Tuesday 9 April 2013

Yaad Hai

Chupke chupke raat din aaNsu bahaana yaad hai Hum ko abtak aashiqi ka wo zamaana yaad hai Ba-hazaraaN izteraab O sad hazaaraaN ishtiyaaq Tujh se wo pahle pehal, dil ka lagaana yaad hai Baar baar uThna usi janib nigaah Eshouq ka Aur tera ghurphe se wo, aankheN laRaana yaad hai Tujh se kuch milte hi wo bebaak ho jana mera Aur tera danton men wo ungli dabaana yaad hai KhaiNch lena wo mera parde ka kona daf’a-atan Aur dupatte se tera wo muNh chupaana yaad hai Jaan kar sota tujhe woh qasd E pa-bosi mera Aur tera thukra k sar, wo muskuraana yaad hai Tujhko jab tanha kabhi pana to az-raah-E-lehaa ­z Haal E dil batooN hi batoon men jataana yaad hai Ghair ki nazroN se bach kar, sab kimarzi k khilaaf Wo tera chori chhupe ratoN ko aanaa yaad hai Aa gaya gar wasl ki shab bhi kahiN zikr E firaaq Woh tera ro ro k mujhko bhi rulaana yaad hai Do-pahar ki dhoop meN mere bulane ke liye Woh tera koThe pe nange paoN aana yaad hai Aaj tak nazroN men hai wo sohbatE raz O neyaz Apna jaana yaad hai, tera bulaanayaad hai Mithi mithi cheR kar baateN niraalipyaar ki Zikr dushman ka wo batoN men uRaana yaad hai Dekhna mujhko jo barghushta to sau sau naaz se Jab mana lena to phir, kud rooTh jaana yaad hai Chori chori hum se tum aa kar milethe jis jagah MuddateiN guzriN par ab tak wo thikaana yaad hai Shauq men menhdi k wo be-dast-o-pa hona tera Aur mera wo chheRna, wo gudgudana yaad hai Ba-wajood E iddaaye itteqa ‘Hasrat’ mujhe Aaj tak ahd E hawas ka wo fasaana yaad hai,,

No comments: