k bhanvar mein ghir kar
Baar-ha dil ki tarha shauq ka dam toota hai
Main k is shehr ka seemaab-sifat shaayar hoon
Main ne is shehr ki chaahat se sharf paaya hai
Mere a'ada ka ghazab abr-e-karam hai mujh ko
Mere ehbaab ki nafrat mera sarmaaya hai
Meri bikhri hui ruswaai hai shohrat meri
Mere sehra ki tamaazat mera sarmaaya hai
Mutma'in hoon k mujhe yaad rakhe gi dunia
Jab bhi is shehr ki tareekh-e-wafa likhe gi
Mere ghar k dar o deewaar mujhe sochein ge
Wus'at-e-dasht mujhe aabla-pa likhe gi
Mera maatam isi chup chaap fiza mein hoga
Mera noha inhi galiyon ki hawa likhe gi...

Saturday 6 December 2014

Jb tere shahr se guzarta hun

Jb tere shahr se guzarta hun

Dil bhi karta hain yaad chupke tujhe
Naam leti hain zuban tera

ye bhi nahin mallum mujhe
Kis mohalley mein hein makan tera
Kaun si shakh-e-gul pe raqsan hai
Rashk-e-firdaus aashiana tere
Jane kin vadiyon mein thehra hein
Girat-e-husn karvaan tera
Kis se puchunga main khabbar teri
Kaun batlaye ga nishaan tera

Teri rusvaiyon se darta hun
Jb tere shahr guzarta hun

Hall-e-dil bhi na keh saki garche
Tuu rahi muddaton kareeb mere
Kuch teri azmaton ka daar bhi tha
Kuch khayallat the ajeeb mere
Bar-e-dar ho gaye raqiib mere
Tu mujhe choor ke chale bhi gayi
Khair kismat meri naseeb mere

Ab mein kyu tujse pyar karta hun
Jb tere shahr se guzarta hun

Vo zamane teri mohhabat ke
Ek bhuli hui kahani hain
Tere kuuche mein umr bhar na gaya
Saari duniya ki khaq chahni hain
Laazat-e-qarb ho ke zakhm-e-firaq
Jo bhi hain teri meharbani hain
Kis tammana se tujko chaha tha
Kis mohabbat se har mani hai

Apni qismat pe naz karta hun
Jb tere shahr se guzarta hu

Friday 5 December 2014

Us ko chaha to boht magar wo mila hi nahin

Us ko chaha to boht magar wo mila hi nahin
lakh koshish ki magar wo dil se mita hi nahin

us ko zamane ne majboor is qadr kar diya
ki wo meri kisi sda par ruka hi nahin

khuda se johli pehla- pehla kar manga tha use
magar khuda ne meri kisi dua ko suna hi nahin

har ek se poocha sabab uske na milne ka
har ek ne bataya ki wo tere liye bna hi nahin

mein tmam umr ki koshishon ke bavjood bhi nakam ho gayi
aur wo mil gaya usko jise usne kabhi MANGA hi nahin

Thursday 4 December 2014

Terey baghair Sard mosmo'n ke khusgawar Din Udaas hen....

Terey baghair Sard mosmo'n ke khusgawar Din Udaas hen....

Fiza me Dukh Racha hoa hi..


Hawa koi udaas geet gungana rahi hi...


Phool ke Labo'n pe Peyas hi..


Aisa Lagta hi..

Hawa ki Aankhen Rotey Rotey khushk ho gai hon..


Saba ke dono hath khali hon..


keh...

shehr mein Tera koi pata nahen...

saans lena kitna mahaal hi..

udassian udassian Ajab haal hi..

Tamam sabz sayya-dar pero'n ney...

Tery baghair wehshato'n me apney perahan ko tar tar kr dia...

Ab kisi shajr key Jism per Qubba nahen....

Sookey Zard pattey...

Koo ba Koo teri tilaash me Bhatak rahey hen...

Meray Daricho'n me Gulabi dhoop roz jhaankti hi...

Mgr uss ki Aankho'n me..

Wo Jag-mgahetie'n nahen...

Jo teray Waqt me Zameen key sabeeeh maathey per...

Soorajo'n ki kehkashan'n sajaaney aatie'n thien..

Zamee'n bhe meri Trah hi..

Teray baghair es ki Kohk se bhe ab..

Koi Gulaab uug na paye ga..

Zamee'n Banjer ho gai hi...

Aur...
Meri Rooh ki Bahaar Aafree'n kohk be...

Meri soch key sadaf mein...

Fun key suchey moti kis trah Janam lia kren...

keh main sarapa-e-tashnagi hon...

Aur door door tak, Visaal-e-abr ki khabr nahen...

Meray aur Teray darmian...

Paanch Paanio'n key Des mein...

Kachey gharrey bhe to meri dastars se door hen...

Mian kis trah SHER kahoo'n...

Meri Soch key Badn ko, tooo Namoo to dey...

keh...
Main Teray baghair Ek Sehra hon..........!!

Tum inka

Tum inka intizaar karo....shouq se karo~

Aata magar palat ke dobarah koi nahi

Wednesday 3 December 2014

Dekhna chahaty ho

Dekhna chahaty ho tum bin mere halat kaisy hain..

To dekh lena kabhi pani se machli nikal kar..

Thursday 27 November 2014

Akele rehte rehte

Akele rehte rehte _______yun aadat si ho gayi,

Kay phir apnay he saaye say dum ghutnay laga.

Jb Gharz Howi Tb Puch liya,

Jb Gharz Howi Tb Puch liya, Jb Waqt Mila Tb Yaad Kiya.........!!
Ab Or Haqiqat Kya Likhon Is Doar K Mukhlis logon Ki.

Rehjan Ke Sang Jaaon To Rehbar Kare Gila

Zara Thehra Jo Safar Mai To Patthar Kare Gila
Jaldi Jo Paai Manzil To Muqaddar Kare Gila

Piyaasa tha To Do Boond Matke Se Pee Gaya
Matke Se Jo Peeya Paani To Samandar Kare Gila

Main Shok Shok Mai Kha Gaya Zahar Bhi Janaab Se
Ab Unke Haath Mai Rakha Khanjar Kare Gila

Ghar Baar Chodd Chaad Ke Futhpaath Pe Li Neend
Soya Tha Jiske Niche Wo Ambar Kare Gila

Mehfil Mai They Haseen Bohat Hum Sabse Mil Liye
Tha Apna Jo Kareeb Wo Dilbar Kare Gila

Tayyar kiya Foj Ko Jang-e-Medaan Ke Liye
Ho Gayi ittefaaq sulha Lashkar Kare Gila

Soya Tha Unke Khaab Sajakar Nighah Mai
Phele Jo Thode Paon To Chadar Kare Gila

Mushkil Ye Aa Padi Hai "ShamS" Thamon Main Kiska Haath
Rehjan Ke Sang Jaaon To Rehbar Kare Gila

Sochta Hun Nikal Phenko

Sochta Hun Nikal Phenko Uski Yaad Ko Is Dil Se Talib

Najane Kiyo Ye Dil Ko Manzur Nahi

Wednesday 26 November 2014

mar he dalo gay

Itne Zaalim Na Bano,Kuch To Marwat Sikho

Tum Pe Marta Hun To Kya Mar Hi Dalo Gay

Mera Wajood Sirf Meri Muhabbat Sy Hai

Mera Wajood Sirf Meri Muhabbat Sy Hai
Mujhy Gharoor Bohat Apni Muhabbat Py Hai,

Ki Hai Usny Mujh Sy Muhabbat Be-Panah
Or Meri Zindagi Ka Sakoon Sirf Meri Muhabbat Sy Hai,

Mujhy Chahty Hun Gy Or Bhi Log Bohat
Magy Mujhy Muhabbat Sirf Meri Muhabbat Sy Ha

Friday 10 October 2014

Kya Kren Haal Hee Kuch Essa Thaa


Kya Kren Haal Hee Kuch Essa Thaa

Tum Py Mrte Nahi To Mrr Jatay

Pyar

Main Ne Parindo Se Pyaar Kya To,,
Woh Urh Gaya

Main Ne Sooraj Se Pyaar Kya To,,,
Woh Gharoob Ho Gaya

Main Ne Chand Se Pyaar Kya To,
Woh Badlon Main Chup Gaya

Main Ne Pani Se Pyaar Kya To,
Woh Beh Gaya

Main Ne Baraf Se Pyaar Kya To,
Woh Pighal Gaya

Main Ne Barish Se Pyaar Kya To,
Woh Baras K Thum Gaya

Main Ne Aag Se Pyaar Kya To,
Woh Bujh Gai

Main Ne Phoolon Se Pyaar Kya To,
Woh Murjha Gaya

Main Ne Kanto Se Pyaar Kya To,
Wo Toot Gaya

Main Ne Janwaron Se Pyaar Kya To,
Woh Meri Zaban Na Samjh Sakay

Or Jab..Main Ne Insaan'on Se Pyaar Kya To,
Woh Be-Wafa Niklay


Poetry lover join me 03149556411

jaun elia

wo sitam bhi to ab nahin kartay...
jaun shayed bohat bura na raha

jaun elia

Khuda karay k mohabbat

Nateeja tum se mohabbat ka ham ne dekha hai

Khuda karay k mohabbat na ho tumhy ham se..

Monday 6 October 2014

Saturday 20 September 2014


Lonely

Judai

Kabhi Es Dard Se Guzro
To Yeh Maloom Ho Tum
Ko...

Judai Wo Bimari Ha Jo
DiL Ka Khoon Peeti Ha...!

Lonely

Wednesday 17 September 2014

Hasti

Sheher a hasti ka ajnabi
hon mein

Kon akhir mera khayaal
rakhe!!

Khaloos Se

Urne Lage Wajood K Reze
Hawa K Sath

Me Is Qadar Khaloos Se
Bikhra Kabhi Na Tha...

Tumhari Dua Se

Pehla Sa Wo JunooN! Wo
Mohabbat Nahi Rahi!

Kuch Kuch Sambhal Gaye
Han Tumhari Duaa Se
Hum!

03149556411

Tuesday 16 September 2014

Gunah

Bare Parhez-Gaar Ho Gae
Ho

Yaad Karna Bhi Gunah
Samajty Ho......!

Monday 8 September 2014

Dushman

dUshmAn sy pAyar hO
jAye ga ,,, "+
.
.
s!rf aPnoN kO AazMa
ke tOh da!kh.....+

Meri Tarha

ajub junoon-e-musafat
main ghar se nikla tha.

khabar nahi ke sooruj
kidhar se nikla tha.

ye kon phir se mujhy
raston main chor gaya,

abhi abhi to azaab-e-
safar se nikla nikla tha.

ye teer dil main magar be
sabab nahi utra,

koi to hurf lub-e-
charagar se nikla tha.

men raat toot kar roya to
chain se soya,

ke dil ka zahar meri
chusm-e-tar se nikla tha.

wo qais ab jisay mujnoo
pokarty hen log,

meri terha koi deewana
ghar se nikla tha.....

So bar

SoO BaAr KahA Khud
SeY, ChaAl BhoOl Bhi
JAa UsS KoO...

Ha'aAr Ba'Ar Sa'AdA Aai'I
TuUm DilL SeY NahHi
KehHty'Y.....

Thursday 28 August 2014

us ke bina

Main q khud usay kahon k baat kar
lo mujh sey.

Kiya usay khaber nhi mera dil nahi
lagta us k bina..!!

Sunday 24 August 2014

Kisi Se Koi

Kisi se koi khafaa bhi nahin raha ab to,

Gilaa karo ke gilaa bhi nahin raha ab to,

Chunnay huye hain labon per tere hazar jawab,

Shikaayeton ka maza bhi nahin raha ab to,

Yakeen kar ke jo teri aarzu mein tha pehle,

Woh lutf tere siwaa bhi nahin raha ab to,

Woh sukh ke khuda ki hain bakhshishen kya kya,

Yahan yeh likh ke khudaa bhi nahin raha ab to,

Sunday 17 August 2014

apna nana ke

kitna acha lagta hi mohabat ki
ibtada krna
*
*
*
darad to tab hota hi jab koi apna
bna kr chor dy

Friday 15 August 2014

Maine Dekha tha


Meine dekha tha un dinon mein usey,

Jab woh khilte gulaab jesa tha,
Us ki palkon se neend chanti thi,

Us ka lehja sharaab jesa tha,
Us ki zulfon se bheegti thi ghataa,

Us ka rukh mahtaab jesa tha,
Log parhte they haal-o-khad us ke,

Woh adab ki kitaab jesa tha,
Bolta tha zubaan khushbuu ki,

Log sunte they dharkinon mein usey,

Mene dekha tha un dinon mein usey,

Sari aankhen thi ayiney us ke,
Sarey chehron mein intikhaab tha woh,

Sab se ghul mil kar ajnabi rehna,

Aik darya numaa saraab tha woh,

Khawb yeh hai ke woh haqeeqat tha,

Yeh haqeeqat hai khawb tha woh,

Dil ki dharti pe asmaan ki tarah,

Suurat-e-saya-e-sahaab tha woh,

Apni neendein bhi us ki nazar hui’n,
Mene paaya tha rat jaggon mein usey,

Mene dekha tha un dinon mein usey

Jab woh hans hans ke baat karta tha,

Dil ke haimey mein raat karta tha,

Rang parrhte they anchlon mein usey,

Mene dekha tha un dinon mein usey,

Yeh magar dair ki kahani hai,
Yeh magar door ka fasaana hai,

Us ke mere milaap mein haayel,

Ab to sadiyon bhara zamana hai,
Ab to hai haal apna bhi,
Dasht-e-hijraan ki shaam jjesa hai,

Kya khabar woh in dinon kesa hoga,

Mene dekha tha un dinon mein usey..

Lehje Se


Lehje se utth rahi thi dastaan-e-dard,

Chehra bata raha tha ke sab kuch ganwaa diya..

Woh Haayan

Woh aayen to hairaan woh jayen to pareshan,

Ya rab, koi samjhaye yeh kya ho geya dil ko..

ap apne

Aap apna ghubaar they hum to,
Yaad they yaadgar they hum to,
Hum ko yaaron ne bhi yaad na rakha,
Jon yaaron ke yaar they hum to..

Tuesday 24 June 2014

usey kehna

Usey kehna,


Keh thakk sa geya hoon,

Mein khud ko saabit karte karte,

Agarchey, mere tareekay galat honge,

Iraadey magar sachh pe mabni hain,

Tum agar chaaho,

To mere jazbon ka imtehaan lo,

Mere haq me faisla dene ko,

Suno ab to to tthaan lo,

Usey kehna,

Ke thakk sa geya hoon..

Monday 17 February 2014

Na Karo Juda Khudara

Poet Bedaam Shah Warasi
Na Karo Juda Khudara Mujhy Apny Aastaan Sy,
K Nahi Hai Pir Thikana, Jo Utha Diya Yhaan Sy,
Mujhy Khak Mai Mila Kr, Mare Khak Bhi Uraa Dy,
Tere Naam Par Mita Hon Mujhy Kia Graz Nishan Sy,
Yhe Maree Sajda Raizee Yhi Mare Bandagi Hy,
Mai Zara Lipat K Roo Loon Tere Sang e Astaan Sy,
Koi Kash Ja K Kah Dy, Uss Arab K Mahrbaan Sy,
Tere Gum Mai Muhammad (s.a.w) Koi Ja Raha Hy Jaan Sy,
Zara Ther Jaa Moa'azin Mera Dil Laraz Rha Hy,
Kaheen Ka'aba Jhuk Na Jay, Tere Maste A Azaan Sy,
Isee Khak-e-Asstan Mai, Kise Din Fanah Bhi Hoga,
K Bana Howa Hy "Bedaam" Isse Khak-e-Aastan Sy..

Saturday 4 January 2014







Inhi Pat'tharon Pe Chal Ke Gar Aa Sako To Aao...

Mere Ghar Ke Raaste Mein Koi Keh'kashan Nahi Hai...







Main Tha Aawaran Bohot Yaqeen Jano
Main Tha Na'Ashna Bohot Yaqeen Jano

Phir Tum Jo Aaye Zindagi Khubsurat Ho Gayi Yaqeen Jano
Tumne Jaise Pyar Kiya ZindaGi Haseen Ho Gayi Yaqeen Jano

Tumne Di Be'had Khushi Yaqeen Jano
Tum Bane Meri Haseen Yaqeen Jano


Par Phir Yun Hua Tum Gaye Zindagi Weeran Kar Ke Meri Yaqeen Jano
Tum Chale Gaye Humein Tanha Chhor Kar Yaqeen Jano

Na Phir Tumhare Baad Jeene Ki Aarzu Rahi
Na Phir Tumhare Baad Is DIL Ne Kiya Kisi Se Pyar

The Tum To Tha Mera Sab Kuch Yaqeen Jano
Jo Tum Gaye Kho GAya Mera Sab Kuch Yaqeen Jano

Kuch yadon se... Kuch wadon se...

Usay kehna aaj tum bohot yaad aye ho....

Kuch yadon se... Kuch wadon se...

Haal-E-Dil..

Ru-Baru Mushkil Huwa Us Ko Btana Haal-E-Dil..

Lag Raha Tha Aasaan Kitna, Aainay K Samny..

Friday 3 January 2014

Tere hijraan se

Tere hijraan se taluq ko nibhaney ke
liye,
Mene iss saal bhi jeeney ki kasam
khayi hai..

Thursday 2 January 2014

Ragon mein

Mujhe khamosh rehne do,
Suna hai ishq sacha ho,
To khamoshi
lahu ban kar,
Ragon mein
naach uthti hai,
Abhi kuch din mujhe
meri mohabbat azmaney do,
Usey mein kyun bataon,
Usey mene kitna chaha hai,
Bataya to jhoot jata hai,
Ke
Sachi baat ki khushbuu,
To khud mehsoos hoti hai,
Meri baatein,
Meri sochein,
Usey khud jaan lene do,
Abhi kuch din mujhe
meri mohabbat azmaney do..

Saturday 28 December 2013

Shab

Hawae shab tujhe aingan se milna hai, So tere pass imanat hai guftago meri.

Sunday 1 December 2013

Samajh Main Nahi Aata

Tery Khuwaabon Ka Bi Hai Shoq Teri Yaadon Main
Bi Hai Maza,

Samajh Main Nahi Aata So Jaon K Tujhy Yaad
Karn

Saturday 30 November 2013

Mere Aage Koi Saya

Main Hoon Ya Tu Hai ,Khud Se Gureza Jaise,
Mere Aage Koi Saya Hai,Kharaman Jaise..


Tujhse Pehle Toh Baharon Ka ,Yeh Andaaz Na Tha,
Phool Yun Khilte Hai,Jalta Ho Gulistaan Jaise…

Yun Teri Yaad Se Hota Hai ,Ujala Dil Mein,
Chandni Mein Chamak Uthta Hai,Bayaabaan Jaise..

Dil Mein Roshan Hai,Abhi Tak Tere Wadon Ke Chiraag,
Toot-Ti Raat Ke Taare Ho, Farozan Jaise..


Waqt Badla Per,Na Badla Mere Mayar-E-Wafa,
Aandhiyon Mein ,Sar-E-Kohsaar Charagan Jaise..

Zakhm Badhta Hai Zamana,Magar Is Tarah,
Si Raha Ho Koi ,Phoolon Ke Girebaan Jaise…….

gham-e-aashqi say pehlay,

Hamay koi gham nahin tha, gham-e-aashqi say pehlay,
Na thi dushmani kisi say, teri dosti say pehlay !

Hai yeh meri badnaseebi tera kya kasoor ismay,
Teray gham nay maar daala mujhay zindagi say pehlay !

Mera pyaar jal raha hai aray chaand aaj chup jaa,
Kabhi pyaar tha hamay bhi teri chaandni say pehlay !

Main kabhi na muskarata jo mujhay yeh ilm hota,
Ki hazaron gham milengay mujhay ik khushi say pehlay !

Yeh ajeeb imtehaan hai ki tumhi ko boolna hai,
Milay kab they is tarah hum tumhay bedilli say pehlay !

Hamay koi gham nahin tha, gham-e-aashqi say pehlay,
Na thi dushmani kisi say, teri dosti say pehlay !

Mairey Pass Aaye To Kya Karoon

Main Bhula Chuka Sabhi Waastey Jo Thay Manzilon Ke Hasool Mein
Mairi Manzilon Ke Hasool Mein Teri Raah Aaye To Kya Karoon

Jo Pukaarta Tha Her Aik Gharri Jo Jurra Tha Dil Say Larri Larri
Koi Shaks Aisa Ager Kabhi Mujhey Bhool Jaye To Kya Karoon

Kabhi Saath Tha Jo Ke Doo-ba-Doo Tha Humesha Mairey Hi Ru-ba-Ru
Jo Barrha Raha Tha Qadem Mairey Woh Hi Dagmaga jaye To Kya Karoon

Woh Charaagh-e-Dar Jo Jala Kabhi Main Bujha Chuka Hoon Magar Kabhi
Ke Bujha Huwa Bhi Diya Ager Maira Ghar Jalaye To Kya Karoon

Mainey Aks Tak To Mitta Diye Sabhi Aainey Bhi Chupa Diye
Tujhey Daikhta Koi Door Say Mairey Pass Aaye To Kya Karoon

ankhoon mein

dil mein ik tasveer chupi thee, aan basi hai ankhoon mein
shaid hum nay aaj ghazal see baat likhi hai ankhoon mein

jaisay aik asaami larki mandar kay darvaazay par
shaam diyoon ke thaal sajaye jhaank rahi hai ankhoon mein

iss romaal ko kam mein laoon apni palkain saaf karoo
mayla mayla chand nahi hai dhool jami hai ankhoon mein

parhta ja yeh manzar nama zard azeem paharoon kaa
dhoop khili palkoon kay opar, baraf jami hai ankhon mein

mein nay aik novell likha hai anay wali subah kay naam
kitni ratoon jaga hono, neend bhari hai ankhoon mein

Parveen Shakir

paani per bhi zaad-e safar main piyaas tu letey hain
chahney waley aik dafa bin baas tu letey hain

aik hi sheher main reh kar jin ko izn-e deed na ho
yehi bohat hai, aik hawa main saans tu letey hain

rasta kitna dekha howa ho, phir bhi shah-sawaar
aerh laga kar apney haath main raas tu letey hain

phir aangan dewaroo.n ki onchaai main gum hoon gai
pehley pehel ghar apnoo.n k paas tu letey hain

yehi bohat hai k bachey khaali haath nahi hain
apney purkhoo.n ki meraas tu letey hain




Parveen Shakir

Meray sabr ko aazma raha tha

Meray sabr ko aazma raha tha
Wo meray qareeb aa raha tha!

Usay dar tha ke mein bichadh na ja’on
Mujhay apna yaqi’n dila raha tha

Kisi aur ki mein samajh na pa’oon
Mujhay aisi zaba’n sikha raha tha!

Ye jaha’n gul aur qamr-o-saba
Mujhay sub se hasi’n batla raha tha

Ik din mujh se milnay youn aaya
Ke sara badan uska sharma raha tha!

Ye aadat bhi uski badi dilruba thi
Nigahain jhuka ker wo muska raha tha!

Kabhi youn na usko haseeno’n mein deikha
Jo deikha mera dil bhi ghabra raha tha

Juda hoke mujh se wo ik roz baad
Mila youn ke pal pal ginwa raha tha


Friday 29 November 2013

Haath Thaam Ker Bhi Tera

Haath Thaam Ker Bhi Tera
Sahara Na Mila...
Main Wo Leher Hun Jise Kinara
Na Mila..
Mil Gya Mujhe Jo Kuch Bhi
Chaha Main Ne.. Mila Nahi To Sirf Sath Tumhara
Na Mila..
Wese To Sitaron Se Bhara Hua
Hai Aasman..
Jo Hum Dhoondh Rahe The Wo
Sitara Na Mila.. Kuch Is Tarha Se Badli Phir
Zindagi Hamari..
Phir Jise Bhi Pukara Wo Dobara
Na Mila...
Ehsas To Hua Use Magar Der Ho
gai... 

Us Ne Dhoondha Magar Nishan
Humara Na Milaa...

Mohabbat Cheez aisi hai,

Mohabbat Cheez aisi hai,
Kabhi hoti hai apnon se,
Kabi hoti hai sapnon se,
Kabhi anjaan raahon se,
Kabhi gumnaam naamon se...!!!
Mohabbat cheez aisi hai,
Kabhi hoti hai phoolon se,
Kabhi bachhpan ke jhoolon se,
Kabi be ikhtiari mein,
Kabi pakke usoolon se...!!!
Muhabbat tu muhabbat hai,
Mohabbat ek sadaqat hai,
Mohabbat ek ibadat hai,
Mohabbat cheez aisi hai,
Dukhon mein rol deti hai...!!!

Kisi K Milne Se

Kisi K Milne Se Qismat Nhi Badalti,
Hota Wohi Hy Jo br'haq Hy.

Agr Tum Kisi Ko Chaho Or Usy Paa Na Sako.,
To Qismat Ko Bura Mat Kaho.,
Q K Hoga Wohi Jo br'haq Hy.

Agr Kuch Paa K Tum Kho Do.,
To Heran Mat Ho.,
Jab Paa Liya To Khona b To br'haq Hy.

Hr Pal Hansna To Sub Chahty Hen.,
Ary Jab Hans Liya To Rona To br'haq Hy.

Sub Ko ApNi Zindagi ApNi Marzi Se Jeene Ka Pora Haq Hy.,
Jb Marzi Se Jee Liya To Mere Dost Marna b To br'haq Hy.

Teri Yaad Jo Aa Jaye!

Ik Hijr-e-Musalsal Hay,
Ansu Hain Mere Sathi...

Kuch Khuwab Puraney Hain...
Kuch Paas Nahi Baaqi...

Tere Paas Chala Aaon!
Teri Neend Chura Laon!

Merey Dil Se NaJane Q
Ye Khuwaish Nahi Jaati...

Din Raat Tumhain Dekhon!
Aur
Pyaar Kiye Jaon!

Meri Aankhon Se...
Mere Dil Se...
Teri Pyaas Nahi Jaati...

Ik Dujey Se Dono Ko
Ye Kesi Adawat Hay...

Teri Yaad Jo Aa Jaye!
Phir!!
Neend Nahi Aati..

Chalo ek Nazam kehte hain.....

Chalo ek Nazam kehte hain.....
Kisi k naam likhte hain......
Magar ye sochna hai ab.....
K isme ziqr kiska ho.....?
Aur ye bhi farz krte hain.....
K jis pe Nazam likhte hain.....
Hume Usse Muhobbat hai......
Hamare saare jazbon ko .....
Bas Uski hi zarurat hai.....
Chalo ek kaam krte hain....
K Hum jo Nazam likhte hain......
Tumhare naam krte hain......
Tum hi Unwaan ho iska....
Tumhara ziqr hai isme....
Tumhari baat hai isme.....
Tumhari Zaat hai isme.....
Chalo ek Nazam likhte hain.....

paasbaani pe andhere ko tou ghar par rakha

paasbaani pe andhere ko tou ghar par rakha
aur chiraagho ko teri raah guzar par rakha

reh gaya haath sada taigh o sapar par rakha
hum ne har raat ka anjaam sahar par rakha

haath uthaay rahe har lamha dua ki khaatir
aur alfaaz ko tanseekh e asar par rakha

be wafaai meri fitrat ke anaasir mai hui
teri be mehri ko asbaab e dagar par rakha

itna aasaan na thha warna akele chalna
tujh se milte rahe aur dhiyaan safar par rakha

uski khushboo ka he faizaan hain ashaar apne
naam jiska hum ne gul e tar par rakha

paani dekha na zamee dekhi na mausam dekha
be samar hone ka ilzaam shajar par rakha

Thursday 28 November 2013

He Abar kitni Door Hawa kitni Door He

He Abar kitni Door Hawa kitni Door He
Ab Is Nagar Se Rakhash-e-Sada Kitni Door He

Ab Raod-e-Neel Main Kaf-e-namrood K Liye
MUSA Kahan He Us Ka Asa Kitni Door He

Ab Shehar-e-Yar Kitne Hisaron Main Band He
Ab Wo Talism-e-Hoshruba Kitni Door He

Ab Kis Jagah Se Takhat-e-Suleman Ka He Guzar
Ab Is Jagah Se Shehar-e-Saba Kitni Door He

Ab Rah Kho Chuki He Musafat Ki Dhund Main
A Dashat Tera Abla Pa Kitni Door He

Shahrag Se B Qareeb Hoon Us Ne Kahbar Ye Di
Main Sochta Raha K Khuda Kitni door He

pni rusavaaee,

apni rusavaaee, tere naam ka charchaa dekhun
ek zara shaer kahun aur main kyaa kyaa dekhun

neend aa jaaye to kya mehfilein barpaa dekhun
aankh khul jaaye to tanhaaee ka sehraa dekhun

shaam bhi ho gaee dhundhalaa gaee aankhein bhi meri
bhoolney waley main kab tak tera rastaa dekhun

sab zidden us ki main poori karun, har baat sunoon
aik bachey ki tarah se ussey hanstaa dekhun

mujh pe chhaa jaaye wo barsaat ki khushbu ki tarah
ang ang apna ussi rutt mein mehaktaa dekhun

tu meri tarah se yaktaa hai magar mere habib!
jee mein aata hai koi aur bhi tujh saa dekhun

main ne jis lamhey ko pooja hai ussey bas ek baar
Khwaab ban kar teri aankhon mein utartaa dekhun

tu mera kuchh nahin lagta hai magar jaan-e-hayaat
jaaney kyon terey liye dil ko dharaktaa dekhun!!

Kuch safr-e-zeest bhi lamba tha,

Kuch safr-e-zeest bhi lamba tha,

Kuch ham bhi thora sust chaly,


Kuch ham hi apny dushman thy,

Kuch dushman ham ko boht mily,

Kuch ham manzil ko bhool gay,

Kuch rasty ham ko sakht mily,

Aur aaj ye apni halat hai,

Har simt andhera chaya hai,

Har simt hai chaayi veerani,

Har simat isi ka saya hai,

Is dasht main ham ny kya khoya,

Is raah main ham ny kia paya,

Jab main ny is par ghor kia,

To man main soch ka dip jala,

Ik aag si dil main bharrak uthi,

Aur aankh main pani bharr aaya..

Wednesday 27 November 2013

Wo Mujhse Door Reh Kar Bhi,

Wo Mujhse Door Reh Kar Bhi,

Wo Mere Pass Hai Itna

Kay Jaisay Saans Mein

Har Waqt Khuda Mojood Rehta Hai

Zakhmo Se Choor Ho Kar Bhi

Main tumse Door Ho Kar Bhi, 

Zakhmo Se Choor Ho Kar Bhi...!!! 


Bahut Majboor Ho Kar Bhi, 

tumhi ko Yaad Karta Houn...!!!

Wo jin k milnay

Wo jin k milnay ki B hoti nahien Umeed Koi

 un K Bicharnay Ka Aandesh B bhot Hota hai

Saturday 23 November 2013

Hum pyaar ke bhookhe hain humey pyaar kijiye

Bas itni si inaayat mujh pe aik baar kijiye

Kabhi aa ke mere zakhmon ka dedaar kijiye

Ho jaaye begaane aap shauq se sanam

Aapkee hain aapkee rahegey aitbaar kijiye

Parhne waale hi darr jaayen dekh kar ise

Kitaab-e-dil ko itnaa na daagdaar kijiye

Na majboor kijiye, ke main unko bhool jaaun

Mujhe meri wafaaon ka na gunehgaar kijiye

In jalte diyon ko dekh kar na muskuraaiye

Zara hawaaon ke chalne ka intezaar kijiye

Karna hai ishq aapse karte rahenge hum

Jo bhi karna hai aapko mere sarkaar, kijiye

Phir sapno ka ashiyaan bana liya hai maine

Phir aandhiyon ko aap khabardaar kijiye

Hame na dikhaiye ye daulaate ye shohrat

Hum pyaar ke bhookhe hain humey pyaar kijiye

zakham

Tumhaari yaad kay jab zakham bharney lagtey hain

Kisi bahaaney tumko yaad karney lagtey hain

Hadees-e-yaar kay unwaan nikharney lagtey hain

Toh hareem mai gaisoo sanwarney lagtey hain

Her ajnabi humein mehram dikhaai daita hai

Jo ab bhi teri galli say guzarney lagtey hain

Saba say kartey hain ghurbat naseeb zikr-e-watan

Toh chashm-e-subah mai ansoo ubharrney lagtey hain

Wo jab bhi kartey hain us nuqta lab ki bukhiya giri

Fiza mai aur bhi naghmey bikharney lagtey hain

Dar-e-qafas pay andheray ki mohor lagti hai

Toh dil mai sitaarey utarney lagtey hain

Wo b hum ko toot k chahey!

ankhon me jo tehreerain theen!

honto pay vo bol na thay...

Hum thay us k pyar k aashiq!

Bas hathon mein kashkol na thay...

Hum ne us ko toot k chaha!


ye us ka haq tha lakin...

Wo b hum ko toot k chahey!

Hum itnay "ANMOL'' na thay....

Dard Seene Main Chupa Lete Hain

Dil Ki Mehfil Main Ujaalon K Liye

Yaad Ki Shama Jala Lete Hain

Jalte Mausum Main Bhe Ye Deewane

Kuch Haseen Phool Khila Lete Hain

Apni Aankhon Ko Bana Ker Ye Zubaan

Kitne Afsane Suna Lete Hain

Jin Ko Jeena Hai Mohabbat K Liye

Apni Hasti Ko Mita Lete Hain

AHL-E-Dil Youn Bhe Nibah Lete Hain

Dard Seene Main Chupa Lete Hain

Wednesday 20 November 2013

Aa ke ab tasleem

Aa ke ab tasleem karlen tu nahin to main sahi,
Kon maaney ga ke hum mein se bewafa koi nahi..

Tuesday 19 November 2013

Deakhi Hoi Rahoon se Nikal kr Usay Dakhein

Deakhi Hoi Rahoon se Nikal kr Usay Dakhein
Es Bar Chalo Shehar Badul kr Usay Dakhein

Pani ki Tarha Dhoop...main Urr kr Usay Dhondhein
Jungle ki Tarha Aag main Jal kr Usay Dakhein

Ye Sabza Bekhwab Ye Jaaga Hoa Mahtaab
Aisa Hai k Aub Neand main Chal kr Usay Dakhein

Kab Tak Younhi Khamosh Tamashai Rahain Hum
Kab Tak Younhi Aayeine main Dhal kr Usay Dakhein

Wo Bhi Kai Roop main Ata Hai Moqabil
Hum Bhi Koi Rung Badul kr Usay Dakhein

Dil Hijar k Dard se

Dil Hijar k Dard se Bojhal hai Aub Aan Milo Tu Behtar HO
Es se Bat se Hum ko kia Matalb Ye kaise ho Ye kyoun kr HO

Ek Bheak k dono kasay hain Aik Payas k dono Pyasay Hain
Hum Kheaiti hain Tum Badal ho Hum Darya hain Tum Sagar HO

Hum Sanjh Samay ki Chhaya hain Tum Charti Rat k Chandar Maa
Hum Jate hain Tum Atay ho Phir Maile ki Sorat kyoun kr HO

Aub Husan ka Rutba Aalie hai Aub Husan se Sehra Khali HO
Chal Basti main Banjara ban Chal Nagari main Sodagar HO

Jis Cheaze se Tujh ko Nisbat hai Jis Cheaze ki Tujh ko Chahat Hai
Wo Sona hai Wo Hera hai Wo Maati ho Ya Kankar HO

Aub INSHA GI ko Bolana kia Aub Payar k Deap Jalana Kia
Jb Dhoop or Chaya Aik se hon Jb Din or Rat Barabar HO

Wo Ratain Chand k Sath Gaein Wo Batain Chand k Sath Gaein
Es Sukh k Sapane kia Dakhein Jub Dukh ka Soraj Sar Par HO

Yahan Paeree hain,Behta Pani hai Yahan Rukna Hai

Yahan Paeree hain,Behta Pani hai Yahan Rukna Hai

Agay Phir aur Kahani hai Yahan Rukna Hai

Yahan Ghum k Badal Gehere,Kheait Sonahri Hain

Yahan Dard ki Rungat Dhani hai Yahan Rukna Hai

Ye omer Kahein Rukne nahi dati Ek Pal bhi

Lakin Es Ghatt jawani hai Yahan Rukna Hai

Yahan Chashma hai Yahein Beath k us din roye thay

Mujhe Yaad Ab tak Ye Nashani hai Yahan Rukna Hai

Yahan Rukne Wale Pather k ho Jate Hain

Lakin Ye Bat Porani hai Yahan Rukna Hai

Aankhain khuli rahain gi

Aankhain khuli rahain gi toh manzar bhi ayen gay

Zinda hai dil toh aur sitamgar bhi ayen gay



Pehchaan lo tamaam faqeeron kay khadd-o-khaal

Kuch log shab ko bhais badal kar bhi ayen gay



Gehri khamosh jheel kay paani ko yun na chaidh

Cheenthay uday toh teri qaba par bhi ayen gay



Khud ko chhupa na sheesha garon ki dukaan main

Sheeshay chamak rahey hain toh pathar bhi ayen gay

kahan tak sochon

Aik bay rang sa manzar hai kahan tak sochon

zindagi main terey baray main kahan tak sochon

Phenknay walay nay tu door say pathar phenkay

aur main sirf paroosi k makaan tak sochon

Tera chehra bhi na yaad aye k tu kaisa hai

main tujhay sooch k reh jaaon yahan tak sochon

Loog jis mor per ghabra k bechar jaatay hain

tujh say milnay ka yaqeen ho tu wahan tak sochon

Bhool jana

Yaad rakhna hi mohabbat mein nahi hai sab kuch

Bhool jana bhi bari baat hua karti hai..

kitaab

Youn na parhriye kahein kahein se humein,

Hum bhi insaan hain koi kitaab nahin.

Na jane kis gam

Na jane kis gam ko chupane ki tamanna thi usko......
aaj har ek baat per haste hue dekha usko......

Umar beet jati hai

Umar beet jati hai ik ghar bananey mein,

Log aah nahin kartey bastiyan jalaney mein..

Monday 18 November 2013

Nazar zammane ki.

Bahoot tamanna thi, pyar mein aashiyan banane ki,

Bana chuke to lag gayi Nazar zammane ki.


Usi ka karz hai jo aaj hain aankhon mein aansoo,


Saza mili hai hume muskurane ki !


Kabhi jo tumarey haath se Kitaab girey..

Kabhi jo tumarey haath se Kitaab girey..

To samjh lena keh kisi ne tume Yaad kia thi..


Kabhi jo tum oss me rakhey phool ko dekho..
To samjh lena koi Dastaa'n likh raha hi...


.......... Unn guzrey hoye hasee'n Lamho'n ki..


Kabhi jo tum darkhto'n per Nam likha dekho..


To samjh lena koi ab tak chahta hi tume..


Kabhi jo tum unn dekhy-bhaley rasto'n per safr kro..


To samjh lena kisi ne Enn per sath chalney ki Qasm khai hi..
Aur...


Kabhi jo tum Lotney ka irrada kro...


Aur safr kro ossi Rah-guzr per...


To samjh lena koi tumara intazar ker raha hi.....!!!


Sard mosmo'n

Terey baghair Sard mosmo'n ke khusgawar Din Udaas hen...

Fiza me Dukh Racha hoa hi..


Hawa koi udaas geet gungana rahi hi...


Phool ke Labo'n pe Peyas hi..


Aisa Lagta hi..


Hawa ki Aankhen Rotey Rotey khushk ho gai hon..


Saba ke dono hath khali hon..


keh... 


shehr mein Tera koi pata nahen...

saans lena kitna mahaal hi..


udassian udassian Ajab haal hi..


Tamam sabz sayya-dar pero'n ney...


Tery baghair wehshato'n me apney perahan ko tar tar kr dia...


Ab kisi shajr key Jism per Qubba nahen....


Sookey Zard pattey...


Koo ba Koo teri tilaash me Bhatak rahey hen...


Meray Daricho'n me Gulabi dhoop roz jhaankti hi...


Mgr uss ki Aankho'n me..


Wo Jag-mgahetie'n nahen...


Jo teray Waqt me Zameen key sabeeeh maathey per... 


Soorajo'n ki kehkashan'n sajaaney aatie'n thien..


Zamee'n bhe meri Trah hi..


Teray baghair es ki Kohk se bhe ab..


Koi Gulaab uug na paye ga..


Zamee'n Banjer ho gai hi...


Aur...


Meri Rooh ki Bahaar Aafree'n kohk be... 


Meri soch key sadaf mein...

Fun key suchey moti kis trah Janam lia kren...


keh main sarapa-e-tashnagi hon...


Aur door door tak, Visaal-e-abr ki khabr nahen...


Meray aur Teray darmian...


Paanch Paanio'n key Des mein...


Kachey gharrey bhe to meri dastars se door hen...


Mian kis trah SHER kahoo'n...


Meri Soch key Badn ko, tooo Namoo to dey...


keh...
Main Teray baghair Ek Sehra hon..........!! 


              (Lonely Shani)

Waa'az sa bazm mai charcha kabhi hone na diya

Waa'az sa bazm mai charcha kabhi hone na diya
ham ne apne ko tamasha kabhi hone na diya

ham ko iss gardish e daura'n ne kahee'n ka na rakha
phir bhi apne ko shikasta kabhi hone na diya

mai-kaday mai barhe kam zarf thai peenay walay
aankh ko saagar o meena kabhi hone na diya

kitna aasan tha apnay se juda ho jana
ishq mai zehen ka sauda kabhi hone na diya

roz jalna hai isay roz jalana hai isay
aatish e shauq ko thhanda kabhi hone na diya

umr rishto'n k taqazon ko nibha bhi na saki
zindagi ne mujhay apna kabhi hone na diya

sab se mehfooz maqaam, gham e tanhai hai
fikr e dunya ne akaila kabhi hone na diya

                  (Lonely Shani)

Sunday 17 November 2013

Adawat se bhari rahguzar hi maskeen ho jaye



Adawat se bhari rahguzar hi maskeen ho jaye
ahl-e-karam shahar ka aur yun haseen ho jaye


katl kar kar ke zamana haara to kah pada
saleem kyun na zakham tere mutallikeen ho jaye


shamma-e-bazm apni lau se bhi nikharti hai
harf jo bhi lafzon me dhale taskeen ho jaye


gaur karne ko na kah kisi ko tere rukh pe
itne pashema hain ki mutakhisimeen ho jaye


zaroori nahi har kaam me matlab chhupa ho
rafaqat ko mumkin kahan vo pardanasheen ho jaye


utha sakte ho to uthao kabhi Khudaayi ka taraazu
kahna jo nahi insniyat hi shaheen ho jaye


ye bhi hai ki hashr me sab be-naqaab honge
phir na kahna E Khuda dil nazuki ka shaukeen ho jaye


nukhtacheeni se parhez yun rang laya hai 'kaash'
mojeza nahi jo tu mutghazzleen ho jaye

Zindagi muhabbat ke lie kum hai log nafrat me bita dete hain

Zindagi muhabbat ke lie kum hai log nafrat me bita dete hain
shay-e-dosti ko aakhir kaise yun aasaani se bhula dete hain


bahut mushkil se banti hai rishton me bebaakiyaan yaaron
dosti ko bhi aajkal kitni bebaaki se saza dete hain


mat samjho toot kar katra wo aakhon se kahin kho gaya
hawaon ke aanchal me uska shor thama dete hain


aandhiyaan na taklif do khud ko tufaano ko bulakar
hum to khud bhi charaagon ko jalakar bujha dete hain


aasmaan tere daaman me ye sitaare jo chamakte rahte
subah hote hi paigaaam apna oas ko bana dete hain
Jisay Paya Usay Khoya Tha Ik Din
Mai Apne Hal Pe Roya Tha Ik Din
Mai Us K Bad Sadyon Tak No Soya
Wo Meri Neend Mai Soya Tha Ik Din
Mai Kese Bhol Jayon Us Ko Yaro
Mere Pehlo Mai Jo Roya Tha Ik Din
Kun Zaid Usay Main Din Mai Dhondo
Wo Muj Se Raat Mai Khoya Tha Ik Din - See more at: http://www.sadpoetry.org/category/ghazal-shayari/#sthash.jIRrCSN2.dpuf
Be Faiz Rfaqat Mai Smar Kis Ke Liye Tha
Jab Dhob Thi Qismat Tu Shjar Kis Ke Liye Tha
Pardes Mai Sona Tha Tu Chat Kis Liye Dali
Bahar Hi Niklna Tha Tu Ghar Kis Ke Liye Tha
Jis Khak Se Phota Hai Use Khak Ki Khushbu
Pehchan Na Pya Tu Hunr Kis Ke Liye Tha
Ae Madr-e Geti Teri Hairat Bi Bja Hai
Teri Hi Kam Na Aya Tu Sir, Kis Ke Liye Tha
Yun Sham Ki Dehshat Mai Sar-e Dasht Iradah
Rukna Tha Tu Phir Sara Safar Kis Ke Liye Tha - See more at: http://www.sadpoetry.org/category/ghazal-shayari/#sthash.jIRrCSN2.dpuf
Be Faiz Rfaqat Mai Smar Kis Ke Liye Tha
Jab Dhob Thi Qismat Tu Shjar Kis Ke Liye Tha
Pardes Mai Sona Tha Tu Chat Kis Liye Dali
Bahar Hi Niklna Tha Tu Ghar Kis Ke Liye Tha
Jis Khak Se Phota Hai Use Khak Ki Khushbu
Pehchan Na Pya Tu Hunr Kis Ke Liye Tha
Ae Madr-e Geti Teri Hairat Bi Bja Hai
Teri Hi Kam Na Aya Tu Sir, Kis Ke Liye Tha
Yun Sham Ki Dehshat Mai Sar-e Dasht Iradah
Rukna Tha Tu Phir Sara Safar Kis Ke Liye Tha - See more at: http://www.sadpoetry.org/category/ghazal-shayari/#sthash.jIRrCSN2.dpuf

aahista aahista

Khulegi is nazar pe
chashm-e-tar aahista
aahista
kiya jata hai pani mein
safar aahista aahista
koi zanjir phir vapas
waheen par le ke aati hai
kathin ho reh to chutata
hai ghar aahista aahista
badal dena hai rasta ya
kaheen par baith jana hai
ki thakata ja raha hai
hamsafar aahista aahista
khalish ke sath is dil se na
meri jan nikal jaye
khinche tir-e-shanasai
magar aahista aahista
hua hai sarkashi mein phul
ka apna ziyan, dekha
so jhukata ja raha hai ab
ye sar aahista aahista
meri sholamizaji ko wo
jangal kaise ras aaye
hawa bhi sans leti ho
jidhar aahista aahista

Poet: Parveen Shakir