Thursday 6 June 2013

Woh hijar to deta hai

Woh hijar to deta hai judai nahin deta, Kya tarfa tamasha hai bhujai nahin deta, Mehsoos to hota hai rag-e-jan mein hi aksar, Woh dard ka naghma jo sunaayi nahin deta, Hain bhool bhulayi’an bhi ke rasta nahi milta, Yeh sheher-e-sitam’gar hai rehayi nahin deta, Tum ne kabhi socha hai ke parwana-e-nayab, Khamosh hi marta hai duhaayi nahin deta, Is dabr-e-harabat mein nuksaan yeh Sahir, Jo deed ke kaabil hai dikhayi nahindeta.. (Poet. Sahir Rasool)

No comments: