Thursday 25 December 2014

Zindagi

Ay zindagi ja dhoond koi bichar gia mujh sy....
........Or Sun......
,,,Wo na mily tou tum bhi lot k mat aana...........

Wednesday 24 December 2014

Mout

Kaise bhula doon usko main,

Maut insaano koh aati hain, yaadon koh nahin...!!!

Thursday 11 December 2014

Mera noha inhi galiyon ki hawa likhe gi...

Main k is shehr ka seemaab-sifat shaayar hoon
Meri takhleeq mere fikr ki pehchaan bhi hai
Mere harfoN, mere lafzoN mein hai chehra mera
Mera fan ab mera mazhab, mera eemaan bhi hai
Meer o Ghalib na sahi phir bhi ghaneemat jaano
Mere yaaroN k sarhaane mera deewaan bhi hai
Mujhse poocho k shikast-e-dil o jaan se pehle
Mere ehsaas pe guzri hai qayaamat kya kya
Saaya-e-daar o shab-e-gham ki sakhaawat se alag
Main ne sochi qad o geisu ki alaamat kya kya
Mere toote huey khwabon k kharaabon se pare
Mere bikhre huey jazbe they salaamat kya kya
Tanz-e-aghyaar se ehbaab k ikhlaas talak
Main ne har ne'mat-e-uzma ka libaada pehna
Dast-e-qaatil ki kashish aap gawaahi de gi
Main ne har zakhm qaba se bhi zyaada pehna
Meri aankhoN mein kharaashein theeN dhanak ki lekin
Meri tasveer ne malboos to saada pehna
Zarbat-e-sang-e-malaamat mere seene pe saji
Tamgha-e-jurrat o ezaaz-e-hukoomat ki tarha
Khul k barsi meri sochon pe adaawat ki ghata
Aasmaanon se utarti hui daulat ki tarha
Qarya qarya hui ruswa mere fan ki chaahat
Kone kone mein bikharti hui shohrat ki tarha
Mujh pe karrki hain kamaanein mere gham-khwaroN ki
Mere ashkon ka tamaasha sar-e-baazaar hua
Mere aangan mein hawaadis ki sawaari utri
Mera dil wajh-e-azaab-e-dar o deewaar hua
Ishq mein izzat-e-saadaat bhula kar aksar
Meer saahab ki tarha main bhi gunahgaar hua
Apni ujrri hui aankhon se shuaayen le kar
Main ne bujhti hui sochon ko jawaani di hai
Apni ghazlon k sukhan-taab sitaare chun kar
Sangreizon ko bhi aashufta-bayaani di hai
Husn-e-khaak-e-rah-e-yaaraan se mohabbat kar k
Main ne har morr ko ik taaza kahaani di hai
Mujhse roothe hain mere apne qabeele waale
Mere seene mein har ik teer-e-sitam toota hai
Lafz o ma'ni k taqaazoN se ulajh kar aksar
Mere haathon mera majrooh qalam toota hai
Karb-e-na-qadri-e-yaaraaN k bhanvar mein ghir kar
Baar-ha dil ki tarha shauq ka dam toota hai
Main k is shehr ka seemaab-sifat shaayar hoon
Main ne is shehr ki chaahat se sharf paaya hai
Mere a'ada ka ghazab abr-e-karam hai mujh ko
Mere ehbaab ki nafrat mera sarmaaya hai
Meri bikhri hui ruswaai hai shohrat meri
Mere sehra ki tamaazat mera sarmaaya hai
Mutma'in hoon k mujhe yaad rakhe gi dunia
Jab bhi is shehr ki tareekh-e-wafa likhe gi
Mere ghar k dar o deewaar mujhe sochein ge
Wus'at-e-dasht mujhe aabla-pa likhe gi
Mera maatam isi chup chaap fiza mein hoga
Mera noha inhi galiyon ki hawa likhe gi...

Saturday 6 December 2014

Jb tere shahr se guzarta hun

Jb tere shahr se guzarta hun

Dil bhi karta hain yaad chupke tujhe
Naam leti hain zuban tera

ye bhi nahin mallum mujhe
Kis mohalley mein hein makan tera
Kaun si shakh-e-gul pe raqsan hai
Rashk-e-firdaus aashiana tere
Jane kin vadiyon mein thehra hein
Girat-e-husn karvaan tera
Kis se puchunga main khabbar teri
Kaun batlaye ga nishaan tera

Teri rusvaiyon se darta hun
Jb tere shahr guzarta hun

Hall-e-dil bhi na keh saki garche
Tuu rahi muddaton kareeb mere
Kuch teri azmaton ka daar bhi tha
Kuch khayallat the ajeeb mere
Bar-e-dar ho gaye raqiib mere
Tu mujhe choor ke chale bhi gayi
Khair kismat meri naseeb mere

Ab mein kyu tujse pyar karta hun
Jb tere shahr se guzarta hun

Vo zamane teri mohhabat ke
Ek bhuli hui kahani hain
Tere kuuche mein umr bhar na gaya
Saari duniya ki khaq chahni hain
Laazat-e-qarb ho ke zakhm-e-firaq
Jo bhi hain teri meharbani hain
Kis tammana se tujko chaha tha
Kis mohabbat se har mani hai

Apni qismat pe naz karta hun
Jb tere shahr se guzarta hu

Friday 5 December 2014

Us ko chaha to boht magar wo mila hi nahin

Us ko chaha to boht magar wo mila hi nahin
lakh koshish ki magar wo dil se mita hi nahin

us ko zamane ne majboor is qadr kar diya
ki wo meri kisi sda par ruka hi nahin

khuda se johli pehla- pehla kar manga tha use
magar khuda ne meri kisi dua ko suna hi nahin

har ek se poocha sabab uske na milne ka
har ek ne bataya ki wo tere liye bna hi nahin

mein tmam umr ki koshishon ke bavjood bhi nakam ho gayi
aur wo mil gaya usko jise usne kabhi MANGA hi nahin

Thursday 4 December 2014

Terey baghair Sard mosmo'n ke khusgawar Din Udaas hen....

Terey baghair Sard mosmo'n ke khusgawar Din Udaas hen....

Fiza me Dukh Racha hoa hi..


Hawa koi udaas geet gungana rahi hi...


Phool ke Labo'n pe Peyas hi..


Aisa Lagta hi..

Hawa ki Aankhen Rotey Rotey khushk ho gai hon..


Saba ke dono hath khali hon..


keh...

shehr mein Tera koi pata nahen...

saans lena kitna mahaal hi..

udassian udassian Ajab haal hi..

Tamam sabz sayya-dar pero'n ney...

Tery baghair wehshato'n me apney perahan ko tar tar kr dia...

Ab kisi shajr key Jism per Qubba nahen....

Sookey Zard pattey...

Koo ba Koo teri tilaash me Bhatak rahey hen...

Meray Daricho'n me Gulabi dhoop roz jhaankti hi...

Mgr uss ki Aankho'n me..

Wo Jag-mgahetie'n nahen...

Jo teray Waqt me Zameen key sabeeeh maathey per...

Soorajo'n ki kehkashan'n sajaaney aatie'n thien..

Zamee'n bhe meri Trah hi..

Teray baghair es ki Kohk se bhe ab..

Koi Gulaab uug na paye ga..

Zamee'n Banjer ho gai hi...

Aur...
Meri Rooh ki Bahaar Aafree'n kohk be...

Meri soch key sadaf mein...

Fun key suchey moti kis trah Janam lia kren...

keh main sarapa-e-tashnagi hon...

Aur door door tak, Visaal-e-abr ki khabr nahen...

Meray aur Teray darmian...

Paanch Paanio'n key Des mein...

Kachey gharrey bhe to meri dastars se door hen...

Mian kis trah SHER kahoo'n...

Meri Soch key Badn ko, tooo Namoo to dey...

keh...
Main Teray baghair Ek Sehra hon..........!!

Tum inka

Tum inka intizaar karo....shouq se karo~

Aata magar palat ke dobarah koi nahi

Wednesday 3 December 2014

Dekhna chahaty ho

Dekhna chahaty ho tum bin mere halat kaisy hain..

To dekh lena kabhi pani se machli nikal kar..

Thursday 27 November 2014

Akele rehte rehte

Akele rehte rehte _______yun aadat si ho gayi,

Kay phir apnay he saaye say dum ghutnay laga.

Jb Gharz Howi Tb Puch liya,

Jb Gharz Howi Tb Puch liya, Jb Waqt Mila Tb Yaad Kiya.........!!
Ab Or Haqiqat Kya Likhon Is Doar K Mukhlis logon Ki.

Rehjan Ke Sang Jaaon To Rehbar Kare Gila

Zara Thehra Jo Safar Mai To Patthar Kare Gila
Jaldi Jo Paai Manzil To Muqaddar Kare Gila

Piyaasa tha To Do Boond Matke Se Pee Gaya
Matke Se Jo Peeya Paani To Samandar Kare Gila

Main Shok Shok Mai Kha Gaya Zahar Bhi Janaab Se
Ab Unke Haath Mai Rakha Khanjar Kare Gila

Ghar Baar Chodd Chaad Ke Futhpaath Pe Li Neend
Soya Tha Jiske Niche Wo Ambar Kare Gila

Mehfil Mai They Haseen Bohat Hum Sabse Mil Liye
Tha Apna Jo Kareeb Wo Dilbar Kare Gila

Tayyar kiya Foj Ko Jang-e-Medaan Ke Liye
Ho Gayi ittefaaq sulha Lashkar Kare Gila

Soya Tha Unke Khaab Sajakar Nighah Mai
Phele Jo Thode Paon To Chadar Kare Gila

Mushkil Ye Aa Padi Hai "ShamS" Thamon Main Kiska Haath
Rehjan Ke Sang Jaaon To Rehbar Kare Gila

Sochta Hun Nikal Phenko

Sochta Hun Nikal Phenko Uski Yaad Ko Is Dil Se Talib

Najane Kiyo Ye Dil Ko Manzur Nahi

Wednesday 26 November 2014

mar he dalo gay

Itne Zaalim Na Bano,Kuch To Marwat Sikho

Tum Pe Marta Hun To Kya Mar Hi Dalo Gay

Mera Wajood Sirf Meri Muhabbat Sy Hai

Mera Wajood Sirf Meri Muhabbat Sy Hai
Mujhy Gharoor Bohat Apni Muhabbat Py Hai,

Ki Hai Usny Mujh Sy Muhabbat Be-Panah
Or Meri Zindagi Ka Sakoon Sirf Meri Muhabbat Sy Hai,

Mujhy Chahty Hun Gy Or Bhi Log Bohat
Magy Mujhy Muhabbat Sirf Meri Muhabbat Sy Ha

Friday 10 October 2014

Kya Kren Haal Hee Kuch Essa Thaa


Kya Kren Haal Hee Kuch Essa Thaa

Tum Py Mrte Nahi To Mrr Jatay

Pyar

Main Ne Parindo Se Pyaar Kya To,,
Woh Urh Gaya

Main Ne Sooraj Se Pyaar Kya To,,,
Woh Gharoob Ho Gaya

Main Ne Chand Se Pyaar Kya To,
Woh Badlon Main Chup Gaya

Main Ne Pani Se Pyaar Kya To,
Woh Beh Gaya

Main Ne Baraf Se Pyaar Kya To,
Woh Pighal Gaya

Main Ne Barish Se Pyaar Kya To,
Woh Baras K Thum Gaya

Main Ne Aag Se Pyaar Kya To,
Woh Bujh Gai

Main Ne Phoolon Se Pyaar Kya To,
Woh Murjha Gaya

Main Ne Kanto Se Pyaar Kya To,
Wo Toot Gaya

Main Ne Janwaron Se Pyaar Kya To,
Woh Meri Zaban Na Samjh Sakay

Or Jab..Main Ne Insaan'on Se Pyaar Kya To,
Woh Be-Wafa Niklay


Poetry lover join me 03149556411

jaun elia

wo sitam bhi to ab nahin kartay...
jaun shayed bohat bura na raha

jaun elia

Khuda karay k mohabbat

Nateeja tum se mohabbat ka ham ne dekha hai

Khuda karay k mohabbat na ho tumhy ham se..

Monday 6 October 2014

Saturday 20 September 2014


Lonely

Judai

Kabhi Es Dard Se Guzro
To Yeh Maloom Ho Tum
Ko...

Judai Wo Bimari Ha Jo
DiL Ka Khoon Peeti Ha...!

Lonely

Wednesday 17 September 2014

Hasti

Sheher a hasti ka ajnabi
hon mein

Kon akhir mera khayaal
rakhe!!

Khaloos Se

Urne Lage Wajood K Reze
Hawa K Sath

Me Is Qadar Khaloos Se
Bikhra Kabhi Na Tha...

Tumhari Dua Se

Pehla Sa Wo JunooN! Wo
Mohabbat Nahi Rahi!

Kuch Kuch Sambhal Gaye
Han Tumhari Duaa Se
Hum!

03149556411

Tuesday 16 September 2014

Gunah

Bare Parhez-Gaar Ho Gae
Ho

Yaad Karna Bhi Gunah
Samajty Ho......!

Monday 8 September 2014

Dushman

dUshmAn sy pAyar hO
jAye ga ,,, "+
.
.
s!rf aPnoN kO AazMa
ke tOh da!kh.....+

Meri Tarha

ajub junoon-e-musafat
main ghar se nikla tha.

khabar nahi ke sooruj
kidhar se nikla tha.

ye kon phir se mujhy
raston main chor gaya,

abhi abhi to azaab-e-
safar se nikla nikla tha.

ye teer dil main magar be
sabab nahi utra,

koi to hurf lub-e-
charagar se nikla tha.

men raat toot kar roya to
chain se soya,

ke dil ka zahar meri
chusm-e-tar se nikla tha.

wo qais ab jisay mujnoo
pokarty hen log,

meri terha koi deewana
ghar se nikla tha.....

So bar

SoO BaAr KahA Khud
SeY, ChaAl BhoOl Bhi
JAa UsS KoO...

Ha'aAr Ba'Ar Sa'AdA Aai'I
TuUm DilL SeY NahHi
KehHty'Y.....

Thursday 28 August 2014

us ke bina

Main q khud usay kahon k baat kar
lo mujh sey.

Kiya usay khaber nhi mera dil nahi
lagta us k bina..!!

Sunday 24 August 2014

Kisi Se Koi

Kisi se koi khafaa bhi nahin raha ab to,

Gilaa karo ke gilaa bhi nahin raha ab to,

Chunnay huye hain labon per tere hazar jawab,

Shikaayeton ka maza bhi nahin raha ab to,

Yakeen kar ke jo teri aarzu mein tha pehle,

Woh lutf tere siwaa bhi nahin raha ab to,

Woh sukh ke khuda ki hain bakhshishen kya kya,

Yahan yeh likh ke khudaa bhi nahin raha ab to,

Sunday 17 August 2014

apna nana ke

kitna acha lagta hi mohabat ki
ibtada krna
*
*
*
darad to tab hota hi jab koi apna
bna kr chor dy

Friday 15 August 2014

Maine Dekha tha


Meine dekha tha un dinon mein usey,

Jab woh khilte gulaab jesa tha,
Us ki palkon se neend chanti thi,

Us ka lehja sharaab jesa tha,
Us ki zulfon se bheegti thi ghataa,

Us ka rukh mahtaab jesa tha,
Log parhte they haal-o-khad us ke,

Woh adab ki kitaab jesa tha,
Bolta tha zubaan khushbuu ki,

Log sunte they dharkinon mein usey,

Mene dekha tha un dinon mein usey,

Sari aankhen thi ayiney us ke,
Sarey chehron mein intikhaab tha woh,

Sab se ghul mil kar ajnabi rehna,

Aik darya numaa saraab tha woh,

Khawb yeh hai ke woh haqeeqat tha,

Yeh haqeeqat hai khawb tha woh,

Dil ki dharti pe asmaan ki tarah,

Suurat-e-saya-e-sahaab tha woh,

Apni neendein bhi us ki nazar hui’n,
Mene paaya tha rat jaggon mein usey,

Mene dekha tha un dinon mein usey

Jab woh hans hans ke baat karta tha,

Dil ke haimey mein raat karta tha,

Rang parrhte they anchlon mein usey,

Mene dekha tha un dinon mein usey,

Yeh magar dair ki kahani hai,
Yeh magar door ka fasaana hai,

Us ke mere milaap mein haayel,

Ab to sadiyon bhara zamana hai,
Ab to hai haal apna bhi,
Dasht-e-hijraan ki shaam jjesa hai,

Kya khabar woh in dinon kesa hoga,

Mene dekha tha un dinon mein usey..

Lehje Se


Lehje se utth rahi thi dastaan-e-dard,

Chehra bata raha tha ke sab kuch ganwaa diya..

Woh Haayan

Woh aayen to hairaan woh jayen to pareshan,

Ya rab, koi samjhaye yeh kya ho geya dil ko..

ap apne

Aap apna ghubaar they hum to,
Yaad they yaadgar they hum to,
Hum ko yaaron ne bhi yaad na rakha,
Jon yaaron ke yaar they hum to..

Tuesday 24 June 2014

usey kehna

Usey kehna,


Keh thakk sa geya hoon,

Mein khud ko saabit karte karte,

Agarchey, mere tareekay galat honge,

Iraadey magar sachh pe mabni hain,

Tum agar chaaho,

To mere jazbon ka imtehaan lo,

Mere haq me faisla dene ko,

Suno ab to to tthaan lo,

Usey kehna,

Ke thakk sa geya hoon..

Monday 17 February 2014

Na Karo Juda Khudara

Poet Bedaam Shah Warasi
Na Karo Juda Khudara Mujhy Apny Aastaan Sy,
K Nahi Hai Pir Thikana, Jo Utha Diya Yhaan Sy,
Mujhy Khak Mai Mila Kr, Mare Khak Bhi Uraa Dy,
Tere Naam Par Mita Hon Mujhy Kia Graz Nishan Sy,
Yhe Maree Sajda Raizee Yhi Mare Bandagi Hy,
Mai Zara Lipat K Roo Loon Tere Sang e Astaan Sy,
Koi Kash Ja K Kah Dy, Uss Arab K Mahrbaan Sy,
Tere Gum Mai Muhammad (s.a.w) Koi Ja Raha Hy Jaan Sy,
Zara Ther Jaa Moa'azin Mera Dil Laraz Rha Hy,
Kaheen Ka'aba Jhuk Na Jay, Tere Maste A Azaan Sy,
Isee Khak-e-Asstan Mai, Kise Din Fanah Bhi Hoga,
K Bana Howa Hy "Bedaam" Isse Khak-e-Aastan Sy..

Saturday 4 January 2014







Inhi Pat'tharon Pe Chal Ke Gar Aa Sako To Aao...

Mere Ghar Ke Raaste Mein Koi Keh'kashan Nahi Hai...







Main Tha Aawaran Bohot Yaqeen Jano
Main Tha Na'Ashna Bohot Yaqeen Jano

Phir Tum Jo Aaye Zindagi Khubsurat Ho Gayi Yaqeen Jano
Tumne Jaise Pyar Kiya ZindaGi Haseen Ho Gayi Yaqeen Jano

Tumne Di Be'had Khushi Yaqeen Jano
Tum Bane Meri Haseen Yaqeen Jano


Par Phir Yun Hua Tum Gaye Zindagi Weeran Kar Ke Meri Yaqeen Jano
Tum Chale Gaye Humein Tanha Chhor Kar Yaqeen Jano

Na Phir Tumhare Baad Jeene Ki Aarzu Rahi
Na Phir Tumhare Baad Is DIL Ne Kiya Kisi Se Pyar

The Tum To Tha Mera Sab Kuch Yaqeen Jano
Jo Tum Gaye Kho GAya Mera Sab Kuch Yaqeen Jano

Kuch yadon se... Kuch wadon se...

Usay kehna aaj tum bohot yaad aye ho....

Kuch yadon se... Kuch wadon se...

Haal-E-Dil..

Ru-Baru Mushkil Huwa Us Ko Btana Haal-E-Dil..

Lag Raha Tha Aasaan Kitna, Aainay K Samny..

Friday 3 January 2014

Tere hijraan se

Tere hijraan se taluq ko nibhaney ke
liye,
Mene iss saal bhi jeeney ki kasam
khayi hai..

Thursday 2 January 2014

Ragon mein

Mujhe khamosh rehne do,
Suna hai ishq sacha ho,
To khamoshi
lahu ban kar,
Ragon mein
naach uthti hai,
Abhi kuch din mujhe
meri mohabbat azmaney do,
Usey mein kyun bataon,
Usey mene kitna chaha hai,
Bataya to jhoot jata hai,
Ke
Sachi baat ki khushbuu,
To khud mehsoos hoti hai,
Meri baatein,
Meri sochein,
Usey khud jaan lene do,
Abhi kuch din mujhe
meri mohabbat azmaney do..