Thursday 13 June 2013

Chaley aao

Chaley aao Wagarna dhoop ki chadar mein ye tan man Jholas jaye ga to hum ko Ghari mein raakh ker dey ga Chaley aao Abhi umeed ki palk’on pey roshan deep hein jana’n! Agar ye bhujh gaye to tergi shab khoon marey gi Tumhara nam dharkan mein abhi tak raks kerta hai Hawa’on ney tumhara lims jo Tum sey churaya tha… hamarey pas laya tha Abhi wo lims baki hai Bohat be-chain kerta hai Laho mein beyn kerta hai Chaley aao Abhi tak chand mein chehra tumhara muskurata hai Abhi kushbo ka qasid dil pey dastak denay ata hai Hasee’n pegham lata hai Abhi tak sab wohi kuch hai Wohi chaht bahri baat’ein Wohi larna jagharna piyar mein aur roth jana bhi Ghari bhar mein, bohal jana aur akhir maan jan bhi Tumh’ein wo phone ker key kehna jald aa jao Ye dil tum bin nahi lagta Tumhara jald ana aur wo sub kuch Muhabbat aur sharart sey bharey lamhey Abhi tak sub wohi kuch hai Chaley aao.. Kahin hum gum na ho jain

No comments: