Monday 8 April 2013

Thokar jo maine khai

Thokar jo mainay khayi Ek pathar hawa may uchla Dil say to aah nikli Pathar ki bhi sada aayi Aye dil, ulfath may tu pada rahay Ye tera naseeb hai Teri raah may mai pada rahon Ye mera muqaddar hai Tera naseeb bhi kuch Mera naseeb sa hai Tu rab kay dil may rehta hai Aur mai hajr-e-aswad bana hoon Tu badshah kay dil may raj karta hai Aur mai uskay taj ko purnoor karta hoon Tu ulfath may jakdi hui unglioun may dhadakta hai Aur mai un unglioun ki angoothiyoun may jada hoon Tu jala hai,gala hai hasa hai,roya hai Kya kya marhalay say Guzar kay tu dil bana hai Mai bhi to kabhi tarasha gaya hoon Aur kabhi butoan may puja gaya hoon Kabhi kuchay ki deewaar may Kabhi Taj kay aakaar may Tujhko bhi kabhi bashar nay Pathar bana diya hai Mujh may bhi kabhi banday nay Dil jaga diya hai Ek tera gham bhi Meray gham sa zaroor hai Mainay bhi thokar khayi hai Tu nay bhi thokar khayi hai…. Thokar jo mainay khayi Ek pathar hawa may uchla Dil say to aah nikli Pathar ki bhi sada aayi

No comments: