Sunday 24 August 2014

Kisi Se Koi

Kisi se koi khafaa bhi nahin raha ab to,

Gilaa karo ke gilaa bhi nahin raha ab to,

Chunnay huye hain labon per tere hazar jawab,

Shikaayeton ka maza bhi nahin raha ab to,

Yakeen kar ke jo teri aarzu mein tha pehle,

Woh lutf tere siwaa bhi nahin raha ab to,

Woh sukh ke khuda ki hain bakhshishen kya kya,

Yahan yeh likh ke khudaa bhi nahin raha ab to,

No comments: